Sapno Ki Duniya~~
Yeh Bhe Mumkin Hai Kizi Roz Na Pehchano Mujhe,
Wo Jo Her Baar Naya Bhes Badal Leta Hai...
Ek Baar Mujh se Kaha Tha Mere Dosto ne,
Ishq Dariya Hai Jo Baccho ko Nigal Leta Hai...
Sapno Ki Duniya Humne Sajai Thi Bade Armaan Se
Socha Tha Karenge Pura Aapna Har Sapna Bade Samaan Se
Na Jaane Ye Kaisi Chai Aandhi Ye Kaisa Tufaan Aaya Hai
Jis Ne Kar Diya Adhura Mujhe Mera Har Sapna Jalaya Hai
Guzre Hue Kal Ki Yaad Aati Hai,
Kuch Lamho Se Aankhen Bhar Aati Hai......
Woh Subah Rangeen Aur Shaam Nirali Hogi,
Jab Aap Jaise Dosto Ki Yaad Aati Hai........!
Nigahein Apki Pehchan Hai Hamari
Dosti Apki Shaan Hai Hamari
Karna Hifazat Apni
Kyu Ke Dosti Apki Jaan Hai Hamari
Zindagi Nahin Hamein Doston Se Pyaari,
Doston Pe Haazir Hai Jaan Hamaari,
Aankhon Mein Hamaari Aansoon Hai Toh Kya,
Jaan Se Bhi Pyaari Hai Muskaan Tumhaari !
Dosti Toh Sirf ek Ittefaaq Hai,
Yeh Toh Dilon ki Mulaakaat Hai,
Dosti Nahi Dekhti Yeh Din Hai Ki Raat Hai,
Isme Toh Sirf Wafaadaari Aur Jazbaat Hai !
Mujhe Naaz Hai Ke Too Mera Pyar Hai,
Tum Ho To Mujhe Jine Ka Armaan Hai,
Tumhe Milne Se Dil Khil Uthta Hai,
Meri Zindagi Ki ek Toohi Pahechaan ai,
Tere Siwa Mujhe Kisi Se Kya Kaam Hai,
Tere Bina Mera Jeena Bhi Bekaar Hai,
Mujhe Naaz Hai Ki Toohi Mera Pyar Hai.
Chand Taron ka Noor Tujh Pe Barse,
Har Koi Teri Chahat Ko Tarse,
Teri Zindagi Mein Aayen Itni Khusiyan,
Ke Tu Ek Gum Paane Ko Tarse
Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Aasmaan Ke Liye
Jahaan Hai Tere Liye Tu Nahi Jahaan Ke Liye
Har Saans,Har Dhadkan Mein Aap Base Hein
Aap Se Durr Hum Kahaaan Jayenge
Khwaaboon Mein Aap
Khayaloon Mein Aap Hein.
Bandh Karenge Jo Aankhen
Aap Ko Hi Samne Payenge