~CHANDNI~
Age: 125
7923 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Sajdey
Bitha ke pehloo main merey hamdam main zidagi bher ka piyar doonga
Jo bach gaye hain main un dinon ko teri qurbaton main guzar doonga
Chupey bhi kaise nazer se meri woh chand jaisa haseen pertive
Hata ke bikhri ghata si zulfain haseen chehra nikhar doonga
Chaman ke her phool main base too rahe jo kaliyon main ban ke khushboo
Khazan ka jis per parhe na saya sada main aisi bahar doonga
Haseen labon ke liye shafaq se main mang loonga yeh sari surkhi
Phir asaman ke sitare laker yeh maang teri sanwar doonga
Bicher ke tujh se rahoon jo zinda bhala woh kaise yeh mujh se hoga
main bhool jaoon woh waqt kaise jo pas tere guzar doonga
Main kehkashan se sitare laker saja ke rakhoon ga teri rahain
qadam too rakhe gi jis zamein per use main sajdey hazar doonga
Main sochta tha keh zindagi main kuch aisa hota ya waisa hota
jo tum miley ho to dil main uthi her aik khawahish ko mar doonga
mera wajood aour meri hasti sabhi he ALMAS tujh main pinhan
koi jo poochey ga nam mera to nam tera pukar doonga
~CHANDNI~
Age: 125
7923 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Shehron Ke Intekhab & nbsp; Ne....
...Ruswa kiya mujhey.
__________________________________
Yeh ahtiyat itna tzabzab he kis liye
Mera khiyal unko kaheen rokta na ho
Chup chup ke woh chaley to gaye bazm-e-yar main
Murh murh ke dekhtey hain koi dekhta na ho
Main hadees-e-dil yeh mana kisi razdan se kehta
Tera gham ager na milta to ghazal kahan se kehta
Wohi bat jo zara si yeh dilon main pal rahi he
Jise tum na keh sake ho use main kahan se kehta
Jab bhi mila woh zakham ka tohfa diya mujhe
Dushman zaroor he woh magar baasool he
Us par abb to koi tera muntazir nahein
Kache gharhe pe tair ke jana fazool he
Kisi ka gham bhi nahein aour ratjagey bhi nahein
Bohat dinon se mohabat ke silsley bhi nahein
Jo dekhon usko khuli ankh se to door lagey
Jo ankh band karon main to fasley bhi nahein
Paon phelaye to phir dekhi na chader ham ne
Tujh ko chaha to phir aoqat se barh ker chaha
Zeest aasan bhi ho sakti thi lekin ham ne
Teri chahat ko her ik bat se barh ker chaha
Yeh mana woh mujhe bhooley hoowe hain
Yeh hichki kiyon musalsil aa rahi he
Us se kab ham ne mulaqat ka wahda chaha
Door reh ker to use aour ziyada chaha
Ik nam kiya likha tera sahil ki reyat per
Phir umer bhar hawa se meri dushmani rahi
Teri nazar main tery dil main tery koochey main
Jahan miley gi jaga ham muqam ker lain ge
Judaiyan bhi yeh mana barhi qiyamat hain
Rifaqton main bhi dukh kis kader hain kiya kahiye
Hijer ki shab meri tanhai pey dastak degi
Teri khushbu merey khoye howe khwabon ki tarah
Woh aik chehra jo ankhon main aa basa tha kabhi
Tamam umer meray ansoowon main qaid raha
Ab to ankhon ki lakeerain bhi miti jati hain
Us ko kho ker to meray pas raha kuch bhi nahein
Aap ko takerkey taaloq pey hey israr to khair
Aap ke khat hain merey pas yeh latey jaein
Phir youn howa keh rastey yakja nahein rahey
Main bhi ana parast tha woh bhi ana parast
Tersaya he aber-e gurezan ne is kader
Bersey jo boond bhi to sumander lagey mujhey
Dhoop nikli to merey jism se saya nikla
Is karhey waqt main yeh bhi to paraya nikla
Bicherh ke tujh se na dekha gaya kisi ka milap
Orha diye hain parindey shajer pe baythey hoowe
Tanha koi miley to karein dil ki bat bhi
Her aadmi ke sath hey saya laga hoowa
Aansoo merey tham jaein to phir shawq se jana
Aisey main kahan jaaogey barsat bohat hey
GHairon ko kiya parhi he keh ruswa karein hamin
In sazishon main hatth kisi ashna ka hey
Main ney jis shakh ko phoolon se sajaya tha Faraz
Merey seeney main usi shakh ka kanta utra
Roz kha laetey hain hanstey howe chehron se fareb
kaya karein apni nighahon main murawat hey abhi
kuch aour barh gaey hain andheray to kiya hoowa
Mayoos to nahein hain taloo-e-saher se ham
Waqt-e-rukhsat unka bhi roomal tha bheega hoowa
Aour ham bhi ro parhey they rasta detey hoowe
Mojain hon pur sakoon to gehrayon main jhank
Soorat badal ke aatey hain toofan kabhi kabhi
Cheez karhwi he mager dhoop se bachney ke liye
Neem ka pearh bhi angan main laga letey hain
Band kerlo aaj key insan ko shocase main
kiya khaber yeh kiya se kiya agley baras ho jaye ga
Ye Naya silsla app ke liye hey
is main apni pasand ke ashaar bhajiye