Fairl_Girl
Age: 125
7608 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Wo larki thi ik nazuk si Jo baat baat pay hasti thi Jis ki gehri ankoon main, Umedoon ki masti thi Jis kay khoab sunehray thay Aur khoaboon ki aik basti thi. Jis kay hath ki kali choori, Chan chan kar k bajti thi Dehteez pay jis kay nazuk dil pay, Pyar ki shamma jalti thi
Phir yuu hoa, ik andhi aee Khoaboon ki basti ujar gai, Umedain sab tood gai, Choori ki chan chan maand hoi, Hansi laboon say rooth gai Ab us ki sookhi ankhoon main, Dard ki nadiya behti thi.
Wo to ik masoom kali thi, Wo to bas tanha he bhali thi Jhootay sachay khooab dikha kar Wo phir kiyu ab lot gaya.
Fairl_Girl
Age: 125
7608 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay, Manzil Ka Na Koi Naam Mile Ik Hansta Hua Aaghaz Mile, Ik Rota Hua Anjaam Mile, Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say, Is Dil Ko Koi Paygham Mile, Aur Sari Wafaoon Kay Badlay, Mujh Ko He Koi Ilzaam Mile, Aisay He Kisee Aik Lamhay Men, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Men, Kuch Phool Achanak Khil Jahen, Kuch Betay Lamhe Yaad aaHen...
Fairl_Girl
Age: 125
7608 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Muskaratay Raho Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo Raat kaali sahi koi gham na karo Aik sitara bano jagmagatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho Baant'ni hai agar baant lo har khushi Gham na zahir karo tum kisi per kabhi Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho Ashk anmool hain kho na dena kahin In ki har boond hai motiyoon se haseen In ko har ankh se tum churatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho Faaslay kam karo dil milatay raho Zindagii men mein humesha.... muskuratey raho
Fairl_Girl
Age: 125
7608 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
her aik muskurahat "MUSKAN" naheen hotee mohabbat ho ya nafrat asaan naheen hotee aansoo khushi k hoon ya ghum ke hotay hain aik jaisay in aanso'on ki koi pehchaan naheen hotee
Wo maira ho jo nigahon main haya rakhta ho har kadam saath chalay azam wafa rakhta ho naaz us kay na uthaaoon to shikaayat na karay har gham seh kar bhi hansnay ki ada rakhta ho
Fairl_Girl
Age: 125
7608 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
BHULAYA NA JAA SAKA
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka kuch log zindagi main aise bhi aaye hain jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar chehre ka rang us se chupaya na jaa saka tanhaiyon ki aag main hum jal gaye magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
Fairl_Girl
Age: 125
7608 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Kiya ISHQ mujh hi say kerte ho? Bay baat bigarte rehte ho Bay chain hamesha rehte ho Yeh sab nishani ISHQ ke hai Kiya ISHQ kise say kerte ho? Ratoon ko jagte rehte ho Aur tarey bhi tum ginte ho Yeh sab nishani ISHQ ke hai Kiya ISHQ kise say kerte ho? Zikr jo mera chalta hai Chehrey ka rang badalta hai Bay chain say tum ho jatey ho Kiya ISHQ mujh hi say kerte ho
Fairl_Girl
Age: 125
7608 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
when love can not be heard when winds are silent too when i hate the song of birds im so so far from you
my words are not my slave my heart just utters them while sitting outside my grave and waiting for my gem..
but then you arrive and automns leave the flowers bloom, the wounds heal a hope is there i then believe you'll wipe my tears, my sorrows, you'll steal
then slowly hesitating u come so near my hand you hold for a moment or two and whispered those word which im dying to hear the words so speial when i hear from you
its not just today its way back long when my life had shown me those horrible storms when your arms held me kept me safe and warm i owe you wat?? im yours and my heart too words limit my feelings when i just say I LOVE YOU!!!
Fairl_Girl
Age: 125
7608 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Tumhain Jab Kabhi
tumhain jab kabhi milain fursatain meray dil say boj utardo main bohat dino say udas hon mujhey koi sham udhar do mujhey apnay roop ki dhoop do k chamak sakain meray khad-o-khal mujhey apnay rang main rang do meray saray rang utar do kisi or ko meary haal say na garz hai na koi wasta main bikhar gaya hon samait lo bigar gaya hon sanwar do meri wehshaton ko barhadiya hai judayun k aazab nay meray dil pay haath rakho zara meri darhkanon ko qarar do tumhain subh kaisi lagi kaho meri khawishon k dayar ki jo bhali lagi to yahin raho issay chahaton say nikhar do wahan ghar main kon hai montazir k ho fikr dair sawair ki bari mukhtasir yeh raat hai issay chandni main guzar do koi baat kerni hai chand say kisi shakhsar ki oot main mujhey rastay main yahin kahin kisi kunj-e-gul main utar do
Fairl_Girl
Age: 125
7608 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Bhool ker bhi hum tujhey bhula na sakey... Aur Baar baar yaad ker key bhi tujhe yaad aa na sakey.....Aisi ki thi kuch paaney ki chah...humney!! Ki phir aur fariyaad ko hath utha na sakey.... "NUM" hui meri ankhien Kuch is tarah terey sitam sey , Beet gayi umar hum muskura na sakey.... Wasiey tu tuney apna bana ker chor diya tha, Chah! ker bhi hum tujhey thukra na sakey... Kehna tu bohot kuch tha us din bhi mujhe... They haalat aisey ki hum lab hila na sakey, Dhadka tha dil mera,royi thi rooh bhi bohot.. Par kaisey they bayimaan ansoon... Tujhe merey pyaar ka yaqeen tak dila na sakey.... Aur baar baar yaad karke bhi tujhey yaad aa naa sake! Aisi ki thi kuch paane ki Chah! Humney, Ki phir aur fariyaad ko haath utha naa sake, ‘Num’ huyi meri ‘aankhain’ kuch is tarha tere ‘Situm’ se, Beet gayi umer aur hum muskara na sake
Fairl_Girl
Age: 125
7608 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Bhulkar bhi tujhey bhula na sake, Aur baar baar yaad karke bhi tujhey yaad aa naa sake! Aisi ki thi kuch paane ki Chah! Humney, Ki phir aur fariyaad ko haath utha naa sake, ‘Num’ huyi meri ‘aankhain’ kuch is tarha tere ‘Situm’ se, Beet gayi umar hum Muskra naa sake, Waise to tuney apna banakar ChoRh diya tha, Chah! Kar bhi hum tujhey Thukra naa sake, Kehna to bahut kuch
Fairl_Girl
Age: 125
7608 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Shall I compare thee to a Summer's day? Thou are more lovely and more temperate: Rough winds do shake the darling buds of May, And Summer's lease hath all too short a date: Sometime too hot the eye of heaven shines, And often is his gold complexion dimm'd; And every fair from fair sometime declines, By chance or nature's changing course untrimm'd:
But thy eternal Summer shall not fade Nor lose possession of that fair thou ow'st; Nor shall Death brag thou wander'st in his shade, When in eternal lines to time thou grow'st: So long as men can breathe, or eyes can see, So long lives this, and this gives life to thee.