Age: 124
7565 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Dariichay Sy Jhankti Voo Larki Ajeeb Dukh Sy Bhari Hoi Hay Kay Uss Kay Aangan Main Phool Par Ayk Neeli Titli Mari Hoi Hay Kabhi Azanoo Main Khoyi Khoyi, Kabhi Namazoo Main Royi Royi Wo Aisy Dunya Ko Dekhti Hay K Jaisy Iss Se Dari Hui Hay Darood Sy Mahki Mahki Saansein, Wazifa Parhti Uss Ki Aankhain Kay Ayk Shamma-E-Umeed Un Main Kayi Baras Sy Dhari Hoi Hay Baray Zamanoon K Bad Barsi Hay Meri Aankhein Kisi Ki Khatir Baray Zamanoon K Bad Dil Ki Zameen Phir Sy Hari Hoi Hay
Age: 124
7565 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Lashakir said:
Fairl_Girl said:
Kyun pyaar us par hi aata hai Jo mil kar bhi naa mil pata hai Kaise yeh usse batayein hum Tujh bin rah na paayein hum
Kyun baar baar woh satata hai Kuwaabon main aakar rulata hai? Bhulanaa us ko chahein hum Par kis tarah bhulaayein hum?
Woh mann main har dum rahta hai Dharkan ki tarah dharkta hai Hain issi ehsaas se zindaa hum Hain ek-duje ke dil o jaan hum
Ek duje ke dil main rahte hain Kya pyaar issi ko kahte hain?
ji haan ,,,piyar issi ko kehtay hain ,,,,,laikin kooch logoon ka khaiyal hai kabhi kabhi aisa bhe hota hai...
Wo jo milty hain ajnabi raston me An-kahi batain kahty hain aankhon se Kabhi jo zuban nahi dayty apny iqrar ko Roty hain pasyman rahty hain tamam umar wo
,,,,...ya phir kabhi aisa bhe ho jata hai
Teri Bewafai Ka Gham Nahi Hum Bhi Laga Lenge Dil Aur Kahin Kyon K Siyanay Yeh Kah Gaye Hain Bilkul Sahi Tu Nahi Aur Sahi Aur Nahi Aur Sahi
per aisa kiyoon hota hai... koi bataay keh aisa kiyoon hota hai
Age: 124
7565 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
meri aankhon ko aankhon ka kinara kon dega samaneder ko samander main sahara kon dega mere chehre ko chehra kab inayat ker rahe ho tumhen mere siwa chehra tumhara kon de ga muhabbat neela mausam ban k aajayega ik din gulaabi titliyon ko phir sahaara kon dega meri aawaz main aawaz kis ki bolti hai mere geeton ko ggeton ka kinara kon de ga badan main aik sehraa jal raha hai bujh raha hai mere deriyaaon ko Qaiser ishara kon dega