cool.
eik building hay agar us kay foudation, material, aur labour sahih (correct) nahi hay to ya to woh building nakara ho jati hai, ya gir kay kai janay lay leti hai, aur us ki itni devestation phelti hai kay kiyamat sa sama lagta hai. look a the twin towers.(not saying it was bad quality, but what devestation it caused).
isi tarah society bhi hai, hamaray pas hamaray achay values hain (building ka plan), lekin hamaray ideals, hamaray loog aur hamari harkatoon mein khot hai.
agar bachoon ko bachpan mein rok-a-toka na jai, to phir there should b no surprise when everything goes haywire. choti ummar mein bachoon ko remote istamal peh rok nahi. woh jo marzi dekhain, sirf is liye kay ma ya bap busy hai to bacha tang na kare ussay tv kay aagay rakh do. is umar mein hamnay tv remote ki shakal nahi dekhi thi.
bachoon ki language itni kharab hay kay F* galiyan tak aati hai meri cousin kay batay ko jo sirf 3 sal ka hai. ma baap nay achi tarah tho-kai
ki ho to bachay ki majal nahi hoti kay woh aisa kam karay.
bachonn ko apnay kamaray diye hain aur agar app un say communicate karnay ki koshish karen to woh privacy, privacy ki rat laga day tay hain. parents ko patah nahi kay liyaa ho raha hay under. tv aur games aur computer kamroon mein rakhe hain jo marzi P**N, ya wahyat dekhin, kisi bhi galat loog say chatting karen, koi pata nahi parents ko, lekin parents to apni independent zindagi guzar lein
na bachay comunicate karen, na parents apnay bachay kay kareeb ja nay ki koshish karen.
phir bachay galat dostiyan pal lay tain hain, jo unhay bura banatay hain, parents ko bachay ki company peh bhi nazar rakhni chahiya.
meray parents nay apni independence kisi had tak qurban kar kay, bajay is kay hum bahar ja kay buri chizoon say pala paray, ghar la kar sab dia. tv jo sab dekhain, computer sab kay samnay. abhi tak agar koi zara si bhi dodgy dress ya gf ya bf ka lafaz aa jaye abu itnay naraz hotay hain, kay hamari majal nahi hoti kay aagay say kus-kain.
thik hay aajkal family entertainment ka koi concept nahi lekin family living ka to hai. parents film pehlay dekhain, phir bachoon kay dekhnay wali ho to bachoon ko bhi dikhain. un ka bhi haq hai. un kay kamaray sharing peh karen doosary behan bhai kay sath. un kay dooston peh nazar rakhain. unhay parhnay, likhnay, dekhnay ki ijazat dein, lekin nazar rakhen. kehtay hain na sona ka chamach khilain, lekin sher ki nazar rakein.