Age: 124
7070 days old here
Total Posts: 51848
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Saamnay aa key nigaahoon ko churaata kiyoon hay Hay ager piyaar ussay bhee to chuppaata kiyoon hay Chain din main hay ussay aur na raatoon ko sakoon Itnee qurbet hay to phir rooth kay jaata kiyoon hay Youn to main bhool gaya hoon ussay maazi kee tarah Dil ko her waqt mager yaad woh aata kiyoon hay Teri faryaad sunni hay na sunnay ga koi Phir bhee tu haath duaaoon ko uthaata kiyoon hay
Age: 124
7070 days old here
Total Posts: 51848
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Dil-e-Nadar main ik tees uthti hay, Khawishoo kay zard haley fiza ko dhaanp daitey hain, Dil ki har dharkan matam kanaa yeh kehti hay, Bus tum lout hi aao, Rang bhar do is hyat-e-bayrang main, Hayat-e-muntashir ko tum samait sakti ho, Meri rooh kay zakhmoo ko tum bant sakti ho, Tu bus phir yeh taay howa, Main tumharay sung chalna chahta hoon, Khud ko tum say bantna or tum ko khud main sumoona chahta hoon, Per ab yeh faisla tum ko kerna hay, Ik zara si haan keh ker meera hur gham baant lo, Door-e-guzashta ki hur siahi ko chant do, Meri hur saans tum lay lo bus apni haan mujhey day do, Main is taaluq ko dawam dena chahta hoon, So ik main hoon woh tum lay lo, So ik tum ho, mujhey day do
Age: 124
7070 days old here
Total Posts: 51848
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kOoLeSt1 said:
Rapunzel said:
koi pooch lay to main kia kahon? usay kia bataon? yeh roz-o-shab to janam janam pay muheet hai mairay zakhm zakhm dil-o-nazar mujhay iss janam main nahi milay mairay ratjagay, mairay hamsafar mairay sath aaj nahi chalay yeh muheeb-e-wahshat-e-fiqar jo mairay naqsh naqsh ki rooh hai koi baysabaat bayan nahin yeh to asmaanon ka aks hai yeh to devtaaon ka dhiyan hai yeh to janay kaisi sadi sadi ki azeeyaton ka gayaan hai yeh ajeeb mairay gham-e-alam yeh naseeb sang-e-siyah per yeh warq warq pay garray qalam yeh karra hisaar naya nahi maira intezar qadeem hai maira uss say piyar qadeem hai yeh ajeeb mairi muhabbatain yeh ajeeb mairi muhabbatain...
Age: 124
7070 days old here
Total Posts: 51848
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Raat hogi to chand bhi dikhai dega, khabho me tumhe vo chehra bhi dikhai dega; ye mohabat hai jara soch ke krna, kyonki ik AANSU bhi gira to sunai dega.
Age: 124
7070 days old here
Total Posts: 51848
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Ufaq se par koi had nazar me rakhe gi Teri talash musalsal safar me rakhe gi Ajeeb shay hy teri yad jo bala ki trah Har aik pal muje apne asar me rakhe gi