Agreed with Sun-Shine. Mei ye life Guzaar chuka hoon. Mei apne experiance se kah sakta hoon ki Life mei parrai ke alawa bhi esi kai baten hein jo pay karti hein baad mein.
Mein ne 20 years ki age mein graduation complete kar liya tha aur chance mil gaya to Dubai nikal gaya tha. 4 saal DXB mei tha aur ab 5 mahine se China mei hoon.
Ye calculation hui sirf 6 saal ki. (now I am 26)
Lekin in 6 salon ke experiance se mei kah sakta hoon ki parrai ke alawa insaan ko aur kai baaten pay karti hein. Agar parrai ko hi base banana hei to you must be in over 90% marks range.
Mein aaj aese bahut se logon ko janta hoon jo apni life mei parrai mei kabhi achhe nahin rahe lekin apni practical life mei bahut sucsess kahe ja sakte hein.
Aur kuch ek mere classfellow jo 90% ke uuper ki range mei rahte the aaj bhi mamuli naukri kar rahe hein.
So I want to say ki life mein vo hi sucsess nahin hei jo bahut jyada parrte hein. Vo log generally aapko apne se kam parre likhe logon ki naukari bajate hue hi dikhenge.