Age: 125
7902 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Mohabbat main itna door nikal jayenge kabhi socha na tha Hum wafa karke bhi bewafa kehlaayenge kabhi socha na tha Zamane se tanha hi takrayen ge kabhi socha na tha Hum to Pyaar ke naam se hi na aashna the Chahat ki itni bari saza payenge kabhi socha na tha Us ka her andaaz doorson se judda lagta hai Uske rang main hum rang jayenge kabhi socha na tha
Age: 125
7902 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
~Chand~ Chehra Sitara AnkhaiN
Meray Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN Ye mera chehra, ye meree ankaiN Bujhe hu-ay say charagh jaysay Jo pher say jalnay kay muntazir hauN
Vo chand chehra, sitara AnkhaiN Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN
JinhouN nay paymaN key-ye thay mujh say rafaqatoN kay, mohabatoN kay Kaha tha mujh say ke ay musafir rahe vafaa kay JahaN bhee ja'ay ga hum bhee AiaN gay saath tere BanaiN gay raatoN maiN chandni hum toe din maiN saa'ye bakhair daiN ge
Vo ~Chand~ chehra, sitara AnkhaiN Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN
Vo apnay paymaN rafaqatoN kay mohabatoN kay Shikast kar kay Na jaanay ab kiss key rehguzar ka minara roshni hu'ay haiN Magar Musafir koe kya khabar hay Vo ~Chand~chehra toe bujh gaya hay Sitara AnkhaiN toe so ga'eey haiN Vo zulfaiN bay sayaah ho ga'eey haiN Vo roshni or voh saa'ye meree ata thay So meree raahoN maiN Aaj bhee haiN ke maiN musafir ra-hey vafaa ka
Vo~Chand~ chehra, sitara AnkhaiN Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN
HazaaroN chehroN hazaaroN ankhaiN HazaaroN zulfoN ka aik selaab-e-tund lay kar mere ta'aqub maiN Aa-ra-hey haiN Her aik chehra hay chand chehra HaiN saary ankhaiN sitara ankhaiN Tamaam haiN Meharbaan saayah daar zulfaiN MaiN kiss ko chahooN, maiN kiss ko choomoN MaiN kiss kay saa'ye maiN bait jaaoN bachooN ke toofaN maiN doob jaaoN Ke mera chehra, na meree ankhaiN Mera Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN