mughl-e-azam said:khobsoorat hain wo lub
jo pyari batein kertey hain
khobsoorat hai wo muskurahat
jo dosaroon ke chehroon per bhimuskan saja de
khobsoorat hai wo dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tarpey
khobsoorat hain wo jazbat
jo kisi ka ehsaas karein
khobsoorat hai wo ehsaas
jo kisi ke dard ka madawa baney
khobsoorat hain wo batein
jo kisi ka dil na dukhaein
khobsoorat hain wo ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho
khobsoorat hain wo ansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jaein
khobsoorat hain wo Hath
jo kisi ko mushkil
waqat mein tham lein
khobsoorat hain wo qadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey berhein !!!!!
khobsooart hai wo sooch
jo kisi ke liye acha soochey
khobsoorat hai wo insan
jis ko KHUDA ne ye
khobsoorati ata ki.
Waheed_Younis said:Yoon Jurm-e-Mohabbat ki saza deti hai Duniya
Hanste hue chehron ko rula deti hai duniya
Marne ki Tamanna ho to, marne nahin deti
Jeete hain to jeene ki saza deti hai Duniya
Fairl_Girl said:Roz Taron kee numaaish mein khalal padta hai
Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai
Unkee yaad aayee hai saanso zara ahista chalo
dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai