~CHANDNI~
Age: 124
7832 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
.Kehte hain ki ISHQ main neend ur jaati hai
Koi humse bhi ishq kare
Khambhaqat neend bahut aati hai
------------ ---------
Kar diya izhare-ishq hamne telephone par,
laakh rupaye ki bat thi,
do rupaye main ho gayee (wah wah)
------------ ---------
Maine tujhe dekha
Dekhta raha,
Dekhta hi gaya........
Phir mujhe chashma lag gaya
------------ ---------
Aur bhi cheezain bahut see lut chuki hain dil ke saath
Ye bataya dooston ne ishq furmane ke baad;
Is liye kamre ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaane ke baad"
------------ ---------
Taj Mahal kya cheez hai
main to usse bhi bara mahal banaoonga,
aree Mumtaz to marke dafan hui thi,
main to tujhe zinda hi dafna doonga.
------------ ---------
Kaash Tere Chehre Pe
Chickenpox Ke Daag Hote
Chand To Tum Ho Hi
Sitare Bhi Saath Hote
------------ ---------
Khirki khuli zulfein bikhri
Dilne kaha dildar nikla
Par hi re meri phooti kismat
Nahaya hua sardar nikla
------------ ---------
Zindagi to hum bhi jee rahe thay,
Taqdeer humari kharab nikli
Tajmahal hum bhi bana sakte thay,
Mumtaz humari bewafa nikli
------------ ---------
Kaash dil ki awaz ka itna asar ho jaaye
Hum unhe yaad karen
Aur unhe khabar ho jaaye
------------ ---------
Aansu ko ankhon ki Dehliz pe laya na karo.
Apne dil ki halat Kisiko bataya na karo.
Log mutthi bhar namak liye Ghoom rahe hain
Apne zakhm kisiko Dikhaya na karo.
------------ ---------
Mohabbat ki shamma jalake to dekho,
Zara dil ki duniya saja kar to dekho,
Tumhe ho na jaaye mohabbat to kehna,
Zara humse nazaren milake to dekho
Log ishq karte hain,
Bare shor ke saath.
Humne bhi kiya,
Bare zor ke saath.
Magar ab karenge,
Thora gaur ke saath.
Kyonki kal usko dekha,
Kisi aur ke saath.
------------ ---------
Tamam umar zindagi se door rahe,
Teri khushi ke liye tujse door rahe
Ab is se badkar wafa ki saza kya hogi
Ki tere hokar bhi tujse door rahe.
------------ ---------
Ankhen apki ho, par ansu mere
Zindagi apki ho, par sanse meri
Dil apka ho, par dharkan meri
Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi
Kafan apka ho, aur maut meri.
------------ ---------
Jab bhi apse milne ki takdeer nazar ayi
Mujhe pavon main bandhi zanjeer nazar ayi
Teri yaad main nikal pare mere aansu
Har aansu main teri tasweer nazar ayi.
------------ ---------
Talaash karo koyi tumhe mil jayega
Magar humari tarah tumhe kaun chahega
Zaroor koyi chahat ki nazar se tumhe dekhega
Magar hamara dil kahan se layega.
------------ ---------
Pyaar ke jaam ko aise na piyo ke
Adha piya aur aadha chor diya
Yaron yeh pyaar hai pyaar
Nahin koi Max Bar
Jo thora sa lagaya aur bas ].
~CHANDNI~
Age: 124
7832 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
.------------ --------- --
Not every bird can dance,
but peacock did that.
Not every flower can represent LUV,
but Rose did that.
Not every Friend can reach up to HEART,
but u did.
------------ --------- --
Har khushi dil ke karib nahi hoti,
jindagi gamo se dur nahi hoti,
aye dost dosti ko sanjokar rakhna,
dosti har kisi ko nasib nahi hoti
------------ --------- --
I opened my wallet
And find it empty,
Reach in my pocket
And found few coins,
Search my heart
& found U n Our friendship,
Then I realized
How rich I am
------------ --------- --
Without humor, life sux.
Without courage, life is hard.
Without love, life is hope
Without friends like you, life is impossible!
------------ --------- --
Kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahin jaate,
Kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahin jaate,
Kayi dil aise hote hain jo tode nahin jaate,
Aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chhode nahin jaate.
------------ --------- --
~CHANDNI~
Age: 124
7832 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
************ ********* ********
hasrat hai sirf tumhe paane ki,
aur koi khwahish nahi is parwane ki,
shikwa mujhse nahi khuda se karo,
kya zarurat thi tumhe khoobsurat banane ki.
____________ _________ ________
hum ho gaye tumhare bahut sochne ke baad,
dekhna hai ab kise, tumhe dekhne ke baad,
band kar lo in kaatil nigaho ko palko ke saaye me,
ab kise lootna hai mujhe lootne ke baad.
____________ _________ ________
Karu Mein Jinse Tere Husan Ki Tarif
mere Pass Nahi Vo Alfaz
Khudha Bhi Hota Hoga Hairan
Such Kehta Hai 'PREET'
Nahi Hoga Us Khudha Ke Chaman Mein
Tujhsa Koi Aur Gulab
____________ _________ ________
Tumhe dekha to rukha mausam suhana bann gaya,
Haath thaam liya tumne mera aur ek fasana bann gaya,
Furkat mein tumhe yaad kiya to geet suhana bann gaya,
Dekho ae nazneena sab ki tarah main bhi tera deewana bann gaya!!
____________ _________ ________
Tere labon se hai rangat phoolon mein,
Teri aankhon se hai chamak sitaaron mein,
Tu jo muskuraake dekhle aasmaan ko,
Chaand bhi sharmaake jhuk jaaye tere kadmon mein,
____________ _________ ________
Tere chahre se sarkte aanchal ki kasam,
Maine chand ko badli se nikalte dekha.
____________ _________ ________
Apni tareef kaise karu main,
Khud mujhe to kuch malum nahi,
Kadar karne wale ki nazar mein,Hai hum lakho ke,
Warna is duniya mein,Humari koi tareef nahi.
____________ _________ ________
Aapko dekha to sharmaa gaye ye phool,
Chup gaya ghataon mein khila hua wo chaand,
Aapke mukhde ne jaane kaisi shamaa hai baandhi,
Dhadak utha dil humara jab aap se nazar milai.
____________ _________ ________
JAHAN SHAMA KE BADLE DIL JALAYE JATE HAIN,
WAHAN BADE ADAB SE HUM BULAYE JATE HAIN,
WO AUR HONGE JO TARANNUM MEIN GAYE JATE HAIN,
MERE SHER TO PYAAR SE GUNGUNAYE JATE HAIN.
____________ _________ ________
HANSTA CHEHRA GULAAB HO JAYE,
TU MERE GHAZAL KI KITAAB HO JAYE,
CHOO LE JO TU APNI GULABI HOTON SE,
YEH SADA PAANI BHI SHARAB HO JAYE.
____________ _________ ________
Aasman se aai Ek Pari, Juhi jiska Naam,
Karne sabse baatein Subha Shaam,
Karti sabki Khuwaish puri, yehi hai uska Kaam,
Isliye yeh Pari humko lagti hai pyaari.
____________ _________ ________
Dil mein Khuda hai,
Program mein Mazaa hai,
Andaaz bhi Judaa hai,
Dosti mein Wafaa hai,
Isiliye to sab aap par Fidaa hain.
____________ _________ ________
Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Geeton ki pyaas bhujti nahin ki waqt guzar jata hai,
VoiceFM se kaho yoon na sataye,
Program ka waqt thoda aur badaye.
____________ _________ ________
Aaj ki raat bahut khoobsurat nazar aati ho,
Durr ho itni magar kareeb nazar aati ho,
Dekh kar khud ko tum khud se sharma jaao,
Aisi tum chaand ki chaandni si nazar aati ho.
____________ _________ ________
Guzarish hai aap se,
Iss haseen chehre ko,
Chaand se na rubaru karaeiga,
Warna kasam khuda ki,
Chaand us ki chandni ko bhi bhul jayega.
____________ _________ ________
Bhool ker yaad aana koi tumse sikhe,
dil churaker bhag jana koi tumse sikhe*
market mai badi demand hai teri,
chori kerna sikhe to koi tumse sikhe
____________ _________ ________
Uss ki ijazat ke bina suraj nahi aata,
Uss ke ishrae ke bena chand nahi jata,
Mera mehboob hi aisa hai,
Mera dildar hi kuchh aisa hai,
Jis ke bina jiya nahi jata.
____________ _________ _______
Taare aasman mein chamkate hain,
Badal bhi baraste rehte hain,
Hum bhi kitne naadan hain,
Aap dil mein rehte ho,
Aur ham milne ko taraste rehte hain.
____________ _________ ________
Shabdon mein kya tareef karoon aap ki,
Aap shabdon mein kahan bandh payenge.
Kabhi mere aankhon mein jhaank kar dekho,
Hazaron alfaz khud-b-khud bikhar jayenge.
____________ _________ _______
Saaton aasman ki sair hum kar aaye,
Har ek tare se dosti hum kar aaye,
Ek tara thaa khaas jise hum saath le aaye,
Warna aap sochiye aap is zameen par kaise aaye.
____________ _________ _______
Wo chand hai, magar aapse pyara to nahi,
Parwane ka shama ke bin guzara to nahi,
Mere dil ne suni hai, meethi si aawaz,
Kahin aapne hame pukara to nahi.
____________ _________ _______
Tum ko pana zindagi,Tujh ko khona maut hai,
Aur kuch iske siva mere fasaane me nahi,
Mang lunga main khuda se ya chura lunga tujhe,
Tuhj sa moti dusra uske khazane mein nahi.
____________ _________ ________
Gussey Mein Jo Nikhraa Hai,
Iss Roop Ka Kya Kehnaa,
Kuch Dair Abhi Mujh Say,
Tum Youn Hi Khaffaa Rehnaa.
____________ _________ ________
Chaand se hassen hai chandni,
Chandni se hassen hai raat,
Raat se hassen hai zindagi,
Aur woh zindagi hain aap.
____________ _________ ________
************ ********* ********