Dil Tootanay tay....

37468 views 1310 replies
Reply to Topic
wafakadard

Age: 125
Total Posts: 6204
Points: 0

Location:
United States, United States
Hi friends, I am Sunny Malik your new and OLD friend
Here you will find Poetry of Pain......
if anyone like to read about pain so you are on right place here.......... if you like to so plz send some too.... but everyday you will get something new here Umed hai time acha guzaray gha ap ke saath


mujhey phool na dena mujhey unse nafrat hai
dena hai to kaantey dedena mujhey unki aadat hai
woh chubtey hain zhakham detey hain imandari se
phool to bewafa hotey hai , doka detey hain wafadari se!!! (Sunny)
Posted 31 Jan 2005

wafakadard says
Zindagi bhar ke liye tera sath Nibhana chahty hai
Tumhaari in ankho mai sada ke liye bas jana chahty hai
Chahty is dil ki, na jaane humse kaya kaya chahati hai
Najar bhar tumhe dekh kar, Tum per mar jana chahty hai!!!! (SUNNY)
Posted 31 Jan 2005

wafakadard says
ek phool ki chubhane se sabhi se dil nahi moda jata,
kuch phoolon ko to chubhna bhi nahi aata,
gam e dard se zindagi na haaro ay Sunny,
jeene ki chaah rakhne wala hi hai saahilon ko paata. (Misbah)
Posted 31 Jan 2005

wafakadard says
wafakadard said:


Hi friends
Here you will find Poetry of Pain......
if anyone like to read about pain so you are on right place here.......... if you like to so plz send some too.... but everyday you will get something new here Umed hai time acha guzaray gha ap ke saath



mujhey phool na dena mujhey unse nafrat hai
dena hai to kaantey dedena mujhey unki aadat hai
woh chubtey hain zhakham detey hain imandari se
phool to bewafa hotey hai , doka detey hain wafadari se!!! (Sunny)



Kaanto se karo payar ki phoolon ka arth samjhaty hai
bin kanto ki chubhan ke kon puchega in phoolon ko
nahi hai dosh phoolon ka bhi kuch
kayun ki kabhi kabhi wo bhi sangant ka asar dikhaty hai!!!! (Misbah)
Posted 31 Jan 2005

wafakadard says
Katon se hi kyu hai gila sabko aye mere Sunny,
Kya khata hai unki jo shikayatein hai itni,
Bas itni hi na ki har pal mein wo bas ek se hi hai,
Kal bhi wo chubhte the, aaj bhi wo chubhte hai,
Par phir bhi wo bhale hai phoolon se doston,
Phool kabhi balon mein kabhi arthi pe sajte hai... (Misbah)
Posted 31 Jan 2005

wafakadard says
Phoolon ki nazakat pe na jana aye doston,
Katon ki chubhan ko hi gale lagana aye doston,
Katon ki chubhan jante hai hum toh sadiyon se,
Phoolon ki chubhan ke nasoor na banana aye doston. (B*M)
Posted 31 Jan 2005

geetanjali says
Dear don't know your name bt yar kahin tum cactus ke plant pe gir to nahi gaye.(DON'T MIND PLEASE)
Dear Kanton ka kaya dosh hi dosh to uspe chalne wale ka hai.
Kanta apni existence chubh ke hi to bata sakta hai.(Bol nahi sakta hai na bechara.)
Some People always grumble because roses hav thorns bt Im thankful that thorns hav roses .
Somehow Your poetry is gud and appriciable.
Keep it up
Posted 31 Jan 2005

wafakadard says
Thanks
I am Sunny Malik and what is your name? Bahot acha laga ke ap nay messge diya is topic main thanks
Posted 31 Jan 2005

wafakadard says
geetanjali said:

Dear don't know your name bt yar kahin tum cactus ke plant pe gir to nahi gaye.(DON'T MIND PLEASE)
Dear Kanton ka kaya dosh hi dosh to uspe chalne wale ka hai.
Kanta apni existence chubh ke hi to bata sakta hai.(Bol nahi sakta hai na bechara.)
Some People always grumble because roses hav thorns bt Im thankful that thorns hav roses .
Somehow Your poetry is gud and appriciable.
Keep it up



kaaton se nahi hai shikayaten itni,ki
hai unki khaasiyat bhi itni,ki
hamesha wo sirf chubhate hi hai,
lekin phoolon se bhi seekhin wo baate itni,
ki wo kabhi gum to kabhi khushi bhi deete hai... (Sunny)
Posted 31 Jan 2005

wafakadard says
geetanjali said:

Dear don't know your name bt yar kahin tum cactus ke plant pe gir to nahi gaye.(DON'T MIND PLEASE)
Dear Kanton ka kaya dosh hi dosh to uspe chalne wale ka hai.
Kanta apni existence chubh ke hi to bata sakta hai.(Bol nahi sakta hai na bechara.)
Some People always grumble because roses hav thorns bt Im thankful that thorns hav roses .
Somehow Your poetry is gud and appriciable.
Keep it up



Humko nahi gila hai kissi se bhi mere dost,
Sab hi dunia mein apna farz nibhate hai,
Kubul katon ki chubhan, phoolon ki Sadgi,
Hum toh har seh pe bas apna sir jhukate hain... (Sunny)
Posted 31 Jan 2005

Fairl_Girl says
gr8 gr8 gr8 workkk
Posted 31 Jan 2005






Posted 31 Jan 2005

v nice sunny ji



Posted 31 Jan 2005

paki_fan says
veryyyyy nice poems janab
mujhey phool na dena mujhey unse nafrat hai
dena hai to kaantey dedena mujhey unki aadat hai
woh chubtey hain zhakham detey hain imandari se
phool to bewafa hotey hai , doka detey hain wafadari se!!!
Kaanto se karo payar ki phoolon ka arth samjhaty hai
bin kanto ki chubhan ke kon puchega in phoolon ko
nahi hai dosh phoolon ka bhi kuch
kayun ki kabhi kabhi wo bhi sangant ka asar dikhaty hai!!!!
Posted 31 Jan 2005

paki_fan says
nice rani but can't see the lsat two lines of the left column
Posted 31 Jan 2005

wafakadard says
paki_fan said:

nice rani but can't see the lsat two lines of the left column


Sard mosam ke koshgwar din Udas hain...
it was there in left line
He sukrai Guys ap yahan ay aur ap ko acha lagaa umed hai yeh wakat acha guzray gha ap ke saath. so good luk
Posted 01 Feb 2005

wafakadard says
Fitrat toh insaan ki badli hai na badlegi,
Usne sada se hi kudrat ko istemaal kiya,
Dar hai iss bat ka ki kudrat ka jawab kya ho,
Chand insano ne dunia ka hai ye haal kiya
Posted 01 Feb 2005

wafakadard says
phool tuh hote hai maasum yaaron
vo kya daga denge kissi ko
ye tuh insaan hi hain jo
kabhi unse baalon ki ronak badatha hai
tuh kabhi unhe arthi pe sajata hai
karur phool ya kanton ka nahi doston
ye tuh insaan ke badalte andaaz ka tamasha hai
Posted 01 Feb 2005

wafakadard says
hamari kaanton se gujarish hai,
wo phoolo ka saath chod dain,
log phoolo ko tod le jaate hai,
aur kaato ko akela chod jaate hai
Posted 01 Feb 2005

wafakadard says
na phoolon ka koi dosh hai, na kaanto ka qasoor
yeh to hai naseeb ka likha,
kissi ko milti hein khushiyaan to kissi gham,
hota hai har koi apne dil se majboor....(Unknown)
Posted 01 Feb 2005

wafakadard says
Hanstay haoy milte hain dunya se hum
jab bhee khud se mile bohat udaas hotay hum
(Sunny)
Posted 01 Feb 2005

Fairl_Girl says
nice
Posted 01 Feb 2005

ONLYARBAB says
very nice sunny
thats great poetry
Posted 01 Feb 2005

ONLYARBAB says
       mailain gi hum ko bhi apney naseeb ki khosiyan
       bas muntazir hain k kab yeh kamal hona hay
       
Posted 01 Feb 2005

ONLYARBAB says
        judaiyan hain baras baras ki
        wisal to aik lamhey ka tha
Posted 01 Feb 2005

ONLYARBAB says
       dushmano ki to baat ki tum nay
       hum nay doston say zakhm khay hain(Arbab)
       
Posted 01 Feb 2005

ONLYARBAB says
       dekhi hay pehli baar us ki aankh may nami
       youn lag raha hay jaisey samander udas hay(Arbab)
       
Posted 01 Feb 2005

ONLYARBAB says
        zabt lazim hay per dukh hay qayamat ka faraz
        zalim ab k bhi na roy ga to mar jay ga
Posted 01 Feb 2005

ONLYARBAB says
     
Dekhoo muhabat karoo tu itni karoo k koi had na rahay.....

Intezar karoo tu itna karoo k koi waqt na rahay.....

Bharoosa karoo tu itna karoo k koi shak na rahay.....

Nafrat karoo tu itni karoo k phir muhabat na rahay
Posted 01 Feb 2005

ONLYARBAB says
      bad naseebi ka to may qayal nahi laiken
      may nay barsaath may jaltey howey ghar dekhain hain
                              
Posted 01 Feb 2005

wafakadard says
ONLYARBAB said:

        dekhi hay pehli baar us ki aankh may nami
       youn lag raha hay jaisey samander udas hay(Arbab)
       


Bahot Khob
Meri udaas raate hi meri tanhai ka saman hain,
teri yaade hi hai aap meri jo in ankhooo ki mahaman hain
Posted 01 Feb 2005

Reply to Topic