Logo

Fairl_Girl’s Collection + OWN

Teri Mohabbat peh shaq nhi,
teri wafaoon ko janta hoon
magar tujay kisi ki Azroo hai
yeh haqeeqat main jaan hoon

Posted on 4/9/2006 7:41:22 AM

welldone.

Posted on 4/10/2006 12:14:04 AM

wafakadard:
Teri Mohabbat peh shaq nhi,
teri wafaoon ko janta hoon
magar tujay kisi ki Azroo hai
yeh haqeeqat main jaan hoon




Posted on 4/10/2006 11:32:51 PM

terrible .. i lov'd it..

Posted on 4/11/2006 3:04:17 PM

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chup ke Chup ke Ro Lena

Jab Ankhein Bhegi Hon Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chup ke Chup ke Ro lena


Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena

Jab Barish Chehra Dho Dale Aur Ashk Bhi Bondein Lagti Hon
Who Lamha Har giz Mat Khona Aur Chup ke Chup ke Ro Lena

Posted on 4/13/2006 10:24:26 AM

Meri Ankhon Ke Samandar main Jalan kaisi Hai

Aaj Phir Dil Ko Tadapne Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chaat Pe Chiraghon Ki Qatarin Bhi Nahi

Ab Tere Shehar Ki Galiyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Ke Roop Main dhaal Jain Ge Sare Rishte

Mujh se Poocho Ke Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Tere Wisal Ki Khuwahish Ko na Marne Doon Ga

Musam-e-Hijar Ke lehje Main Takan Kaisi Hai

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kanton Ki RiDa

Us Ki Majboor Si Ankhon Main Kiran Kaisi hai

Mujhe Masoom si Pagal Ladki Pe Taras aata hai

us se Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai


Posted on 4/14/2006 9:22:27 PM


Posted on 4/16/2006 1:06:15 AM

roomaharis nice


thanks cf

Posted on 4/17/2006 9:54:48 AM


You're the first thing I think of Each morning when I rise.
You're the last thing I think of Each night when I close my eyes.
You're in each thought I have And every breath I take.
My feelings are growing stronger With every move I make.   
I want to prove
I love you But that's the hardest part.
So, I'm giving all I have to give To you... I give my heart.   

Posted on 4/18/2006 5:51:44 AM


i looked at da moon & made a wish........

i phew my broken lash & made a wish ......

i threw da coin in the wishing well & made a wish...............

coz it was the only thing i want to do........

my wish was to be with u

Posted on 4/18/2006 5:52:18 AM

hi fairl girl hru?kahan hoti ho yaar?

Posted on 4/19/2006 11:12:48 PM

yehi hoon dr
me fine how r u

Posted on 4/20/2006 6:22:03 AM

woo hoo i am jsut lovin it.. keep em comin babita!

*Toodles* :D

Posted on 4/21/2006 7:50:59 AM




Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho


Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho


Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho


Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho


Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho


Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho


Posted on 4/22/2006 4:51:31 AM

Aa Tujhay Lay Chalon~~


Aa Tujhay Lay Chalon Haqiqat Kay Dais Mai
Bohat Si Khushian Thoray Gham Kay Dais Mai
Nikal Andhairi Raat kay Dard Say
Tanha Gom Sum Dopehron say Nikal
Chor Daay Sarabon ka Rasta
Bay Kal Udas Shamo ka Rasta
Bhol Ja Jo Tha Nahi Tera
Yaad Rakh jo ho Ga Sirf Tera
Daikh Yeah Nila Gagan Yeah Kali Badlian
Her Bond Hai Teri Her Bond hai Pukaray Tujhay
Yeah Haseen Wadian Woh Shor Machati Nadian
Sab Nazaray Hain Teray ik Nazar tu Daikh
Sang Chal us Kay Jo Daay Ga Tujhay
Sapnay Nahi,Waday Nahi Yadain Nahi
Sirf Haqiqat,Khoshion Bhari Haqiqat
Aur Thora Sa Gham Per Us Kay Sang
Aa Tujhay Lay Chalon Haqiqat Kay Dais Mai
Bohat si Khoshian Thoray Gham Kay Dais Mai


Posted on 4/22/2006 5:08:46 AM

hmm

Posted on 4/22/2006 5:25:13 AM

Chor Daay Sarabon ka Rasta
Bay Kal Udas Shamo ka Rasta bahot he nice FG   

Posted on 4/23/2006 10:53:22 AM

Fairl_Girl:



Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho


Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho


Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho


Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho


Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho


Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho



Sukria FG mahshAllah poetry bahot he achi hai

Posted on 4/23/2006 10:54:33 AM

kahan yaar ab to tum hum ko lift he nai ker wati
any way kush raho
main b theek he thaak hon.

Posted on 4/23/2006 11:21:19 PM

shahrukh khan:
drchohan83:
kahan yaar ab to tum hum ko lift he nai ker wati
any way kush raho
main b theek he thaak hon.


fikar kyun karte ho dr



Poetry main aru Fikar

Posted on 4/30/2006 7:40:14 AM

Jab woh samnay atay hain, agaaz-e- gaftoogoo nhi milta
jab woh lout jatay hain to un say he batin rahtii hain

Posted on 4/30/2006 7:41:12 AM

us ki ankh main muhabbat ka sitara ho ga
ik din aye ga woh shakhs hamara ho ga
tum jahan merey liye seepiyan chunti ho gi
woh kisi aur hi duniya ka kinara ho ga
zindagi ! ab ke mera naam na shamil kerna
gar yeh teh hai ke yehi kheel dobara ho ga
jis ke honye se meri sans shala kerti thi
kis tarhan us ke bagher apna guzara hoga
yeh achanak jo ujala sa hua jata hai
dil ne chupkye se tera naam pukara ho ga
ishq kerna hai tu din raat usye sochna hia
aur kuch zehan main aya tu khasara ho ga
yeh jo pani main chala aua sunehri sa gharor
us ne darya main kahni paoon utara ho ga
kon roota hai yahan raat ke ssanatoon main
merye jeesa hi koi hijar ka mara ho ga
mujh ko maloon hai joon hi main kadam rakhon ga
zindagi tera aur koi kinara ho ga
jo meri eoh main badal se garajtyen hain wassi
us ne seenye main koi dard utara ho ga
kaam mujhkil hai magar jeet hi loon ga us ko
merye maula ka wassi jon hi ishara ho ga

Posted on 5/2/2006 12:01:40 AM

us ki ankh main muhabbat ka sitara ho ga

Posted on 5/4/2006 8:50:36 AM



^^^agar ankhon par glasses huway tu?..


Meri ajab hai zindagi kisi se kia gila karon
Taqdir rooth jaye to mere khuda main kia karon

Halat ne naseeb main gham bher diye hain is qader
Na manzilon ki khuch khaber main karwan ko kia karon

Meri ajab hai zindagi kisi se kia gila karon

Mil jaye doobne pay hi akhir to ik sahil kahin
Toofan ki hai aarzoo toofan ki dua karon

Meri ajab hai zindagi kisi se kia gila karon

Manzil ki thi talash to gard e safar mili mujhay
Aankhain baras parin meri kali ghatta ko kia karon

Meri ajab hai zindagi kisi se kia gila karon

Posted on 5/4/2006 2:56:57 PM

nice Queen of JB

FG kider hoo ap

ap ki poetry ko miss kar raha hoon yaaaaar

Posted on 5/10/2006 1:50:26 AM



Do dreams come true?


...you take my hand...

...we go for a walk...

...or we just...

...sit and talk...

...a soft whisper...

...in the night...

...a flickering glow...

...of firelight...

...the sweetest taste...

...a tender kiss...

...do you know...

...I dream of this...

...I must believe...

...that dreams come true...

...that someday...

...I'll be with you...


Posted on 5/12/2006 6:44:41 AM

Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha


Har Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha


Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha


Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha


Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha


Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay Toh Laboon Ko See Liya Tha


Woh Chand   Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko   Tamam   Jaghta   ; Tha

Hontoun   Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main Toh Shehad Gholta Tha


Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin
Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha


Us Nay Jo Kaha, Kya Woh Dil Nay
Inqaar Ka Kis Main Hosla Tha


Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha


Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha


Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha


Main Bhi Tha Dara Hua Sa Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha


Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha


Ek Raah Say Main Bhi Tha Gurayzaan
Ek Moor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha


Ek Pal Main Chapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha


Soocha Toh Tehar Gayee Zamanay
Dekha Toh   Woh Door Ja Chuka Tha


Qadmoun Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha


Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gayee Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha


Posted on 5/12/2006 7:21:21 AM


Yeh Q Ker Mujh Ko Roeya Ja Raha Hai
Ba Mushkil Paa K Khoeya Ja Raha Hai



Khudaya Phool Jaisay Iss Badan Ko
Bey Dardi Say Maloeya Jaa Raha Hai



Kadoorat Thee Jinhain Aansoo Bahana
Samundar Q Parooeya Jaa Raha Hai


Dhulaa Hoo Aab-e-Zam Zam say Jo Chehra
Unhain Aansoo Say Dhoeya ja Raha Hai



Wataira Jis Ka Hoo Kaantay Bichana
Bichoo Na Gul Bichoeya Ja Raha Hai



Yeh Kaisi Sisskiaan Dhaarain Shalaqain
Ghazab Ka Larza Hoeya Jaa Raha Hai


Aaj ALLAH Jaaghna Tha
Joo Abdi Neend Soeya Jaa Raha Hai

Posted on 5/12/2006 7:26:57 AM

wah jeee wah

very effective come baq

Posted on 5/12/2006 11:14:15 PM

Maa ki shafqat ne parwaan tau charha diya

Ab jeeti hon sirf mein maa ki dua ke saath



Sirf aik gunaah sar zad huwa mayoosi ke aalam mein

Phir tau muqaddar mera likh gaya tanhayon ke saath



Aiesey mein khuloos sey dil par dastak si huwee

Yak damm usey chah liya rooh ki gehrayee ke saath



Dosti ki thi khuloos se aur nibahyee bhi hai

Dosti piyaar mein badal gayee aahistagi ke saath



Aik maqaam per aakar dhoondha kartey they dono

Piyaar ki kashish layee thi dono ko aik saath




Chuppa tha piyaar dono ka tau buhat behter tha

Ayaan huwa piyaar tau wo bhi dono ka aik saath




Haath us ne barhaya bharpoor piyaar ke saath

Sashdarr mein rehgayi apni badkismati ke saath


Na miley hotey tau acha tha ye hai unka sawaal

Hont see liyee mein ne apna aap maarney ke saath



Ab tau dosti ki taab bhi nahin hum mein

Piyaar ne guma diya dost ko piyaar ke saath





Kahin mazhab, zubaan ya nasal ka farq hota hai

Yahan tau apnon ne hi khodiya apnon ka saath




Kis karb se usey roka apney paas aaney se

Dair tak roti rahi namm aankhon ke saath




Mein zarra hon aur ki khuwahish mahtaab ki

Wo bhi kainaat ke tamam taron ke saath



Be wafayee ki hai us se dil bhi tora hai mein ne

Har chota azaab miley har barey azaab ke sath




Bina dekhey bina jaaney aiesa piyaar kiya hai

Amar banadongi piyaar ko teri yaadon ke saath




Shikwa nahin taqdeer se apney kiyee ka phall hai

Miley mujhe har baar moti phattey daaman ke saath




Maaf kardena apni jaan ko apney dil se tum

Aarzoo hai mera naam ho teri har dua ke saath


Ab tau ye dua maangti hon har namaz ke baad

Urooj tujh ko miley har raanayee ke saath




Tum bhula kar mujhe aik tareeqh raqam karna

Hamsafar tera behter ho har naye din ke saath




Mein tau chah kar bhi do kadam na chal saki terey

Naya hum safar miley tujhe buhat piyaar ke saath



Banaoongi khud ko wesa jaiesa tu ne chaha hai

Ye dekhney ke liyee nahin hoga tera mera saath




Kisi ko chah na sakongi ab tujhe chahney ke baad

Aah ka haqq bhi gaya tujhe kho deney ke saath



Shayad hi dekh paoo mujhe tum khabhi

Likh na sakongi ab us piyaar ke saath



aukaat apni bhool gayi piyaar ke baad

Sehrey ka phool mangti hai janazey ke saath





Posted on 5/14/2006 5:50:25 AM