Kaun Badalta hai??

17048 views 326 replies
Reply to Topic
Rapunzel

Age: 124
Total Posts: 51848
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Loog ya Waqt??

mein abhi purane pm's parh rhi thi kafi ache mem k aur aj mein heeran hun k wo itna kaise badal gye hain, choti choti baton pe khiyal rakhne wale hum se itne bad-gumaan kaise ho gye hain..

really i'm shocked waqt itna change ho sakta hai ye mein mann leti hun lekin insan itna badal sakta hai yaqeen nhi hota..
Posted 10 Jul 2008

~Fragi~ says
nahi woh dhai kee paidawar hota hai
Posted 04 Aug 2008

Rapunzel says
ook
Posted 04 Aug 2008

~Fragi~ says
aur halaaat
Posted 04 Aug 2008

Rapunzel says
mujhe nhi lagta halaat itne asar andaz hote hain ye tu Insan hai jo badalta hai
Posted 04 Aug 2008

~Fragi~ says
agreed


aaj tum meri is baat sey mutafiq ho gayee ho

Posted 04 Aug 2008

Rapunzel says
mein tu pehle se thi Rehan bhai nhi hain
Posted 04 Aug 2008

~Fragi~ says
rehan bhai b ho jayein gein
Posted 07 Aug 2008


Paa G... Halat naturally bhi change hotay hain...


Posted 07 Aug 2008

Rapunzel says
Bhai je naturally tu hote hain lekin 90% banda khud change hota hai
Posted 07 Aug 2008

~Fragi~ says
so true
Posted 07 Aug 2008

Rapunzel says
ap aur agree wallah kiya baat hai
Posted 07 Aug 2008

~Fragi~ says
bhoooko sey demag mauf
Posted 07 Aug 2008

Rapunzel says
acha tabhi mein kahun aj Suraj nikla kahan se hai
Posted 07 Aug 2008

~Fragi~ says
aj suraj b nikla tha ???
Posted 07 Aug 2008

Rapunzel says
han jee Allah ka shuker hai rooz nikalta hai
Posted 07 Aug 2008

~Fragi~ says
bus woh b na janey kiyun roz aata hai
kiya woh roz atey hoye thakta nahi

ya kiya us ka chuti karney ko man nahi karta ??
Posted 07 Aug 2008

Rapunzel says
nhi jee Suraj ko thakan kaisi

Wo Allah tala k tabay hai hum insan hi hain jo thak jate hain ya na umeed ho jate hain
Posted 07 Aug 2008

~Fragi~ says
chalo us ko boriat tu kabhi hoti hogi na
Posted 07 Aug 2008

Rapunzel says
mera nhi khiyal
Posted 07 Aug 2008

~Fragi~ says
means us kee feelings nahi
Posted 08 Aug 2008

Rapunzel says
nahi feelings tu sirf insano mein hoti hain na
Posted 08 Aug 2008

Rapunzel said:

Bhai je naturally tu hote hain lekin 90% banda khud change hota hai



90% kuch ziada hi ho gya hai...
itna ziada insaan khud nahi change hota...
aur boht sai awamil bhi kar farma hotay hain...

jesay kisi ka koi fellow... us sai baat karnay mai mazeed interested na ho... haan hoon karay... to 3rd ya 4th time kay baad woh kyoun karay ga baat... ???

Posted 09 Aug 2008

Rapunzel says
hmmm dekhein baat tu phr wohi aye gi na fellow agr bat nhi karna chah rahe tu unki nature aisi hai aur ye tu sirf reaction ho ga na
Posted 09 Aug 2008

~Fragi~ says
Rapunzel said:

nahi feelings tu sirf insano mein hoti hain na

Tabhi dil toota karte hain
Posted 10 Aug 2008

Rapunzel says
tootne ki cheez hain tootne dein
Posted 10 Aug 2008

~Fragi~ says
haan mazey kee baat hai k phir jur b jatey hain
Posted 11 Aug 2008

Rapunzel said:

hmmm dekhein baat tu phr wohi aye gi na fellow agr bat nhi karna chah rahe tu unki nature aisi hai aur ye tu sirf reaction ho ga na



to is sai kya pata chalta hai keh insaan khud halat nahi change karta hamesha...
Posted 11 Aug 2008

~Fragi~ says
Insaan halaat her haal mein khud zimadar hota hai
Posted 11 Aug 2008

Rapunzel says
~Fragi~ said:

haan mazey kee baat hai k phir jur b jatey hain



this is life cycle
Posted 11 Aug 2008

Rapunzel says
Rehan M Din said:

Rapunzel said:

hmmm dekhein baat tu phr wohi aye gi na fellow agr bat nhi karna chah rahe tu unki nature aisi hai aur ye tu sirf reaction ho ga na



to is sai kya pata chalta hai keh insaan khud halat nahi change karta hamesha...


nhi jee waise ap se baat karne ka matlab ap apne point se tu hatne nhi wale
Posted 11 Aug 2008

Reply to Topic