Bheer main ik ajnabee ka samna acha laga
Sab say chup kar wo kisi ka dekhna acha laga
Surmai aankhon kay neechay phool say khilnay lagay
Kahtay kahtay kuch kisi ka sochna acha laga
Baat to kuch bhi nahin thi lykin us ka aek dam
Hath ko honton pay rakh kar rokna acha laga
Chay main cheenee milana us gharee bhaya bohat
Zer-e-lab wo muskurata 'shukriya' acha laga
Dil main kitnay ahad bandhay thay bhulanay kay usay
Wo mila to sab araday todna acha laga
Bay arada lams ki wo sansnee piyaree
lagee Kam tvja aankh ka wo dekhna acha laga!
Neem shab ki khamshee main bheegtee sadkon pay kal
Teree yadon kay jalv main ghoomna acha laga
Us adooy jan ko Amjad main bura kesay kahoon
Jab bhi aaya samnay wo baywafa acha laga
Khoon se rangeen deewar-o-dar banaa diya
Zara sa haath mainey zakhmon se utthaa diya
Teri yaadon ne dastak jab bhi dil pe di
Aik aah bhar lee aik aansoo bahaa diya
Cheekh-te hain dil ke chhalle naam-e-marham pe
rog kaisey tumney ye dil ko lagaa diya
Phir bhi deta hai tum hi ko dil duaayen
mana ke tuney mujhey khaak mein milaa diya
Baitha hoon jaise lutt gaya ho dilli ka taaj
aaj mainey tera aakhiri khat bhi jalaa diya
Woh chehre ko duppatte mein chhuppaye chal diye
" ek shair mainey kya sunaa diya
Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana
Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana
Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana
Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana