Age: 125
7581 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
khuda-e-husun nay eik roz ye sawal kia jahan main kiun na mujhe too nay lazawal kia mila jawab k tasweer khana hay dunya shab-e-daraz adam ka fasan hay dunya huye hay rang-e-taghure say jab namood us ki wo hi haseen hay haqeeqat zawal jis ki kaheen qareeb tha yeh guftugu qamar nay suni falak pe aam huye akhter saher nay suni saher nay taray say sun kar sunaye shabnam ko falak ki baat bata di zameen k mehram ko samar aye phool k aansoo piyam-e-shabnam say kali ka nannha sa dil khoon ho gaya gham say chaman say rota hua mosam-e-bahar guzar gaya shabab ser ko aya tha , so gawar guzar gaya
Age: 125
7581 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
*Mujhe Chanda Kaho Jaan Kaho Mujhe Apnay Dill Ka Mehmaan Kaho Mujhe Dekho Har Lamha Yuhi Mujhe Tum Apni Pehchaan Kaho * * Main Poori Karoo Tumhari Har Khawahish Mujhe App Apna Maaan Kaho Har Haal Mein App Muj Ko Hi Socho Muj Se Dill Ka Har Armaan Kaho
Har Lamha App Ko Hi Chahu Main Mujhe Pyar Ki App Apni Shaan Kaho Mere Dill Ki Dharti App Ki Hai Ussay Zameen Kaho Asman Kaho
Sub Kartay Hain Batain App Ki Har Azooo Ko Meri Zaban Kaho App Ki Dunia Mein Khya Rehta Hun Mujay Mast Kaho Anjaan Kaho
Rakhoo Door Har Shaher Ko App Se Mujhe Dost Kaho Negebaan Kaho Bheek Payar Ki Apni De Do Chahy Fakiir Kaho Sultan Kaho