thx dear![]()
thx u
v nice
very nice![]()
![]()
nice![]()
![]()
Ji Chahta Hay Khudkushi Say Pehlay
Ek Esi Ghazal Likhon Ya Nazam Likhon
Jo Meri Zindgi Ki Tarjumaan Banay
Ho Sakay To Meri Zubaan Banay
Khudkushi Say Pehlay Ek Nai Dastaan Banay
Ji Chahta Hay Khudkushi Say Pehlay
Apnay Har Ghum Ka Usay Ilzaam Day Do'n
Qatil, Khud Garz, Harjai
Saray Jahan Say Keh do'n
Mara Hun Us Kay Sabab
Aaj Bay Dharak Na Keh Do'n
Naam Badal Kar Uska Kyu Na Jallaad Rakh Do'n
Khudkushi Say Pehlay
Usay Aasteen Ka Sanp Na Keh Do'n
Magar Phir Yeh Soch Kay Khamosh Hun
kaheinMeray Bad Woh Meray Ghum Mein
Mujhay Woh Bhi Khudkushi Say Pehlay
Qatil, Khud Garz, harjai Na Keh Day
Woh Bhi Khudkushi Say Pehlay
Mujhay Aasteen Ka Sanp Na Keh Day
Khudkushi Say Pehlay
har Qatil Maqtool Say
Pochta Hay Aakhri Khahish Uski
So Main Apna Qatil Khud hun
To Pochta Hun Aatkhri Khahish Apni
Khudkushi Say Pehlay
Pochi Jo Aakhri Khahish Main Nay Apni
To Mujh Mein Koi Mujh Jesa Cheakh Utha
Aakhri Khahish yahi Hay Meri
Es Khud Dunya Say Monh Mornay Mein
In Harjai Rishto'n Ko Tornay Mein
In Baywafa Dosto'n Ko Chornay Mein
Or Der na kar
Aye Dil Bohat Ji Liya
Bohat Ji Liya
Khudkushi Say Pehlay
Ab Or Der na Kar.......
Tum Naghma E Mah O Anjum HO Tum Soz E Tamana Kya Jano
Tum Dard E Muhabbat Kya Samjho Tum Dil Ka Trapna Kya Jano
Kab Dard Barha Kab Hook Uthi Kab Ashk Baha Kyon Aah Khichii
Tum Gum HO Bahaaron Mein Apni Tum Gham Ka Fasana Kya Jano
IK Mouj E Tabasum Honton Par Ik Naghma Rangeen Aankhon Mein
Tum Raqs E Suriya Kya Samjho Tum Barbat E Zehra Kya Jano
Tum Rooth Gye Jab Jab Hum Sey Hum Tum Ko Mana Hii Laitey They
IK Baar Agar Hum Rooth Gye Tum Hum Ko Mana-Na Kya Jano
Takhreeb E Muhabbat Asaan Hai Tameer E Muhabbat Mushkil Hai
Tum Aag Lagana Seekh Gaye Tum Aag Bhujana Kya Jano
Tum Door Kharey Dekha Hii Kiye Aur Doobney Wala Doob Gya
Saahil Hii Ko Tum Manzil Samjhey Tum Lazt E Dariya Kya Jano
'Nasir' kyaa kahataa phirataa hai kuchh na suno to behatar hai
diivaanaa hai diivaane ke muu.Nh na lago to behatar hai
kal jo thaa vo aaj nahii.n jo aaj hai kal miT jaayegaa
ruukhii-suukhii jo mil jaaye shukr karo to behatar hai
kal ye taab-o-tavaa.N na rahegii Tha.nDaa ho jaayegaa lahuu
naam-e-Khudaa ho javaa.N abhii kuchh kar guzaro to behatar hai
kyaa jaane kyaa rut badale haalaat kaa ko_ii Thiik nahii.n
ab ke safar me.n tum bhii hamaare saath chalo to behatar hai
kapa.De badal kar baal banaa kar kahaa.N chale ho kis ke liye
raat bahut kaalii hai 'Nasir' ghar me.n raho to behatar ha
Is se pehle ke meri khak bikhar jaye
Aey sham-e-gham tu hi bta aj kidhar jae gi
Wo dikhae gi nishan-e-manzil mujh ko
Khak-e-pa teri jis rah se guzar jaye gi
Mein diyiay ghum kay jlaun ga teri chahat mein
Chandni jb teray angan mein utar aey gi
Maujza kahun ise ya k hawadis ka kamal
Dekh k mujhko jb ankh teri bhar aey gi
Wo bicharne ki ghari aur woh shehr-e-matam
Kis ko Zohaib, ab woh sham nazar aey gi
hum ney tu khair tujh se shikayat kabhi naa ki
aisa nahin k dil ney baghawat kabhi naa ki
kis haal main hain tere satyee howe ye log
tu ney poochney ki bhi zehmat kabhi naa ki
mehsoos kaya kary ga woh oroon k dard ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii
chaha hai main ney jiss ko barii shidatoon k saath
iss tarah uss ney mujhy se muhabat kabhii naa kii
her dastan terii bohat ghor se sunii
lakin bayan apnii shikayat kabhi naa kii
ek khawab tha jo apnii shaboon per raha muheet
kaya khawab tha?kisi se wazahat kabhii naa kii
ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa kii