Logo

batbazi

"Woh tou Kuchh ho hi gayee tum say Mohabbat Werna
Hum woh Khud sir hainnkeh apni bhi tamanna na kerainn"


NUUN

Posted on 11/6/2005 3:16:24 PM

na chalay gi hawaaon ki sazish
chaar janib se a raha hoon main

noon

Posted on 11/6/2005 3:30:38 PM

"Nazuki uss kay Lub ki kiya kahiyey"
"Pankhari ik Gulaab ki see hay"

"Mainn Jo Bola, tou kaha, keh "Yeh Awaaz"
"Ussi Khaana Kharaab ki si hay "


YEH

Posted on 11/6/2005 3:34:52 PM

ye udaas udaas se baam-o-dar ye ujard ujard c raahguzar
chalo hum nahi na sahi magar, sar-e-kooye-Yaar koi to ho..


wao




Posted on 11/6/2005 3:41:04 PM

woh aaye hamaray ghar mainn Khuda ki Qudrat hay
Kabhi Hum unko kabhi apnay ghar ko dekhtay hainn


NUUN

Posted on 11/7/2005 9:42:45 PM

nah dil ki awaaz suni na dil ka pegham suna
mujh ko bewafa samjha jiss nai maira naam suna

alif

Posted on 11/8/2005 3:43:51 AM


ab aor kya kisi se marasim bardhaien hum
ye bhi bohat hey tujh ko agar bhool jaien hum...

MEEM


Posted on 11/8/2005 11:17:26 AM

"Maana keh iss zameen ko na Gulzaar ker sakay"
"Kuchh Khaar kum tou ker gaye, guzray jidher say Hum"


MEEM

Posted on 11/8/2005 9:58:42 PM

Meri Mohabbat to ik gohar hey teri Mohabbat bay-karaaaN samandar
tu phir bhi mujh se azeem tar hey kahan gohar hey kahan samandar

Ray

(one of my favs)

Posted on 11/8/2005 10:59:09 PM

"Rehtay hainn Kuchh Malool say Chehray Padoss mainn"
"Itna na Taiz kijiyey Dholak ki Thaap ko"


WOW

Posted on 11/9/2005 9:55:35 PM

wo mujh sai aksaar kehti thi k tujhe appna bana k chourdon gi
or phir yun hi hova uss nai appna banaya or chourd diya


alif
this is my fav one

Posted on 11/10/2005 3:56:30 AM

Apni afsurdamizaaji ka bura ho k faraz
waqea koi bhi ho aankh ko bhar jana hey..

ye


( i hope i m nt repeating it.. )

Posted on 11/10/2005 12:28:58 PM

repeat nahin hua shayad../.But Agar Repeat hua tou YOU WILL LOOSE


yoon to guzre hain sukhanvar is jahaan mein aur bhi
hai magar rang-e-sukhan sab se niraala meer ka



ALIF

Posted on 11/10/2005 3:40:24 PM

Kidher ho Baitbaazi Waalo

Posted on 11/11/2005 1:57:15 AM

"Aaja keh abhi Zabt ka Mosam nahin Guzra
Aaja keh pahaaronn pay abhi Barf Jami hay

Khushboo kay Jazeeronn say Bahaaronn ki Hadonn tek
Iss shehar mainn sub kuchh hay buss ik teri kami hay"

YEH

Posted on 11/11/2005 8:47:55 PM

yeh jo halkaaaaaaaaaa halkaaaa
surooooorrrrrrrrrrrr..


oh sorry



yeh masail e tasawuf, yeh tera bayaan ghalib
tujhe hum wali samajhte, jo na baada khwaar hota
(im sorry par mujhe bohot kam kam sher aate hein)

--> T (tay)

Posted on 11/11/2005 9:24:36 PM


Posted on 11/11/2005 10:52:08 PM


Posted on 11/12/2005 2:24:09 AM

SALL:
yeh jo halkaaaaaaaaaa halkaaaa
surooooorrrrrrrrrrrr..


oh sorry



yeh masail e tasawuf, yeh tera bayaan ghalib
tujhe hum wali samajhte, jo na baada khwaar hota
(im sorry par mujhe bohot kam kam sher aate hein)

--> T (tay)


Yeh mainn Pehlay Suba Chuka hoon ,,,


Dobata Try kero ..werna I will consider you LOOSER

Posted on 11/12/2005 11:38:41 PM

cuteshah:


Yeh Bat Baazi hay...HARF ka khayaal Rakhainn Pls

Posted on 11/12/2005 11:39:26 PM

uff ho,,
i cant read last 5 pages naaaa

lafz T theek hai yar,, coz most of our shers end at YEH, NOON, ALIF or WOW


hmmm
yeh misrah likh diya kiss shokh ne mehraab e masjid per
yeh nadaan gir gae sajdon mei jab wakt e qayaam aaya




---> Alif

Posted on 11/14/2005 4:57:43 PM

Abb ke hum bhijhre to khawabon main milain gai
jaise sukhe hue phool kitaboon main milain gai

Posted on 11/14/2005 7:51:28 PM

it ends with "kitabon mei milein"
me kiss se ab ??


N
na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota
duboya mujh ko hone ne, na hota me to kya hota


--> A

Posted on 11/14/2005 9:17:17 PM

ENGLISH alphabets Nahin...URDU kay Hurrof-e-Tehajji say continue kerainn plss....


HOTA ...means ALIF


"itni muddat baad milay ho, aao aaj aisay Milainn"
"Jaisay Gad Mad ho jaata hay, Malba Giray Makaanonn ka"

ALIF

Posted on 11/14/2005 9:50:58 PM

aik din bechard k tum sai chale jayein gai hum
phir tanhaiyun mai raat ki aksaar yaad ayein gai hum

meem

Posted on 11/15/2005 4:09:30 AM

Magar ye ho na saka or aab ye aalaam hay
kay to nahee tera gham, taree justajoo bhee nahee

Noon.

Posted on 11/15/2005 3:34:41 PM

nagri nagri ghuum rahai hain sakhio acha mokka hai
rupo srup ki bhagsha daido hum ik phela daman hain

HAY

Posted on 11/15/2005 8:28:53 PM

hey ehl e dil k liye ab yeh nazm e bast o kushad
k sang o khasht muqeed hein aur sug azaad

adaab arz hai


--> daal (D)

Posted on 11/15/2005 10:45:41 PM

"Duur rahay jub tek Tu, Teri Perastish ker lain"
"Hum jissay Chhu na sakainn uss ko Khuda kehtay hain"

NUUN

Posted on 11/15/2005 11:51:49 PM

aslam o alaikum 1st shair in bait baazi with >noon<


Posted on 11/16/2005 4:16:52 AM