Fairl_Girl’s Collection + OWN

161997 views 2788 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 05 Sep 2004

Fairl_Girl says
Aa Tujhay Lay Chalon~~


Aa Tujhay Lay Chalon Haqiqat Kay Dais Mai
Bohat Si Khushian Thoray Gham Kay Dais Mai
Nikal Andhairi Raat kay Dard Say
Tanha Gom Sum Dopehron say Nikal
Chor Daay Sarabon ka Rasta
Bay Kal Udas Shamo ka Rasta
Bhol Ja Jo Tha Nahi Tera
Yaad Rakh jo ho Ga Sirf Tera
Daikh Yeah Nila Gagan Yeah Kali Badlian
Her Bond Hai Teri Her Bond hai Pukaray Tujhay
Yeah Haseen Wadian Woh Shor Machati Nadian
Sab Nazaray Hain Teray ik Nazar tu Daikh
Sang Chal us Kay Jo Daay Ga Tujhay
Sapnay Nahi,Waday Nahi Yadain Nahi
Sirf Haqiqat,Khoshion Bhari Haqiqat
Aur Thora Sa Gham Per Us Kay Sang
Aa Tujhay Lay Chalon Haqiqat Kay Dais Mai
Bohat si Khoshian Thoray Gham Kay Dais Mai

Posted 22 Apr 2006

Fairl_Girl says
hmm
Posted 22 Apr 2006

wafakadard says
Chor Daay Sarabon ka Rasta
Bay Kal Udas Shamo ka Rasta bahot he nice FG   
Posted 23 Apr 2006

wafakadard says
Fairl_Girl said:




Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho


Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho


Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho


Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho


Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho


Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho



Sukria FG mahshAllah poetry bahot he achi hai
Posted 23 Apr 2006

drchohan83 says
kahan yaar ab to tum hum ko lift he nai ker wati
any way kush raho
main b theek he thaak hon.
Posted 23 Apr 2006

Posted 24 Apr 2006

drchohan83 said:

kahan yaar ab to tum hum ko lift he nai ker wati
any way kush raho
main b theek he thaak hon.



fikar kyun karte ho dr
Posted 24 Apr 2006

wafakadard says
shahrukh khan said:

drchohan83 said:

kahan yaar ab to tum hum ko lift he nai ker wati
any way kush raho
main b theek he thaak hon.



fikar kyun karte ho dr



Poetry main aru Fikar
Posted 30 Apr 2006

wafakadard says
Jab woh samnay atay hain, agaaz-e- gaftoogoo nhi milta
jab woh lout jatay hain to un say he batin rahtii hain
Posted 30 Apr 2006

cutefriend says
us ki ankh main muhabbat ka sitara ho ga
ik din aye ga woh shakhs hamara ho ga
tum jahan merey liye seepiyan chunti ho gi
woh kisi aur hi duniya ka kinara ho ga
zindagi ! ab ke mera naam na shamil kerna
gar yeh teh hai ke yehi kheel dobara ho ga
jis ke honye se meri sans shala kerti thi
kis tarhan us ke bagher apna guzara hoga
yeh achanak jo ujala sa hua jata hai
dil ne chupkye se tera naam pukara ho ga
ishq kerna hai tu din raat usye sochna hia
aur kuch zehan main aya tu khasara ho ga
yeh jo pani main chala aua sunehri sa gharor
us ne darya main kahni paoon utara ho ga
kon roota hai yahan raat ke ssanatoon main
merye jeesa hi koi hijar ka mara ho ga
mujh ko maloon hai joon hi main kadam rakhon ga
zindagi tera aur koi kinara ho ga
jo meri eoh main badal se garajtyen hain wassi
us ne seenye main koi dard utara ho ga
kaam mujhkil hai magar jeet hi loon ga us ko
merye maula ka wassi jon hi ishara ho ga
Posted 02 May 2006

wafakadard says
us ki ankh main muhabbat ka sitara ho ga
Posted 04 May 2006



^^^agar ankhon par glasses huway tu?..


Meri ajab hai zindagi kisi se kia gila karon
Taqdir rooth jaye to mere khuda main kia karon

Halat ne naseeb main gham bher diye hain is qader
Na manzilon ki khuch khaber main karwan ko kia karon

Meri ajab hai zindagi kisi se kia gila karon

Mil jaye doobne pay hi akhir to ik sahil kahin
Toofan ki hai aarzoo toofan ki dua karon

Meri ajab hai zindagi kisi se kia gila karon

Manzil ki thi talash to gard e safar mili mujhay
Aankhain baras parin meri kali ghatta ko kia karon

Meri ajab hai zindagi kisi se kia gila karon
Posted 04 May 2006

wafakadard says
nice Queen of JB

FG kider hoo ap

ap ki poetry ko miss kar raha hoon yaaaaar
Posted 10 May 2006

Fairl_Girl says


Do dreams come true?


...you take my hand...

...we go for a walk...

...or we just...

...sit and talk...

...a soft whisper...

...in the night...

...a flickering glow...

...of firelight...

...the sweetest taste...

...a tender kiss...

...do you know...

...I dream of this...

...I must believe...

...that dreams come true...

...that someday...

...I'll be with you...

Posted 12 May 2006

Fairl_Girl says
Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha


Har Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha


Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha


Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha


Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha


Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay Toh Laboon Ko See Liya Tha


Woh Chand   Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko   Tamam   Jaghta   ; Tha

Hontoun   Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main Toh Shehad Gholta Tha


Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin
Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha


Us Nay Jo Kaha, Kya Woh Dil Nay
Inqaar Ka Kis Main Hosla Tha


Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha


Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha


Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha


Main Bhi Tha Dara Hua Sa Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha


Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha


Ek Raah Say Main Bhi Tha Gurayzaan
Ek Moor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha


Ek Pal Main Chapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha


Soocha Toh Tehar Gayee Zamanay
Dekha Toh   Woh Door Ja Chuka Tha


Qadmoun Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha


Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gayee Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha

Posted 12 May 2006

Fairl_Girl says

Yeh Q Ker Mujh Ko Roeya Ja Raha Hai
Ba Mushkil Paa K Khoeya Ja Raha Hai



Khudaya Phool Jaisay Iss Badan Ko
Bey Dardi Say Maloeya Jaa Raha Hai



Kadoorat Thee Jinhain Aansoo Bahana
Samundar Q Parooeya Jaa Raha Hai


Dhulaa Hoo Aab-e-Zam Zam say Jo Chehra
Unhain Aansoo Say Dhoeya ja Raha Hai



Wataira Jis Ka Hoo Kaantay Bichana
Bichoo Na Gul Bichoeya Ja Raha Hai



Yeh Kaisi Sisskiaan Dhaarain Shalaqain
Ghazab Ka Larza Hoeya Jaa Raha Hai


Aaj ALLAH Jaaghna Tha
Joo Abdi Neend Soeya Jaa Raha Hai
Posted 12 May 2006

cutefriend says
wah jeee wah

very effective come baq
Posted 12 May 2006

Fairl_Girl says
Maa ki shafqat ne parwaan tau charha diya

Ab jeeti hon sirf mein maa ki dua ke saath



Sirf aik gunaah sar zad huwa mayoosi ke aalam mein

Phir tau muqaddar mera likh gaya tanhayon ke saath



Aiesey mein khuloos sey dil par dastak si huwee

Yak damm usey chah liya rooh ki gehrayee ke saath



Dosti ki thi khuloos se aur nibahyee bhi hai

Dosti piyaar mein badal gayee aahistagi ke saath



Aik maqaam per aakar dhoondha kartey they dono

Piyaar ki kashish layee thi dono ko aik saath




Chuppa tha piyaar dono ka tau buhat behter tha

Ayaan huwa piyaar tau wo bhi dono ka aik saath




Haath us ne barhaya bharpoor piyaar ke saath

Sashdarr mein rehgayi apni badkismati ke saath


Na miley hotey tau acha tha ye hai unka sawaal

Hont see liyee mein ne apna aap maarney ke saath



Ab tau dosti ki taab bhi nahin hum mein

Piyaar ne guma diya dost ko piyaar ke saath





Kahin mazhab, zubaan ya nasal ka farq hota hai

Yahan tau apnon ne hi khodiya apnon ka saath




Kis karb se usey roka apney paas aaney se

Dair tak roti rahi namm aankhon ke saath




Mein zarra hon aur ki khuwahish mahtaab ki

Wo bhi kainaat ke tamam taron ke saath



Be wafayee ki hai us se dil bhi tora hai mein ne

Har chota azaab miley har barey azaab ke sath




Bina dekhey bina jaaney aiesa piyaar kiya hai

Amar banadongi piyaar ko teri yaadon ke saath




Shikwa nahin taqdeer se apney kiyee ka phall hai

Miley mujhe har baar moti phattey daaman ke saath




Maaf kardena apni jaan ko apney dil se tum

Aarzoo hai mera naam ho teri har dua ke saath


Ab tau ye dua maangti hon har namaz ke baad

Urooj tujh ko miley har raanayee ke saath




Tum bhula kar mujhe aik tareeqh raqam karna

Hamsafar tera behter ho har naye din ke saath




Mein tau chah kar bhi do kadam na chal saki terey

Naya hum safar miley tujhe buhat piyaar ke saath



Banaoongi khud ko wesa jaiesa tu ne chaha hai

Ye dekhney ke liyee nahin hoga tera mera saath




Kisi ko chah na sakongi ab tujhe chahney ke baad

Aah ka haqq bhi gaya tujhe kho deney ke saath



Shayad hi dekh paoo mujhe tum khabhi

Likh na sakongi ab us piyaar ke saath



aukaat apni bhool gayi piyaar ke baad

Sehrey ka phool mangti hai janazey ke saath




Posted 14 May 2006

wafakadard says
Be wafayee ki hai us se dil bhi tora hai mein ne

Har chota azaab miley har barey azaab ke sath    bahto achi hain yeh lines FG
Posted 18 May 2006

Fairl_Girl says

Najaney Kiyoon Mera Kajal Jab Bhi Dalo Ankhon Main Ab Akser Phail Jata Hai Main Roi To Nahin Hoon...... Tum To Jantey Ho In Dino Bohat Hi Thand Hoti Hai Tab Hi Hai Surkh Meri Naak Main Roi To Nahin Hoon...... Kaha To Hai Yunhi Buss Bheega Hai Aanchal Ka Kona Choro Tum Fiker Mat Karo Main Roi To Nahin Hoon...... Nahin, Udaas Kab Hoon Main Ziyada Kaam Kay Baies Thakawat Ho Hi Jati Hai Main Roi To Nahin Hoon...... Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi Nahin Aata To Na Aaye Ab Us Ki Yaad Main Dekho Main Roi To Nahin Hoon..... Bata Dena Us Ko Ja Ker Koi Khush-Fehmi Na Palley Waisey Hi Surkh Hain Ankhain Main Roi To Nahin Hoon..... yeh kisi nay mujhe sent kia tha
Posted 20 May 2006

Fairl_Girl says
Posted 20 May 2006

cutefriend says
Posted 21 May 2006

cutefriend says
Jinki yaad me hum dewane ho gaye,
wo hi hum se begane ho gaye,
shayad unhe talash hai ab naye dost ki,
kyunki unki nazro me hum purane ho gaye
Posted 21 May 2006

Fairl_Girl says
nice
Posted 22 May 2006

Fairl_Girl says


Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna

Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna

Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna

Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna
Posted 22 May 2006

Fairl_Girl says
teer to gair ki kaman ka they
hath par ik mahrban kay they

us ka lahjay main sach to tha laiken
rang gahray mere guman kay they

door tak bhigta hua jungle
wa dareechay tere makan kay they

khuch talism e najoom e sahb bhi tha
khuch karishmay tere dhayan kay they

tha wo jadoo sa asmanoon main
shouk is se siwa uran kay they

main jab aye to wo safar main tha
aur irady bhi asman kay they

main taharty ya wo thar jata
saye ba aik saiban kay they

nind khwabon ko cho ka loat ayee
akhri mor dastan kay they

na usay na hi mujhy ras ayee
rastay yah jo darmiyan kay they

jab hawa tham gai tabhi jana
tor khuch aur badban kay they

phir bhla kis trha manna karty
faislay chasm e mahrabn kay they
Posted 22 May 2006

cutefriend says
Posted 22 May 2006

cutefriend says
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz ke saher se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon

bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
ke jin se tais utth ti hai ke jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

to tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai
Posted 23 May 2006

wafakadard says
woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana




bahto achi hai poetry main ap ki pasnad
Posted 25 May 2006

wafakadard says
aye qalam zara dheere chal
badi hi izzat ka mukam hai
teri noak ke neechey
mere mahboob ka naam hai.
Posted 26 May 2006

Reply to Topic