~CHANDNI~
Age: 124
7836 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Na Hota Tu To
Na Hota Tu To
Kaise meri subah aati
Aur kaise meri shaam hoti
Teri khair ki hi dua nikalti hai in labo se
Tere khwaab dekhne ke liye band hoti hai ye aankhe
Agar tu na hota to khuda ki khudai na hoti
Na hota tu, to main kahan hoti
SAHIL KI RET PAR
SAHIL KI RET PAR,
EK BAAR TERA NAAM LIKHA THA MAINE,
TANHAYI KE UNN PALON ME,
TUJHE HI YAAD KIYA THA MAINE,
SAAGAR KI MAUJON NE TERA NAAM TO MITA DIYA,
NA MITA SAKA WO NAAM,
JO DIL PAR LIKHA THA MAINE.
AAJ PHIR
AAJ PHIR AAYINA HUM SE POOCHHTA HAI,
TERI AANKHON ME NAMI KYON HAI?
JISKE PYAAR ME KHUD KO BHULA DIYA,
AAJ USKE PYAAR ME KAMI KYON HAI?
Ulfat na sahi
ulfat na sahi nafrat hi sahi
hum ye bhi gawara kar lenge
ik yaad kisi ki dil me liye
jeene ka sahara kar lenge
RAHENE DO
Hum bheed me tanha hai hame tanha rehne do,
kabhi kabar hi lafz sath dete hai jo chahe kehne do,
kuchh yaado ka aashiya banaya hai, bas hame yado ke sahare rehne do.
shero shayari
labon ki hasi tere nam kar denge
har khushi tujh par qurban kar denge
jis din hogi kami meri dosti me
zindagi ko maut ke naam kar denge
HUMSAFAR
ULAFAT ME KABHI YE HAAL HOTA HAI
AANKHE HASTI HAI MAGAR DIL ROTA HAI
BANATE HAI HUM JISE MANZIL APNI
HUMSAFAR USKA KOI AUR HOTA HAI
USKA KHWAAB ME AANA
WO MERA THA YE BATANA AJEEB LAGTA HAI,
AB USSE AANKH MILANA AJEEB LAGTA HAI,
JO MERA ZINDAGI ME KABHI BHI NA HO PAYEGA,
AB USKA KHWAAB ME AANA AJEEB LAGTA HAI.
YE ZINDAGI BHI
YE ZINDAGI BHI NA JAANE KITNE MOD DETI HAI,
HAR MOD PE NAYE SAWAAL DETI HAI,
DHUNDHTE REHTE HAIN HUM JAWAAB ZINDAGI BHAR,
JAB JAWAAB MIL JAYE TO SAWAL BADAL DETI HAI.
~CHANDNI~
Age: 124
7836 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
YE ZINDAGI BHI NA JAANE KITNE MOD DETI HAI,
HAR MOD PE NAYE SAWAAL DETI HAI,
DHUNDHTE REHTE HAIN HUM JAWAAB ZINDAGI BHAR,
JAB JAWAAB MIL JAYE TO SAWAL BADAL DETI HAI.
!
~CHANDNI~
Age: 124
7836 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
nazm uljhi hui he seene main
misray ata hue hain honton par
udte phirte hain titliyon ki tarah
lafz kaghaz pe baith-te hi nahi
kab se baitha hoon main janam
saade kaghaz pe likh ke tera naam
bas tera naam hi mukammal he
ab is se behtar nazm bhi kya ho gi !