Logo

batbazi

"Yehi nahin hay, keh Aansoo Samait Laya hoon
Mainn uss ki Aankh ki Khushboo Samait Laaya hoon
Shab-e-Firaaq ki Aawaaz bhi thi lekin mainn
Shab-e-Firaaq kay Gaisoo samait laya hoon"

NOON

Posted on 10/19/2005 10:20:09 PM

Namoos-e-jaan-o-Dil ki baazi lagi thi warna
aasaaN na thi kuch aisi raah-e-wafa-shoaaraaN


By Faiz, one of my most Favs..

Noon

Posted on 10/20/2005 5:44:21 AM

"Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultaani kay Gunbad per"
"Tu Shaheen hay Basera ker Pahaaronn ki Chitaanonn mainn"

NOON

Posted on 10/21/2005 9:26:14 PM


Posted on 10/22/2005 2:13:10 AM

wafa ki basti main rehne walon se hum ne Mohsin ye tor seekha
labon pe sehra ki tashnagi ho magar dilon main nehaaN samandar.


ray

Posted on 10/22/2005 6:48:06 PM

afridi:


Welcome Afridi

Posted on 10/23/2005 12:52:14 AM

Doctor Sam:
wafa ki basti main rehne walon se hum ne Mohsin ye tor seekha
labon pe sehra ki tashnagi ho magar dilon main nehaaN samandar.


ray


"Rang Pairahan ka, Khushboo Zulf Lehraanay ka Naam"
"Mosam-e-Gul hay Tumharay Baam per Aanay ka naam"


MEEM

Posted on 10/23/2005 12:54:10 AM

mohabbtain jab shumar karna to sazishann bhi shumar karna
jo mera hissa main ayee wo azaayatain bhi shumar karna

Posted on 10/23/2005 3:16:25 PM

"ik Aag Hasratonn ki , sochonn ka ik samanur"
kiya kiya Wabaal ya Rub ! hainn Saath Aadmi kay"

YEH

Posted on 10/24/2005 12:46:20 AM

yeh zarori to nahi k har koi ro k dikha day
khusak aankhon may bhi sailab howa kartey hain

noon

Posted on 10/25/2005 4:41:38 AM

nahin nahin ki zarb say banti hay ik jama
kabhi tou khuda kay wastay keh dou nahin nahin


NOON

Posted on 10/25/2005 11:57:17 PM

I said...NOOOOOOOOOOOOOOOOONNNNNNNNNNNN....

Posted on 10/29/2005 1:07:31 AM

nah maire qalam sai likhi gai na maire zaban sai adda hovi
jo nazar sai kehnai ki baat hai kisse harf main nah samaye gi
"gi"

Posted on 10/30/2005 8:11:12 AM

gi

Posted on 10/30/2005 8:12:28 AM

gud nb and shy
and welcome back shy

Posted on 10/30/2005 1:51:32 PM

loo cf app bhi baas tubelight hi hoo jo welcome wala forum hai wahan welcome shelcome karoo nah yahan tu shair sunaoo jo tumhain atta nahin hai

Posted on 10/30/2005 2:10:10 PM

yeh hai gi yani yeh sai shair sunaye koi

Posted on 10/30/2005 2:11:13 PM

shy_princess_:
loo cf app bhi baas tubelight hi hoo jo welcome wala forum hai wahan welcome shelcome karoo nah yahan tu shair sunaoo jo tumhain atta nahin hai



chaloo aik welcome kiya woh bhi raas nahi aya
lagta hia rr ki sath tumhari bhi watt lagani parye gi


Posted on 10/30/2005 3:26:15 PM

Maut ke baad yaad aa raha hai koi

mitti meri kabr seutha raha hai koi

Aey khuda 2 pal ki zindagi aur dede

meri kabr se udaas jaa raha hai koi




kesa laga

Posted on 10/30/2005 3:27:13 PM

O hello bhai log..yeh LAGNAY wala topic nahin....

YEH ...say shair bol ker participate kero....

No Chit chats....

Posted on 10/30/2005 6:31:25 PM

new_beau cf ko main nai bhi yehi bola hai ess ko samjh nahin ayi mairey baat yeh sai shair suna dai kooi takey agey continue ho sakey

Posted on 10/31/2005 1:30:09 AM

sunaooo ab

Posted on 10/31/2005 2:21:56 AM

aray Meri Baari nahin hay...Mainn kaisay Sunaoo..

Tum mainn say koi Continue kero na..

"YEH" say shair sunao....

Posted on 11/1/2005 5:18:05 PM

yeh husan-e-iteefaq hai ya husan-e-aihteman
hai jiss jagha farat wahan karbila bhi hai

Posted on 11/2/2005 2:34:45 AM

ye jaloos-e-fasl-e-bahar hey Tahi-dast,yaar saja isay
koi ashk phir se sharar bana, koi zakhm phir se gulaab kar.

ray

Posted on 11/2/2005 2:53:02 AM

"Raat yunn dil mainn teri khoyee hui Yaad aayee"
"Jaisay Weeraanay Mainn Chupkay say Bahaar aa jaye"

"Jaisay Sehraonn mainn chalay kahin baad-e-Naseem"
"Jaisay Beemaar ko Bay Wajah Qaraar aa jaye "


YEH /....

Posted on 11/2/2005 6:06:46 PM

ye sakhaawat mere shajray main likhi hey pehle
apnay dushman ko duaien tah-e-khanjar dena


Alif

Posted on 11/2/2005 6:34:56 PM

aik yeh din jaab hazaroun gum aur kaal parda hai aansuu ka
aik wo din jaab zara si baat pai nadiyan behti thi

Posted on 11/3/2005 5:46:23 AM

ye sakoon-e-jaan ki ghardi dhalay to charagh-e-dil hi na bujh chalay
wo bala se ho gham-e-ishq ya gham-e-rozgaar,koi to ho

waao





Posted on 11/3/2005 11:23:00 AM

hmmmmmmmm

Posted on 11/5/2005 1:57:03 AM