Fairl_Girl’s Collection + OWN

162649 views 2788 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 05 Sep 2004

ujala hira says
voh jisey apney ferda ki fiker thy
voh jo mera vaqaf-e-haal tha
voh jo uski subhaey urooj thy
vohi mera vaqt-e-zaval tha
voh mila toe sadion key baad bhi
merey lab per koi gila na tha
usey meri chup ne rula dia
jisey guftugu mein kamal tha
Posted 02 Jun 2005

ujala hira says
kash us lamhey tum
meri dhundlai ankhoon ko
dekh patey
jis lamhey tum
merey liye
ro rahey they
Posted 02 Jun 2005

ujala hira says
rook lein ya badhney dein
thaam lein ya girney dein
visal ki lakeeron ko
tood dein ya milney dein
raastoon ki merzi hai
Posted 02 Jun 2005

ujala hira says
mayoosian sameat ker sarey jahan ki
jab kuchh na ban saka toe mera dil bana dia
Posted 02 Jun 2005

Fairl_Girl says
niceeee
Posted 02 Jun 2005

ujala hira says
meri talab key raastoon per
teri khuaahish sisakty phirtyhai
Posted 02 Jun 2005

ujala hira says
kaha us ney k vaqai
ab voh mujh sey muhabbat kerta hai
kaha mein neus se k vaqai
mein tab tum se muhabbat ker thy
lekin
ab or tab mein itna fasila hai
key
mein ab tak aa nahein sakti
voh tab ko pa nahein sakta
Posted 02 Jun 2005

ujala hira says
chalo phir dhond laein hum
usi masoom bachpan ko
jahan sapna sajaya tha
jahan bachpan bitaya tha
jahan pedoon ki chhaon mein
gharodah ek banaya tha
Posted 02 Jun 2005

ujala hira says
thanx fair_girl
Posted 03 Jun 2005

cutefriend says
gud work ujala
Posted 03 Jun 2005

wafakadard says
Posted 04 Jun 2005

wafakadard says
Unki hi ek ada thi ye, jisne iss dil ko dhadkaya,
Wo ruth gaye jis pal mujhse, har pal ne dil ko tadpaya.
Unke liye bas ek khel tha ye, har kali magar jhukne si lagi,
Wo kya ruthe ek pal mujhse, bas sans meri rukne si lagi.
Posted 04 Jun 2005

Fairl_Girl says
Posted 05 Jun 2005

Fairl_Girl says
bhula diye hain tere gham ne dukh zamane ke
khuda nahi tha to patthar ki moorten thi buhat

pattharon se to chale aae hain bach ker laiken
dil ko hai khuaf ke phoolon se kuchle jaaenge

rang la ker hi raha akhir mera zauq junoon
raiza hoon magar patthar se takrata hoon mein

mein jis ke haath mein aik phool de ker aaya tha
ussi ke haath ka patthar meri talash mein hai

phool sajaen daman mein yeh zakhmon ki pehchan nahin
jo na kisi ka dukh bante woh pathar hai insan nahi
                                                                                       
yun hi tameer hote rahe ager sheesh mahal
ik din shaher ki har raah mein patthar honge

mana ke chup rehne se pagal pan barh jaata hai
patthar ke iss shaher mein koun kisi se baat kare
Posted 05 Jun 2005

Fairl_Girl says
...:::::MUSHKIL HOGI:::::...



Tum Ager Mujh Ko Na Chaho To Koi Baat Nahi...

Tum Kisi Aur Ko Chaho Gay, To Mushkil Hogi..



Ab Ager Meail Nahi Hai To Judayi Bhi Nahi...

Baat Tori Bhi Nahi Tum Ne Banayi Bhi Nahi...

Ye Sahara Bhi Buhat Hai Meray Jeenay K Liye...

Tum Ager Mere Nahi Ho, To Paraye Bhi Nahi...

Meray Dil Ko Na Saraaho, To Koi Baat Nahi...

Ghair K Dil Ko Saraho Gay, To Mushkil Hogi...



Tum HaseeN Ho, Tumhein Sab Pyar Hi Kertay Hongay...

Main Jo Merteen Hoon, To Kya Aur Bhi Merteen Hongeen ?...

Sab Ki Aankhon Mein isi Shoq Ka ToofaaN Hoga ?..

Sab K Seenay Mein Yahi Dard Ubhertay Hongay ?..

Meray Ghum Mein Na karaaho, To koi baat Nahi..

Aur K Ghum Mein karaho gay To Mushkil Hogi...



Phool Ki Tarah Hanso, Sab ki Nigahon Mein Raho...

Apni Maasoom Jawani Ki PanahoN Mein Raho...

Mujh Ko Wo Din Na Dikhana, Tumhein Apni Hi Qasam...

Main Tarasteen Rahoon, Tum Ghair K BaanHoN Mein Raho..

Tum Jo Mujh Se Na Nibaho, To Koi Baat Nahi..

Kisi Dushman Se Nibaho Gay To Mushkil Hogi...



Tum Ager Mujh Ko Na Chaho, To Koi Baat Nahi

Tum Kisi Aur Ko Chaho Gay, To MUSHKIL HOGI ..
Posted 05 Jun 2005

guest. says
wowwww!!
grrr888 janubabe!!

excellent!
Posted 07 Jun 2005

Fairl_Girl says
thx
Posted 07 Jun 2005

Fairl_Girl says
A Single Rose




I give to you this precious gift
For I have naught but this to give,
A rose I hold in simple hands,
To signify my love within



So hard it was to choose just one
For many held the beauty of you,
Reflected in their crimson tones
And basking in their rosy hues





But oh, how one, it caught my eye
Ablaze with color, apart from rest
Reduced me to a breathless sigh
And lured me with its lovely scent




So this I chose, a single rose,
Its tender petals silken smooth,
And with it give this fragile heart
And with it ... give my love to you
Posted 07 Jun 2005

Fairl_Girl says
~~Kasoor~~

Kya thaa mera kasoor ye bataate jaate
koii kahaanii logoN ko sunaate jaate

maine socha dil mera lautaa ke jaaoge
jaaN bhii liye jaa rahe ho jaate jaate

kitne sapne dekhe humne jinki khatir
chod gaye hame vo tanha jatte jaate

vo to na aaye par yaadaain aati rahi
kaise kahe kya haal hai jab unhone hi
muh fer liya hamare saaamne se atte aate..
Posted 07 Jun 2005

KING OF JB says
Posted 08 Jun 2005

Fairl_Girl says

~~Judaaii~~

"
Muuhabbat ke gawaah apnii , ye chaaNd sitaare haiN
din humne judaaii ke , gin-gin ke guzaare haiN

. ab ishq kii chotoN ka, gham kaise kareN saahib
khushiyo meN cHupe chehre, ashqoN ne niikhaare haiN

aiisey meN gariiboN kii, kashtii ka khudaa haafiz
tuufaan hai gardiish meN, aur duur kinaare haiN

tuu badal gayaa mujhse, gham iskaa nahiN mujhko
gham to ye hai ki tere gesuu, gairoN ne saNwaare haiN

hue "aap" se pehle "tum", ab "tum" se hue haiN "tu"
kyuuN baheN na ye aaNsu, hum jeet ke haare haiN

maanaa ke vo zaalim The, maiiyaT pe to aaye haiN
ab kuch to kaho 'Kamal', vo paas tumhaare haiN
Posted 08 Jun 2005

ujala hira says
           TUM SE BICHHAD KER KIA HOON MEIN


ya koi beemar parinda
copy mein ik zindah titly
ya ek murda peela patta
ankhein hoon koi khuaab zada si
ya ankhon mein toota sapna
palkoon ki deewar ke pchhey
pagal qedi ya ek ansoo
dhoop mein lipta lamba sehra
ya koi khof zada sa bacha
tooti hoi chori ka tukda
ya ek bhoola basra vadah
tum hi batao
tum sey bichhad ker
kia hoon mein
kisi purani kabar ka kutba
ya phir koi matroke dua
Posted 09 Jun 2005

KING OF JB says
both of u
Posted 09 Jun 2005

ujala hira says
bas khatam hoa kissa
ab ziker na ho uska
voh shakhs vafa dushman
ab apna hoa dushman
ab us sey nahein milna
gher uskey nahein jana
haan aye dil deewana
(dosrey hi lamhey khud ko behlaney k liye)
haan kal sey na jein gey
per aj to ho aien
us ko nahein paa saktey
khud ko hi kho aien
to baaz na aye ga
mushkil tujhey samjhana
ye bhi tera hai kehna
voh bhi tera fermana
haan aye dil deewana(ibn-e-insha)
Posted 09 Jun 2005

cutefriend says
Posted 12 Jun 2005

ujala hira says
kia mila muhabbat se
khuab ki musafat sey
roz-o-shab riazat say
visal ki tamazat sey
ek shaam yaadon ki
ek hijer ka sehra
ek thaka hoa ansoo
Posted 12 Jun 2005

Fairl_Girl says


Mujh Mein jo Kuchh Acha Hai Sab us Kaa Hai
Meraa jitanaa charchaa hai sab uskaa hai

Us kaa Meraa Rishtaa badaa Puraanaa hai
Main ne jo Kuchh Sochaa hai sab us kaa hai

Merii Aankhen us ke Noor se Roshan hain
Main ne jo kuchh Dekhaa hai sab us kaa hai

Main ne jo kuchh Khoyaa thaa sab us kaa thaa
Main ne jo kuchh Paayaa hai sab uskaa hai

jitanii baar main Tutaa hun vo Tutaa Thaa
Idhar Udhar jo Bikharaa hai Sab us kaa Hai.
Posted 13 Jun 2005

Fairl_Girl says

Aankh jab ashk bahaaye to Mujhe Likh dena!
Jab Meri Yaad Sataaye, to Mujhe Likh dena!

Koi Sawan ki Ghataa Jab tere Chhat pe aa ke,
Aag si Dil mein lagaaye, to Mujhe Likh dena!

Shub ke sannaate mein jab toota hua dil koi,
Dard ka geet sunaaye, to mujhe likh dena!

Haath Phir dekhna apne shub-e-tanhaai mein,
Uski har rekha Bulaaye, to Mujhe Likh dena!

Ay Meri Jaan-e-Jahaan teri wafa ke moti,
Bheegi Palkein jo Lutaayein, to mujhe likh dena!

Koi Muhn zor Zamaane ki Hawaa Ulfat ke,
Dil se Jab Naksh Mitaaye,to mujhe likh dena!
Posted 13 Jun 2005

Fairl_Girl says

NAJANEY KEU


Najaney Kyun Dil Laga Letey Hain Laug
Khud ko yuun hi saza detey hain laug ..

Jab koi pass ho to kadar nahin kartey
Door koi chala jaey to sada detey hain laug..

Jabb mill jaey safar main naya hum-safar koi
Per kiun purani rafaqat ko bhula detey hain laug

Gham bhi detey hain or kehtey hain bhool jao
Humari chahat ka yeh sila detey hain log ..
Posted 13 Jun 2005

cutefriend says
Posted 14 Jun 2005

Reply to Topic