Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
kooch Ashaar aor aap ki nazar....
Jab Tuta Hai Dil Toh Phir yaad Kyu Na Karoon Unki Yaadon Se Dil Ko Azaad Kyu Na Karoon Kaheta Hai Dil Woh Bhul Gaye Hume Toh Kya Ki Hai Mohabbat Toh Unhe Yaad Kyu Na Karoon Cheen Li Unho Ne Meri Jeene Tak Ki Ummid Apni Zindagi Khud Hi Barbaad Kyu Na Karoon Likhi Hai Kismat Mein Jo Gumon Ki Parchaayi Tanhaiyon Se Hi Fir Dil Shaad Kyu Na Karoon Hum Mar Bhi Gaye Toh Unhe Milengi Khushi Marne Ki Koshish Har Saas Ke Baad Kyu Na Karoon
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Jab Tuta Hai Dil Toh Phir yaad Kyu Na Karoon Unki Yaadon Se Dil Ko Azaad Kyu Na Karoon Kaheta Hai Dil Woh Bhul Gaye Hume Toh Kya Ki Hai Mohabbat Toh Unhe Yaad Kyu Na Karoon Cheen Li Unho Ne Meri Jeene Tak Ki Ummid Apni Zindagi Khud Hi Barbaad Kyu Na Karoon Likhi Hai Kismat Mein Jo Gumon Ki Parchaayi Tanhaiyon Se Hi Fir Dil Shaad Kyu Na Karoon Hum Mar Bhi Gaye Toh Unhe Milengi Khushi Marne Ki Koshish Har Saas Ke Baad Kyu Na Karoon
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Waqt bhi chal raha hai usi raftaar se, Meri zindagi me sab kuch thehra kyon hai? Gile shikwe ruk jaate hai hontho tak aake, Har lafz pe khamoshi ka pehra kyon hai? Dil kahta hai mohabbat nahi khata hai ye, Phir dil ki deewar par tera chehra kyon hai? Aur bhi zakhm hai tere zakhmo ke siva, Tere hi zakhm ka daag itna gehra kyon hai?
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
VEEEERY FINE...Good
shaista said:
Yeh na samjho ke tujh ko bhulaye baithe hain Teri yaad ko dil main chupay baithe hain Deikh lete hain jab bhi gi chahta hai surat teri Teri tasweer ko hum aina banaye baithe hain
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Aik martaba phir aap dono....Shaista jii aor lildude jii .... SHUKRIA....KEH AAP KO MERI POST KI GAI POETRY PASAND AAI ..... LIJIAAY... AAP DONO K LIAAY KHASS....AAP KI NAZAR....
Chamak Nahi Thi Raton Mein Din Bhi Kale Kale The Jitni Door Tum The Mujse Utni Door Ujale The Apne Khali Ghar Me Hamdam Jab Main Tanha Rehta Tha Farsh Pe Dhool Jami Rehti Thi Deewaron Par Jale The Khulte Hi Lifafa Soone Dil Ka Kona Kona Mehak Uthha Khat Kuchh Aisi Khooshboo Wale Tumne Mujhko Dale The Ai Dost Dilon Ke Milne Ko Agar Dosti Kehte Hain Ab Tak Jitne Dost Mile Sab Haath Milane Wale The Aaye Ho Meri Zindgi Me Zindgi Ab Tumhaari Hai Manjeet Sans Ke Dhage Ab Tak Tere Liye Sambhale The
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
THANKS....Shaista jii and lildude FOR LIKING POETRY...
ONE IS MORE FROM MY SIDE ,,,,,,,,,,,
Laoon wo tinkay kahin se Ashiyaanay kay liye
Laoon wo tinkay kahin se Ashiyaanay kay liye Bijliyaan betaab hoon jin ko jalanay kay liye Wayee Nakaami, Falaq nay taaq kar tora ussay Meinay jiss dali ko Taarra Aashiyanay kay liye Aankh mill jati hai hafta do do millat se teri Aik Pemana tera saray zamanay k liye Dil mein koi isS Tarah ki Arzoo Peda karooon Lot jaye Asmaan meray mitanay k liye Jama kar Harman to pehle dana dana chun kay tuu Aa hi niklay gi koi bijli jalanay kay liye Paas tha nakami-e-Saiyyad ka ae hamsafar Warna mein aur Urr kaay aata aik danay kay liye! Iss Chaman mein Marg-e-dil gaye na Aazadi ka geet Aah! ye Gulshan nahe Aisay taranay kay
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Fairl_Girl said:
Is dil mein salamt hy ab tak Wo shukhi-e-lab wo harf-e-wafa Wo naqsh-e-qadam wo aks-e-hina So bar jise chuma hum ne So bar parstish ki jis ki Is dil mein salamt hy ab tak Wo gard-e-alm wo deda-e-num Ham jis mein chupa kar rakhte the Tasveer bikharti yadöön ki Zanjèèr pighalte wadöön ki Punji nakam iradøön ki Aay taz hawa naraz na ho Is dil mein salamt hy ab tak Samam bicharti saät kä Kuch tukre garm dupahuroon ka Kuch raz narm sawaloon ke Kuch dar unmul kheyaloon ke Ik sacha rup haqeqt ka Ik jhota lafz MOHABAT ka
Is dil mein salamt hy ab tak .... VeeeeeeeeeeeeeeeRY NICE SHERING
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
use muj se mohabat ha wohi takrar lafzoon ki wohi anjaan si dastak wohi guman si kasak wohi har baat pe ranjish wohi har baat pe larna wohi likna hamaray naam ko bay rehm mojoon par wohi apni kitabon main gulabi titliyan rakhna wohi muskan dhemi si wohi kuch bolti Aankhin wohi chup chaap sa lehja wohi b chain si hal chal wohi saaye se ghabrna wohi kehne se kuch darna sab hi Aasar kehte hain use muj se mohabbat ha...
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
shaista said:
Wo silsle wo shoq wo nisbat nhi rahi.. ab zindgi mein hijar ki vehshat nhi rahi.. Toota hai jab se uski maseehayi ka tilsim,, dil ko kisi maseeha ki hajat nhi rhi.. Phir yun hua k koi shanasa nhi rha,, phir yun hua k dard mein shiddat nhi rhi,. Phir yun hua k ho gya wo masroof bhi buhat,, phir hamain yad krnay ki usay fursat nhi rhi.. Ab kya kisi ko chahain k humko to in dino,, khud apne aap se b muhabat nahi rahi
Age: 50
6313 days old here
Total Posts: 265
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
shaista said:
Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye
Khud phuul ne bhii ho.nTh kiye apane niim-vaa chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye
is Khauf se vo saath nibhaane ke haq me.n hai khokar mujhe ye la.Dakii kahii.n dukh se mar na jaaye
palko.n ko us kii apane dupaTTe se po.Nch duu.N kal ke safar me.n aaj kii gard-e-safar na jaaye
mai.n kis ke haath bhejuu.N use aaj kii duaa qaasid havaa sitaaraa ko_ii us ke ghar na jaaye
use muj se mohabat ha wohi takrar lafzoon ki wohi anjaan si dastak wohi guman si kasak wohi har baat pe ranjish wohi har baat pe larna wohi likna hamaray naam ko bay rehm mojoon par wohi apni kitabon main gulabi titliyan rakhna wohi muskan dhemi si wohi kuch bolti Aankhin wohi chup chaap sa lehja wohi b chain si hal chal wohi saaye se ghabrna wohi kehne se kuch darna sab hi Aasar kehte hain use muj se mohabbat ha...