Logo

PARENTS B4 Marriage.

kash_beauty:
moun kam kholein

jab maaf karnay ka ikhtiyar ALLAH ko hai tou phir app baray kab say ho gay k unhay saza dein!!
saza or jaza ALLAH ka kaam hai!!
jo rules hein!!...un ko follow karein..kisi nay nahin roka app ko!

ISLAM yeh bhi kehta hai k maaf karna achi baat hai!
islam ki ek baat yaad hai or dusri nahin!!
wahhh
muslim ho tou aisa

aap ki oot patang batain parh kar is say bhi ziada moon khola ja sakta hai.

maaf karnay ka ikhtiyaar Allah ko hai, par Allah nay hi tu saza denay ko kaha hai, dimagh kahaan hai aap ka?

doosri baat konsi yad nahi? aap ko maaf karnay ka ikhtiyaar kis nay diya? jabkay yeh un kamoon main say hai jin ki maafi sirf Allah hi de sakta hai, if the sinner truly repents.

muslim ho tu aisi

Posted on 3/10/2005 2:58:04 PM

woh rules wali baat ajj kal k muslims k liye thi!

demagh hamara kahan hai or kahan nahin!!
yeh app k liye jan-na zarori nahin!
agar app ko maaf karnay ka ikhtiyar nahin hai tou saza denay ka bhi ikhtiyar nahin hai!

ALLAH nay jo saza denay ko kaha hai..
woh hum aaam banday ko nahin kaha!!
Qazi(islamic court k judges) ko faisala suna-nay ka haq hai!

or SHAN...kisi ko saza denay walay hum ya app kaun hotay hein!!
app ka apna logic
hamara apna!
app ki baat man-na hum zarori nahin samjhtay!
app nay sahi kaha ho ga
apnay hasaab say
hum nay jo kaha apnay hasab say!
hum itna jantay hein k ALLAH ki zaat hai faisla karnay wali...woh kisi ko saza day tou theek na day tab bhi theek!
hum na saza day saktay hein or na he jaza!

Posted on 3/10/2005 3:34:47 PM

kash_beauty you need to correct your concepts about your relegion. maaf karna achi baat hai, par maafi sirf unhi gunahoon ki di ja sakti hai, jinhain maaf karnay ka Allah nay humain ikhtiyar dya hai.

Posted on 3/10/2005 3:36:28 PM

anonymous

hum yahan kisi ko apnay concepts ki explanation dena zarori nahin samjhtay!!
ALLAH ko hum nay jawab dena hai!!...kisi or nay nahin!

hum iss kabil nahin hein k kisi ko maafi ya saza ka faisla suanyein!

Posted on 3/10/2005 3:51:24 PM

kash_beauty:
woh rules wali baat ajj kal k muslims k liye thi!

demagh hamara kahan hai or kahan nahin!!
yeh app k liye jan-na zarori nahin!
agar app ko maaf karnay ka ikhtiyar nahin hai tou saza denay ka bhi ikhtiyar nahin hai!

ALLAH nay jo saza denay ko kaha hai..
woh hum aaam banday ko nahin kaha!!
Qazi(islamic court k judges) ko faisala suna-nay ka haq hai!

or SHAN...kisi ko saza denay walay hum ya app kaun hotay hein!!
app ka apna logic
hamara apna!
app ki baat man-na hum zarori nahin samjhtay!
app nay sahi kaha ho ga
apnay hasaab say
hum nay jo kaha apnay hasab say!
hum itna jantay hein k ALLAH ki zaat hai faisla karnay wali...woh kisi ko saza day tou theek na day tab bhi theek!
hum na saza day saktay hein or na he jaza!

hmm, lagta hai kuch akal thikanay aei hai aap ki

theek kaha aap nay saza tu kazi hi suggest karay ga laws kay mutabik, par kia kazi ko ilhaam ho ga kay kisi nay yeh gunnah kia hai?? yeh kis ki zimma dari hai kay gunnahgar ko saza dilwaey? burai ko dekh kar ankhain band karnay leney ya usay chupanay ka hukam nahi hai humain. koi aap ki choori karta hai tu shor machana shuru kar detay hain kyunkay aap ka nuksan hua hai (jo sirf dunya ka nuksan hai) , magar is case main jahaan poori society ka nuksan hai, moral values ka nuksan hai, kehtay hain maaf kar do maaf kar do humain saza denay ka ikhtiyar nahi etc etc.

Posted on 3/10/2005 3:55:10 PM

kash_beauty:
anonymous

hum yahan kisi ko apnay concepts ki explanation dena zarori nahin samjhtay!!
ALLAH ko hum nay jawab dena hai!!...kisi or nay nahin!

hum iss kabil nahin hein k kisi ko maafi ya saza ka faisla suanyein!

explanation mang kon raha hai? sab kuch nazar tu araha hai

iss kabil nahin hein k kisi ko maafi ya saza ka faisla suanyein! ?? abhi tu aap nay in sinners kay liye maafi announce ki hai

Posted on 3/10/2005 3:57:55 PM

akal hamari tou thikanay hai
likin.....kisi or ki ho ya na ho..os say hamay koi lena dena nahin

shor karna paglon ka kaam hai!!!!
hum kia kartay hein or kia nahin...keh chukay hein kisi ko batana zarori nahin samjhtay!

ji...kaha tha! k maaf kar dena chahiye!
or hum nay apna faisala apnay tak rakha hai!
kisi or per lago hona zarori nahin!

kisi ko app nay katl karna hai ya aag mein dalna hai..dalien
hum wohi karein gay jo kaha hai!!
hum iss kabil nahin...likin maaf kar dena behter hai!

Posted on 3/10/2005 4:09:25 PM

jin kay diloon par Allah muhar laga de unko kon samjha sakta hai, aap ko jo samajhna hai samajhti rahain, mujhay tu apna deen ziada aziz hai.

Posted on 3/10/2005 4:16:07 PM

kash_beauty:
akal hamari tou thikanay hai
likin.....kisi or ki ho ya na ho..os say hamay koi lena dena nahin

shor karna paglon ka kaam hai!!!!
hum kia kartay hein or kia nahin...keh chukay hein kisi ko batana zarori nahin samjhtay!

ji...kaha tha! k maaf kar dena chahiye!
or hum nay apna faisala apnay tak rakha hai!
kisi or per lago hona zarori nahin!

kisi ko app nay katl karna hai ya aag mein dalna hai..dalien
hum wohi karein gay jo kaha hai!!
hum iss kabil nahin...likin maaf kar dena behter hai!

batana zaroori nahi samajhtay? aap say poocha kis nay hai? wo tu general baat kahi unhoon nay jo hota hai.

aap wohi karain jo aap nay kaha hai, jo aap ka dil karta hai hum wohi karain gay jo humara mazhab kehta hai.

"hum iss kabil nahin..." aap wakae kisi kabil nahi hain

Posted on 3/10/2005 4:24:52 PM

SHAN..hamari jaga koi or hota na tou app ko bata deta k kaun kis kabil hai

per woh kia hai na..hum bachon ki baat ka bura nahin manatay!

Posted on 3/10/2005 5:21:01 PM

kash_beauty:
SHAN..hamari jaga koi or hota na tou app ko bata deta k kaun kis kabil hai

per woh kia hai na..hum bachon ki baat ka bura nahin manatay!

Posted on 3/10/2005 5:26:09 PM

aap nay apni post delete kyun kar di kashi?

Posted on 3/10/2005 6:17:44 PM

UH HUH

Posted on 3/10/2005 8:44:36 PM

ZEESHANAHMED:
aap nay apni post delete kyun kar di kashi?

kyunk hum jantay hein k serious corner mein topic say related baat he karni hoti hai!!
issliye apni post khud delete kar di..kyunk woh irrelevant thi topic say

Posted on 3/11/2005 1:28:43 AM

Saher`:
the thing is to commit adultry be4 marriage is diffiently a sin but u dunno whoevea did dat wat goes rong wid dem whether it was a mistake or jst happened by dem
but here i agree wid kash we r no1 to punish dem agar sach mei unki hi galti hai tou saza denay wala khuda hai ham kaun hote hai saza denay waley ya kuch kehnay waly khuda jannay hum loog khud kitnay hii gunegaar hoo beshak hum ney aisa gunah na kia ho fir bhi kuch galteian hum say bhi hoi ho ge

koi fark nahin paray ga!!yahan laogon ko sachi baat kardwi lagti hai
jab loag ALLAH k kaam karnay ki koshish karnay lagein na tou un ka yehi haal hota hai!!

u r ryt!
hum khud itnay gunnah-gar hein
kisi or ko kis moun say saza dein..
ALLAH maaf karay hamay!

Posted on 3/11/2005 1:33:44 AM

acha tu kia saza denay kay liye ab koi nya Nabi bulain?? Allah nay hi tu saza batai hai har sin ki kia wo yahaan khud aa kar de ga?? ya phir kia Islam is dunya say khatam ho gya hai jo saza nahi di ja sakti?? ya phir aap ko apna mazhab chahiye hi nahi??

aur agar koi murder kar de aap ka relative ka tu phir saza dilwanay kay peechay bhagtay hain?

Posted on 3/11/2005 1:38:13 AM

kash_beauty:
koi fark nahin paray ga!!yahan laogon ko sachi baat kardwi lagti hai
jab loag ALLAH k kaam karnay ki koshish karnay lagein na tou un ka yehi haal hota hai!!

u r ryt!
hum khud itnay gunnah-gar hein
kisi or ko kis moun say saza dein..
ALLAH maaf karay hamay!

Allah kay kaam??? Allah nay hi kaha hai saza do aur aap kehti hain maaf kar do takay log aur bold ho jain ye gunnah karnay main, wah kia behtareen kaam hai.

gunahgaar kon nahi hai, gunah say mehfooz sirf Nabi thay, tu kia is ka matlab hai sazain dena bhi band kar dain kyunkay ab tu koi Nabi hi nahi? islaam ko utha kar bahir phenk dain?

Posted on 3/11/2005 1:48:49 AM

shan !!
app ko baat bardasht nahin hoti jab kaho tou !!
khud jo merzi boltein rahein
likin aglay banday ki baat bardasht karna app k bas ka kaam nahin hai!!!

Posted on 3/11/2005 1:53:09 AM

kash_beauty:
shan !!
app ko baat bardasht nahin hoti jab kaho tou !!
khud jo merzi boltein rahein
likin aglay banday ki baat bardasht karna app k bas ka kaam nahin hai!!!

suchi baar karwi lagi na aap ko, bardash buhat hai mujh main dont worry just answer to the post

Posted on 3/11/2005 1:57:04 AM

hum nay post pardhi he nahin!!
app mein bardasht kitni hai woh hum pehlay din he dekh chukay thay!
or hum kia bardasht kar saktay hein or kia nahin!!
yeh na app k liye jan-na zarori hai or na hamara batana

Posted on 3/11/2005 2:03:44 AM

kash_beauty:
hum nay post pardhi he nahin!!
app mein bardasht kitni hai woh hum pehlay din he dekh chukay thay!
or hum kia bardasht kar saktay hein or kia nahin!!
yeh na app k liye jan-na zarori hai or na hamara batana

post kia parhni, jawab jo nahi hai aap kay pass koi.

tu phir mujhay kyun kehti hain aap main bardasht nahi yeh janna bhi aap kay liye zaroori nahi

Posted on 3/11/2005 2:07:30 AM

app ko lagta hai hamary paas jawab nahin hai
tou lagta rahay

hamay kisi ki soch say koi fark nahin parta!

Posted on 3/11/2005 2:16:11 AM

Posted on 3/11/2005 2:18:33 AM

Posted on 3/11/2005 2:23:19 AM

Saher`:
ZEESHANAHMED:
zeeshan ahmed saab g app kiss naye nabi ki baat kar rahen hain if u know dat our last prophet was PBHU(SAW)there will be on1else n Allah jab saza dey ga tou believe me app ko pata bhi nahi chalay ga waisay meray khayal mei app ko pata hii ho ga k akhir aik din muqarar hi hai ima talking abt day of judgement jis din har aik ka hisab hona hai
aur jo app islam ki baat kar rahey uss mein maaf kar denay aur dar guzar kar denay ka bhi kaha giya hai
n abt murder dats different thing......u shud know dat things differ from topic to topic so u bettea stick to topic

That is what i am saying, when there is no prophet to come then who will give punishments to sinners? Of course it is the responsibilty of the society to do this to stop increasing these sins.

And about this sin, let us see what Allah says:

"The woman and the man guilty of adultery or fornication,- flog each of them with a hundred stripes: Let not compassion move you in their case, in a matter prescribed by God, if ye believe in God and the Last Day: and let a party of the Believers witness their punishment". (Surah 24 Verse 2)

Read carefully "Let not compassion move you in their case, in a matter prescribed by God". When it is evident that this sin has been comitted by them, Allah does not give us any right to be copassionate to them. It is necessary so that the society does not get polluted with these sins.

Try to understand it dear friends

Posted on 3/11/2005 9:50:58 AM

o yarrrrr,,
kya ru ru lagai hui hai

just one thing
saza deni hai to mard aur aurat dono ko do
aur maaf karna hai to dono ko karo,,,,,,,

woh bacha jiss ka koi kasoor nahi hamari society mei kabhi accept nahi kiya jata,, kya islam mei uss bache k liye bhi koi saza hai ???
nahi naa,,, to y no one accept that kid ??

kuch karne ka wakt aata hai to islam bhool jata hai sab ko,,, aur kissi ko saza deni ho to saari hadeesein aur ayaat yaad aa jati hein
islam ko maana hai to poora mano,, ya phir bilkul nahi
THE END

ab koi bola na to usss ki gichi maroor du gi me

mazak kar rahi hu yarr,, jo kehna hai kaho

Posted on 3/16/2005 7:42:59 PM

Man! Sall, you scared people off the topic

Guys and gal, we are confusing several matters into one. We are trying to compare apples to oranges.

Authority to Forgive offender granted only to aggrieved party (person). For example, relatives of murdered may forgive murderer. Choices of forgiveness or punishment to offender afforded to aggrieved party only when violation of ones personal rights committed by others.

In cases of communal crime or societal corruption, none granted authority to forgive, revoke punishment or even downgrade it. All cases must be decided in the court of law. For example, treachery against the nation, once proven, cannot be condoned. Adul8ery, 4nication, spreading mischief... fall under that category.

Allah swt is Just and Merciful. He will not allow people to usurp others rights and forgive them without providing Justice to aggrieved party, unless ones offence committed against forgive.

Because He is Merciful, He may grant forgiveness to whomever He wishes for crimes committed against His Holy self. For example, it is His right that we offer prayers and thanks to Him. He may forgive our shortcomings in it.

Posted on 3/16/2005 10:20:29 PM

everyone has there own opinions bawsed one the way they were raised and life experiences so there is not one right answer here.

Posted on 3/16/2005 10:26:21 PM

Sall, I think I once answered that question of rights and place for children born from out of wedlock. Let me elaborate:

Allah creates a life and it is equally as sacrad as any other human life. Each human being will stand in front of Allah to give accounts of its deeds only and will not bear the burden of anyone else. Such individuals granted equal rights in the society and are not waranted to sub-social treatment. There are only certain rulings that apply to such individuals.

Humans generally seek protection matching their natural sense of insecurity. In any society, where family lineage, material strengths, and solid backgrounds taken as gaurantees for successful future, children born out of wedlock are seen as production of crime, week background and broken lineage having a very little chance of becoming successful (again materially). Though such attitude brings hardship upon victims of a crime (who had no part in it), society at large bears the harm of criminals. That's why Islam takes stern position against crimes that pose substantial burden on the society.

Posted on 3/16/2005 10:38:50 PM

kash_beauty:
app mein bardasht kitni hai woh hum pehlay din he dekh chukay thay!
or hum kia bardasht kar saktay hein or kia nahin!!
yeh na app k liye jan-na zarori hai or na hamara batana

Hey kash, that's very arrogant, you pass judgement on others and become harsh when others return you the favor.

kash_beauty:
shan !!
app ko baat bardasht nahin hoti jab kaho tou !!
khud jo merzi boltein rahein
likin aglay banday ki baat bardasht karna app k bas ka kaam nahin hai!!!

I don't think either one of you were understanding each other. in this serious corner, if we want to discuss something lets do it with facts, evidence and proofs. Mere understandings, opinions, emotions and speculations render any comment weightless.

Posted on 3/16/2005 10:47:45 PM