Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Welcome back....Shaista jii Aap ki ghair hazri bohat ziyada mehsoos ki gai... Nikhar to din ba din aa he raha hay... ab aap ne iss mehfil main Dawam bakhshna hai
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Iss Tarah Meri Wafa Ka Haq Woh Ada Kar Raha Hai Mera Humnawa Hi Meri Marne Ki Dua Kar Raha Hai Sar-Basar Mit Gaye Hum Jab Chor Diya Usne Saath Apni Yaadon Se Bhi Mujhe Woh Juda Kar Raha Hai Zarurat Nahi Use Kisi Khanjar Ya Teer-E-Kamaan Ki Muskura Kar Mera Dili Sukun Woh Tabah Kar Raha Hai Kaise Samjhaye Hum Aisi Alam Mein Dil-E-Nadaan Ko Use Aaj Bhi Chahne Ki Kambakat Gunaah Kar Raha Hai Socha Jab Bhul Gaye Woh Hume Toh Gile Shikwe Kaisi Khata Iss Dil Ki Hai Jo Pyaar Use Bepanah Kar Raha Hai
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Aey Dost Kabhi Chor Mat Jaana
Aey Dost Kabhi Chor Mat Jaana, Dosti Karke Dil Tor Mat Jaana. Dikha Kar Mujhe Raah-E-Zindagi, Beech Raaste Chor Mat Jaana. Aey Dost Kabhi Chor Mat Jaana
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Hanste Hue, Aankhon Main Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo Kyun Khushi Ko Adhoora Sa Bana Jaate Hain Ye Aansoo Dard Itna Hai Saha, Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka Jaane Kahan Se Aankhon Main Bhar Jaate Hain Ye Aansoo Khush Hoon Main, Koi Shikwa Zamane Se Na Taqdeer Se Meri Iss Baat Ko Jhoota Kyun Bana Jaate Hain Ye Aansoo Shayad Khabar Hai In Ko Bhi Kis Qadar Tanha Hoon Main Tanhaayi Main Mera Saath Nibha Jaate Hain Ye Aansoo !!
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Rakht-E-Safar Bandena Jeb Wapsi Ka, Ek Ehsaan Kerna, Dil Pay Chayee Ghoor Udasi Ke Nishaan Talaash Kerna Sang Ous Ke Wo Kehkahay, Wo Zindagi Ke Mehak Kurbet Main Ous Ke, Her Kantay Main Bhee Gul Talaash Kerna Wo Keh Jis Pe Keyeh Thay Eyaan, Dil Ke Raaz Saray Wo Keh Dil Ko Tha Jis Se Muhaal, Kuch Chuppa Rekhna Wo Jo Pehchaan Meri Ho Geya Tha Wo Jisay Aata Tha Tabesum Se Rooh Qeza Kerna Magan Milay Apnay Aap Main Yahan Her Sakhs Khaki Muskil Howa Hain Ab, Ous Sa Koi Humsafar Talaash Kerna.
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Shaista Jii...aap k liaay khass
Kaanton Se Guzar Jaanaa Sholon Se Nikal Jaanaa Phuulon Kii Bastii Main Jaanaa To Sambhal Jaanaa Din Apnii Chiraagon Ki Maanind Guzarte Hain Har Subah Ko Bujh Jaanaa Har Shaam Ko Jal Jaanaa Bachchon Hi Si Fitrat Hai Ham Ahl-e-muhabbat Ki Zid Karnaa Machal Jaanaa Phir Khud Hi Sambhal Jaanaa Vo Shakhs Bhalaa Mera Kyaa Saath Nibhaayegaa Mausam Ki Tarah Jis Ne Siikhaa Hai Badal Jaanaa
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Shaista... jii W@H... Bohat he Lajawab Ghazal hai... jisay Mehdi Hasan Sahib Ne Bohat khoob gaya hai [email protected]@H... Chalay bhe aao k Gulshan Ka Karobar Chalay...
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Thanks ... Shaista Jii...Poetry ki pasandeedgi ka Shkria Iss k mutaaq kia khiyal hai aap ka...
Jab Tuta Hai Dil Toh Phir yaad Kyu Na Karoon Unki Yaadon Se Dil Ko Azaad Kyu Na Karoon Kaheta Hai Dil Woh Bhul Gaye Hume Toh Kya Ki Hai Mohabbat Toh Unhe Yaad Kyu Na Karoon Cheen Li Unho Ne Meri Jeene Tak Ki Ummid Apni Zindagi Khud Hi Barbaad Kyu Na Karoon Likhi Hai Kismat Mein Jo Gumon Ki Parchaayi Tanhaiyon Se Hi Fir Dil Shaad Kyu Na Karoon Hum Mar Bhi Gaye Toh Unhe Milengi Khushi Marne Ki Koshish Har Saas Ke Baad Kyu Na Karoon
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Khamoshi Se Suno Wo Aawaaz Hamari Hogi, Mehfil Me Jo Tanha Kar Jaye Wo Yaad Hamari Hogi, Jab Kabhi Bhi Sochogi Hamare Pyar Ko To? Har Taraf Khushiyan Hongi Lekin Kami Hamari Hogi.
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Bite Huye Pal Kabhi Laut Ke Aate Nahi, Saath Guzare Lamhe Kabhi Bhulaye Jaate Nahi, Ye Pal Aur Ye Hi Lamhe Saathi Hain Mere, Kyuki Ye Wo Pal Hain jo Kabhi Bhulaye Jaate Nahi,