Logo

batbazi

Tere ishq ne mala mal kiya tere ishq ne
na yeh poch k kia mera haal kiya tere ishq ne

NUUN

Posted on 11/16/2005 3:45:28 PM

Nigah-e-saqee say chalak rahee hay sharab
piyoo kay pilanay kee raat aayee hay.

Ye.

Posted on 11/16/2005 5:50:39 PM

Yahi andaz-e-kainat raha to kal ka taajir
barf kee baat liya dhoop main batha hoga

Posted on 11/16/2005 7:12:01 PM

Apni mitte pe chalne ka saleeqa sekhoo
sange marmar par chaloo gay to phisal jaoo gay

Posted on 11/16/2005 8:12:34 PM

hawwa ki beti:
aslam o alaikum 1st shair in bait baazi with >noon<




kiran:
Tere ishq ne mala mal kiya tere ishq ne
na yeh poch k kia mera haal kiya tere ishq ne

NUUN


Please be careful...Last letter was ALIF not TAY...

Posted on 11/16/2005 10:43:06 PM

aikalone:
Apni mitte pe chalne ka saleeqa sekhoo
sange marmar par chaloo gay to phisal jaoo gay


"Yeh Zindagi Guzaar Rahay Hainn jo Hum Yahann"
"Yeh Zindagi Naseeb hay Logonn ko Kum Yahannn"

NUUN

Posted on 11/16/2005 10:49:19 PM

Na janay konsa lamha chura ke lay jay
Mataa e gardish e doraan hay zindagi apni

Posted on 11/18/2005 2:02:21 AM

ye saaneha bhi Mohabbat main baar-ha guzra
k us ne haal bhi poocha to aankh bhar aayi

Nasir Kazmi

ye

Posted on 11/18/2005 8:31:43 PM

yeh ;;

Yaad bhi unki yeh kehtay howay dil say nikli
Isi ujrhee hui basti mien bhala kia rehna ;

Posted on 11/19/2005 2:21:46 AM

apna ye aalam hey khud se bhi apnay zakhm chupatay hain
logon ko ye fikr k koi mozu-e-tash-heer banay

ye

Posted on 11/19/2005 8:58:13 PM

""Yeh jo Deewanay say dou (2) Chaar (4) Nazar Aatay hainn"
"Inn mainn say kuchh Sahab-e-Israar Nazar aatay Hainn"


NUUN

Posted on 11/19/2005 9:51:20 PM

Na wafa mein rang-e-wafa hai nah jafa mein rang-e-jafa
Kabhi dushmani nay hansa diya kabhi dosti nay rulaa diya

Posted on 11/20/2005 4:07:29 AM

ALIF....


"Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi
Yeah Mulaqat Phir Nahi Hogi

Aisay Badal To Phir Bhi Aain Gay
Aise Barsaat Phir Nahi Hogi

Raat Un Ko Bhi Yoon Howa Mehsoos
Jaisay Yeah Raat Phir Nahi Hogi

Ik Nazar Mur K Dekhnay Walay
Kia Yeah Khairaat Phir Nahi Hogi"


YEH




Posted on 11/20/2005 4:00:30 PM

yun to pyar kerney wale tumhein kam na milengey
mil jayngey hum jese lekin hum na      milengey

Posted on 11/20/2005 4:14:04 PM


ye hum hi jantay hain judai k mord pe
is dil ka jo bhi haal tujhay dekh kar hua

Alif


Posted on 11/20/2005 6:47:19 PM


Apney mann main doob k pa ja surag-e-zindagi
tu agar kisi ka nahi banta na ban apna to ban

Posted on 11/20/2005 9:09:21 PM

SanaSana:
yun to pyar kerney wale tumhein kam na milengey
mil jayngey hum jese lekin hum na      milengey


welcome SAN SANA

Posted on 11/20/2005 9:51:32 PM

hawwa ki beti:

Apney mann main doob k pa ja surag-e-zindagi
tu agar kisi ka nahi banta na ban apna to ban



"Na Sochiyey tou bohat Mukhtasir hay Sail-e-Hayaat"
"jo Sochiyey tou yehi Zindagi Samandar Hay "

YEH

Posted on 11/20/2005 9:58:47 PM

yeh dastoor e waea sadyon sey raaeij hai zamaney main
sada e qarb di jin ko unhee ko door daikha hai


[ saghar siddiqui]

yeh

Posted on 11/20/2005 10:04:47 PM

"Yeh jo Gard Baad-e-hayaat hay, Koi Iss ki Zad say Bacha nahin"
"Magar aaj tek teri yaad ko, Mainn Rakhoonn Sanbhaal Sanbhaal kay"

YEH

Posted on 11/20/2005 10:07:39 PM

yeh acha hay k aapas k bharam tootney na payin
kabhi bhi doston ko aazma kar kuch nahi milta

milta

Posted on 11/20/2005 10:09:06 PM

new_beau:
"Yeh jo Gard Baad-e-hayaat hay, Koi Iss ki Zad say Bacha nahin"
"Magar aaj tek teri yaad ko, Mainn Rakhoonn Sanbhaal Sanbhaal kay"

YEH

yaad rakhna hamari turbat ko
qarz hai tum per 4 phoolon ka


alif

Posted on 11/20/2005 10:11:19 PM

ALIF

"Ab ki dafa woh rou peray ga, Weeraan Kaghaz dekh ker"
"Aakhri Khat mainn ussay mainn nay likha kuchh bhi nahin"

NUUN

Posted on 11/20/2005 10:11:42 PM

Post Mix ho gayee...HAWA KI BETI aur only Arbaab ki

ANyways..Continue with NUUN

Posted on 11/20/2005 10:12:42 PM

new_beau:
Post Mix ho gayee...HAWA KI BETI aur only Arbaab ki

ANyways..Continue with NUUN


salam there

difference was 2 min just

Posted on 11/20/2005 10:15:16 PM

new_beau:
Post Mix ho gayee...HAWA KI BETI aur only Arbaab ki

ANyways..Continue with NUUN

nahin baygangi achhi rafique e rah e manzil sey
thehar ja ay sharar hum bhi to aakhir mitney waley hain

noon

Posted on 11/20/2005 10:17:42 PM

wa salam Hawa ki Beti...


"Nigaah Buland, Sukhan Dil Nawa , Jaann Pur souz"
"Yehi hay Rakht-e-Safar Meer-e-Carwaann kay liyey"

YEH

Posted on 11/20/2005 10:30:14 PM

new_beau:
wa salam Hawa ki Beti...


"Nigaah Buland, Sukhan Dil Nawa , Jaann Pur souz"
"Yehi hay Rakht-e-Safar Meer-e-Carwaann kay liyey"

YEH

>>Y<< again and again for me ok no prob


yeh raaz kisi ko bhi nahin maloom keh momin
qari nazar aata hai haqeeqat hain hai QURAN


so lets play with >> noon <<

Posted on 11/20/2005 10:35:38 PM

"Nehangg-o-Azdaha-o-Shair-e-Nar Maara tou Kiya Maara"
"Baray Moozi ko Maara, Gar Nafs-e-Ammaara ko Maara"

ALIF

Posted on 11/21/2005 3:51:04 PM

Apna matlab kho deti hey dil main rakhi baat
rona hey to khul k ro aor jalna hey to jall

Laam




Posted on 11/21/2005 11:08:31 PM