share ur poetry...

39785 views 962 replies
Reply to Topic
paki_fan

Age: 125
Total Posts: 9535
Points: 0

Location:
United States, United States
Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein
Un dekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein
Aankhon ki khidki per ek sayaa sa lehraata hai
Dil ke derwaze per koi dastak de ke jata hai
Gherri gherri kaali aankhen, mujse mujko puchhatti hai
Hathoan ki rekhaon mein ek chehra sa ban jatta hai
Uski sanse resham jaisi gallo ko chu jaati hai
Uske hathoan ki khushboo hai ab tak mere ballo mein
Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein
Un dekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein....
Posted 01 Dec 2004

paki_fan says
wow janubaby..
reallt nice one
Posted 28 Jan 2005

paki_fan says
Kalam uthayi hai lafs nahi milta,
jisko dhoond rahein hain vo shaks nahi milta,
firte hain vo jamaane ki talaash mein,
bas humare liye unhe waqt nahi milta!!!
Posted 28 Jan 2005

paki_fan says
Ham se aik baar jeeta hai na jeetay ga koi....
woh to ham jaan ker kha letay hain, matein akser....
ham ne in tand hawaon mein jalaye hein chiragh....
jin hawaon ne ulat di hein bisatein akser....
Posted 28 Jan 2005

wafakadard says
MAN JB is the BEST Paki_fan ap ke bhi bahot khob hain sheer
Posted 28 Jan 2005

wafakadard says
Kismat se apni sabko shikayat kyo hai?
Jo nahi mil sakta usi se Mohabbat kyo hai?
Kitne kaayein hai dokhae in rahon mein,
Phir bhi dil ko usi ka intezar kyo hai (Sunny)
Posted 28 Jan 2005

wafakadard says
Man my fav one
*Chupa lena meri maut ka gham, hothon ke tabbassum mein
Varna kya doge, is zamaane ko, wafaa mein hisaab baqi (Misbah)
Posted 28 Jan 2005

wafakadard says
Janubabe & Paki ke liye
*Aay Kaash Kay Tu Aa Milay Mujh Say Doobara
Aysii Umeed Aab Hum Rakhtay Nahen Hain
Bay-Wafaoo Kay Liye iss Dunya Kay Loog Masoom
Wapsiiii Ka Koi Raasta Rakhtay Nahen Hain
Posted 28 Jan 2005

wafakadard says
Sunny "Ghum unko bhi naseeb hotay hain
Jo log khushnaseeb hotay hain
Hota hai dunya main koi aik hi apna
Warna saray dusray raqeeb hotay hain (Misbah)
Posted 28 Jan 2005

Fairl_Girl says
wafakadard said:

MAN JB is the BEST Paki_fan ap ke bhi bahot khob hain sheer

thxxx
Posted 28 Jan 2005

Fairl_Girl says
gr888888888888888 sunnyy
Posted 28 Jan 2005

Fairl_Girl says
Posted 28 Jan 2005

paki_fan says
wafakadard said:

MAN JB is the BEST Paki_fan ap ke bhi bahot khob hain sheer



yup it is the best

hmm thank u janab
Posted 28 Jan 2005

paki_fan says
Ghum unko bhi naseeb hotay hain
Jo log khushnaseeb hotay hain
Hota hai dunya main koi aik hi apna
Warna saray dusray raqeeb hotay hain.     wow very nicee


all of them are very nice sunny n thnx

janubaby can't read some of the words in lst one..
lekin jitni bhi perhi hai.. bohat achi hai
Posted 28 Jan 2005

paki_fan says
gila tujhsay nahi zindgee say hai.....
jiss ka hath thama chura kay chala gaya    
Posted 28 Jan 2005

paki_fan says
Main kuch lamhey aur tera saath chahta tha,
Aankhon mein jo tham gai woh barsaat chahta tha,
Jo guzar rahi thi mujhey tarsatey huye,
Aisi haseen aik aur raat chahta tha,
Iss k siwa to aur kuch na maanga tujhsey,
Sirf aankhoun mein teri apna pyaar chahta tha,
Suna hai mujhey bohat chahti hai woh magar,
Main uski zubaan sey aik baar izhaar chahta tha,
Woh mujh per nazre karam kare mein is qabil kahaan,
Iss k chahney waaloun mein apna shumaar chahta tha,
Jo zindagi tak haar dey meri mohabbat mein ,
Main to fakat aisa aik bimaar chahta tha.
Posted 28 Jan 2005

paki_fan says
one of my fav.....


uttah k hath bus khuda se mangi yahi dua
naseeb hoon khushiyaan tumhain tum khush rahoo sada
tumhain rahat miley , tumhain chahat miley
tumhain sarey jahan ki mohhubat miley
jahan main hoon sab se achy tumharey naseeb
koi dhukh kabhi na aye kareeb
tumharey dil ki har arzo pori khuda karey
tumharey chahney walon ko kabhi na juda karey
miljayeen tum ko mery bhi naseeb ki khushiyaan
dua hai bus tumhain kabhi ghum na miley yahan.
Posted 29 Jan 2005

wafakadard says
Main kuch lamhey aur tera saath chahta tha,
Aankhon mein jo tham gai woh barsaat chahta tha
main bhi kuch aysaa he cahta tha
here is mine Bro



Mujhe Khushiyan Mile Na Mile Iss Jahan Mein,
Tumein Gum Ki Parchaiyen Bi Kabhi Na Chuye,
Mujhe Aansoon Hi Aansoon Mile Hain Iss Jahan Mein,
Tumein In Aansoon Ki Parchaiyen Bi Kabhi Na Chuye..! (SUNNY)
Posted 30 Jan 2005

wafakadard says
Here is My Favorite PAKI AND JB

khushiyon ne jab hum se chura liya daman
humain dard ne apnaya aur diya apna pan
ab aati hai paas khushiyan yun bhar bahr
ab humen hogaya hai ishq gum se magar (Sunny)
Posted 30 Jan 2005

wafakadard says
yoon badal jate hen sare mosam mager
dil ka mosam kabhi bhi badalta nahi
dil ki dunia basa len ge ham bhi mager
ya jahan fitrat apni badalta nahi..(Sunny)
Posted 30 Jan 2005

wafakadard says
TU MERA KUCH NAHI LAGTA HAI AY JANY HAYAT (M)
PHIR BHI KIUN DIL TO TERY LIY TADAPTA DEKHON (Sunny)
Posted 30 Jan 2005

ONLYARBAB says
very nice very nice sunny ans paki
Posted 30 Jan 2005

ONLYARBAB says
     ok ji ab merey bari hay


    dil kiya tha hum rooh may utar jatey
    tum nay caha hi nahi cahney walon ki tarha
       
Posted 30 Jan 2005

ONLYARBAB says
    

    bicra kuch is ada say k rut hi badal gai
    ek shaks sarey seher ko weran kar gaya
     
Posted 30 Jan 2005

ONLYARBAB says
      
   
    ujala mangney aya tha roshni ki bhek
    ujala mangney aya tha roshney ki bhek
    hum apna ghar na jalate to aur kiya kertey
       
Posted 30 Jan 2005

wafakadard says
ARBAB your trun was so nice tooo
HEy PAKI we are waitng just for your trun now and also JB
Posted 30 Jan 2005

ONLYARBAB says
ya bilkul sunny
paki and janubaby
Posted 30 Jan 2005

wafakadard says
Bewafa say wafa karti to dil ko sakoon milta
jhota he sahi pyaar karti to dil ko sakoon milta
yoon to Sunny har kohi wafa karta hai Wafa say
woh hum BEWAFA say wafa karti to dil ko sakoon milta
Posted 30 Jan 2005

ONLYARBAB says
nice
Posted 30 Jan 2005

ONLYARBAB says
    bichar k tumjh say na milna to ek bahana tha
    humey to ay bewafa tera waada aazmana tha
Posted 30 Jan 2005

wafakadard says
ONLYARBAB said:

     bichar k tumjh say na milna to ek bahana tha
    humey to ay bewafa tera waada aazmana tha


Posted 30 Jan 2005

Reply to Topic