Age: 124
7567 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Miss mine said:
Fairl_Girl said:
Youn Loat Aao........
youn loat aao keh ek baar phir say mera wajood, tumharay sath kay rangon mein kuch is trah rangay, keh jaisay raat mein phailay sagar ki koi tarpti lehar, haseen chand ki narm roshni mein behakay
youn loat aao keh ek baar phir say mera ehsas, tumharay sath kay naghmon kay sahar mein doobay keh jaisay madhur sargoshi ka koi khoya howa saaz apnay suroon kay jaltarang say khud hi lehkay
youn loat aao keh ek baar phir say mera jeevan tumahary sath ki narm loa say yun chamakay keh jaisay khoi hoi titli kay udass jeevan mein kahin say aas ka ek jugno sitara sa chamkay
yuon loat aao keh ek baar phir huma kay rang tumharay sath kay haseen paloon say yun munawar hoon, keh jaisay sham kay aasman pay phaili hoi shafaq zameen O aftab kay milan say sharma kar damkay
Age: 124
7567 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
~| dArd |~ said:
Aaj Phir tUm Ney Meray Dil mein Jagaya Hia Wo Khawab Mein Ney jiS Khwaab kO Ro Ro k SulAya Tha Abhe Kia Milla tUm kO Inhay Phir Se frOzaan Kar Key Mein Ney Dehkay hOye ShOulon kO buJhaya Tha Abhe
Mein Ney Kya kUch Nhe SoCha Tha Meri jAan e Ghazal K Mein iS Shair Ko ChahOn Ga iSsay pOjoon Ga Apni TarSi hOi Aaghosh Mein Taarey Bhar Key QaSarma Taab tO Kya Arsh Ko Bhii Cho lOun ga
tUm Ney Tab Waqat kO Har Zakham Ka Marham Samgha Or NaSoor Meray JaDal Mein ChamaKtay Bhe Rahay Lazat e TaShna Labi Bhe mUghe SheShon Ney Na Dii Mehfila e Aam Mein Ta Dair Chalaktay Bhe Rhay
Or Ab jab Na kOi dArd Na HaSrat Na KaSak Eik LaRazti hOi lO'u ko Teh DaMaan Na Karo Tergi Or bhe Bar jAye gii Veeranay Kii Meri UjaRi hOii dUnya Mein CharaGhan Na Karo