Aaj barish hoo rahi thii,
aaj phir in boondon main yad thee thumhari
na jane kya kashis the rimjhim in barish ke boondon main
jo mujhe kheech le jatee hain tumhare pas
ye janti hoon ki nahi chahte ho tum mujhe
par zaroori to nahi ki is bat ko main manoo bhi,
Jo kabhi milogay to poochungi tumse
kya ye barish tumhe bhi satatee hain
pyar na sahi
nafrat se bhari humari bhi kuch yadeen latee hai.
Anaa Ki Qed Se Nikle, Muqbla Tu Kare
Wo Mera Saath Nibhane Ka Fesla Tu Kare
Kabhie Na Tootne Waala Hisaar Ban Jaoon
Wo Meri Zaat Mein Rehne Ka Fesla Tu Kare
Use Sonp Doon Apni Ye Muntazir Aankhein
Wo Meri Khoj Mein Jaane Ka Tazkira Tu Kare