SupidGuy said:
sun_shine said:Assalam O Alaikum
*Oops very bad lol
InshAllah 7 days tak theek ho jaega...!
Walaikumassalam!!!
SS Dearie kuch acha acha bolo PLZ.....LOL
Mera tu 36 Hrs mai bura haal ho gaya hai....
Kahan 1 Week???
~tasha~ said:Here I stand with heart in hand,
entrusting that you will take care.
Never were there feelings so grand,
a love so beyond compare.
This strong bond, unbreakable,
between us, deeply held love,
My faith in you so unshakable,
blessings bestowed from above.
~tasha~ said:thx shine
kOoLeSt1 said:tere aane kaa dhokaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jaltaa rahaa hai
ajab hai raat se aaNkhoN kaa aalam,
ye dariyaa raat bhar chaRhtaa rahaa hai
sunaa hai raat bhar barsa hai baadal,
magar vo shah’r jo pyaasaa rahaa hai?
vo ko’ii dost thaa achche dinoN kaa,
jo pichhlii raat se yaad aa rahaa hai
kise DhuuNDoge in galiyoN meN “Nasir”?
chalo ab ghar chaleN, din jaa raha hai
kOoLeSt1 said:hazaar ahl-e-junuuN halqaa-e-rasan meN rahe
magar Khayaal-e-parastaarii-e-chaman meN rahe
tere Khayaal ke ehsaaN raheNge yaad hameN
jis anjuman meN rahe terii anjuman meN rahe
gayaa na qaid-e-qafas meN bhii baaNkpan apnaa
usii tarah se rahe jis tarah chaman meN rahe
vo Khaar jinse guzarte haiN log bach bach kar
bahaar ban ke vohii mere pairahan meN rahe
tamaam raat guzaarii Khayaal-e-KhuubaaN meN
tamaam raat sitaaroN kii anjuman meN rahe
kuch is tarah se raho ruuh-e-gulistaaN ban kar
tumhaare baad tumhaarii mahak chaman meN rahe
ye iKhtilaaf na ho maikasho meN ai saaqii
nayii sharaab agar saaGhar-e-kuhan meN rahe
dar-e-Jigar bhii milaa aastaana-e-Taskeen bhii
“Shamim” kyuuN na sarfaraaz ahl-e-suKhan meN rahe
kOoLeSt1 said:guzray dinoon ki yaad bersaati ghata lagay
guzroon jo us gali se tu thandi hawa lagay
mehmaan ban k aay kisi roz ager wo shakhs
us roz bin sajai mera ghar saja lagay
main is liye manata nahi wasl ki khushi
mere rakeeb ki na mujhe bud dua lagay
wo qahat dosti ka para hai in dinoon
jo muskura k baat keray aashna lagay
tark-e-wafa kay baad ye uski adaa 'Qateel'
mujh ko sataye koi tu usko bura lagay
kOoLeSt1 said:Tere badan se chura ker mehak hawa degi,
Zakhm ko rang hara shokhi-e-saba degi.
Mujhe yaqeen hai jab mera tazkara ho ga,
Woh kuch kahe na kahe aankh muskura degi.
Mera her sher teri yaadon se aashna yun hai,
Meri her ghazal mere dard ka pata degi.
Main kuch kahon na kahon lab se magar yeh meri ghazal,
Dua ko aik naya tarz-e-iltija degi.
Jo khud ko bashar kahe or dare bashar se hi,
Khuda ki gaibi madad saath us ka kia degi.
Tere khayal ki khushbu tere lafzon ki mehak,
Mujhe yeh darr hai ke shayar mujhe bana degi.
Main Tanhaa tha to nahi jurm-e-muhabbat se qabal,
Kya khabar thi ke woh tanhayee ki sazaa degi...!!!
kOoLeSt1 said:haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii
shauq meN kuch nahiiN gayaa, shauq kii zindagii gayii
ek hii haadisaa to hai aur vo ye ke aaj tak
baat nahiiN kahii gayii, baat nahiiN sunii gayii
baad bhii tere jaan-e-jaaN dil meN rahaa ajab samaaN
yaad rahii terii yahaaN, phir terii yaad bhii gayii
uske badan ko dii namuud hamne suKhan meN aur phir
uske badan ke vaaste ek qabaa bhii sii gayii
uskii ummiid-e-naaz kaa hamse ye maan thaa ke aap
umr guzaar deejiye, umr guzaar dii gayii
uske visaal ke liye, apne kamaal ke liye
haalat-e-dil ke thii Kharaab, aur Kharaab kii gayii
teraa firaaq jaan-e-jaaN aish thaa kyaa mere liye
yaanii tere firaaq meN Khuub sharaab pii gayii
uskii galii se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar
ek galii kii baat thii aur galii galii gayii
Lashakir said:
Asian said:Menay baat kerni hai loogon ke disability ke baray meai,
ek saal pelay meri college ko pata chala meai disabled hoon parhai meai, mera condition ka naam hai dyslexia, he hota hai insaan ko spelling meai, aur logical topics meai problem hai,likin I.Q naturaly high hota hai,
abb meai University meai hoon , aur udder lecturers ko batana para meri condition ka, us ke baad uno nay decide kiyah ka mujay extra exam time milay aur mujay study support upper se specialist softwear be,
Last week meai Legal section meai thi, case dhoond rahi thi, meai beti notes banay. mujay peechay se awaz ayie doo larkiyan baat kar rahi thi disabled students ke baray meai, ke woh freeloading ker rahay hai aur unko university meai dhakil honay ka huq nahi.
meai upset bhoot howi, weekend per upset rahi, raat ko pir missy ko bataya, missy ghussa ker kay us nay kaha uni ja ker sub ke essi ke tessi kerti ,
likin us nay mujay kaha mera kasoor nahi hai, aur upper se jab ye kami be hai tab be meai unko ke level meai paarti hoon,
ajj university gayie aur sub ko pata challa meai dyslexic hoon, shock meai thay, unko ko nahi lagta tha meray lectures meai jawabs deek ker kay mujay parahi meai kammi hai,
abb meai pooch na chati hoon, society meai insaan ko loog kyion apnay neechay samjtay hai jab pata chalay kay us ko kahni na kahni se kami hai?
meri disbility physical nahi hai, likin untee effect kerti hai, mujay takreeban last year college meai pata challa us ke baad be mujay two A's two B's aur C mila graduation meai
so why do people have the prejudice?