Sath roti thi mery,sath hasa karti thi,
Wo larki jo mery dil mein basa karti thi !!
Meri chahat ki talabgar is darja thi k wo,
Musalay pe namazun mein dua karti thi,
Ik lamhy ka bicharna bhi gira tha usko,
Rotay huy mujhko khud sy juda karti thi,
Mery dil mein raha karti thi dharkan ki tarah,
Aur saaye ki tarah sath chala karti thi,
Rog dil ko laga bethi anjany mein,
Meri aaghosh mein marny ki dua karti thi,
Baat kismat ki hai FARAZ !!
Juda hogaye hum , warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi !!
Warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi…….!!!
beautiful![]()
![]()
koi pooch lay to main kia kahon?
usay kia bataon?
yeh roz-o-shab to janam janam pay muheet hai
mairay zakhm zakhm dil-o-nazar
mujhay iss janam main nahi milay
mairay ratjagay, mairay hamsafar
mairay sath aaj nahi chalay
yeh muheeb-e-wahshat-e-fiqar jo
mairay naqsh naqsh ki rooh hai
koi baysabaat bayan nahin
yeh to asmaanon ka aks hai
yeh to devtaaon ka dhiyan hai
yeh to janay kaisi
sadi sadi ki azeeyaton ka gayaan hai
yeh ajeeb mairay gham-e-alam
yeh naseeb sang-e-siyah per
yeh warq warq pay garray qalam
yeh karra hisaar naya nahi
maira intezar qadeem hai
maira uss say piyar qadeem hai
yeh ajeeb mairi muhabbatain
yeh ajeeb mairi muhabbatain...
koolest where ru
paani per bhi zaad-e safar main piyaas tu letey hain
chahney waley aik dafa bin baas tu letey hain
aik hi sheher main reh kar jin ko izn-e deed na ho
yehi bohat hai, aik hawa main saans tu letey hain
rasta kitna dekha howa ho, phir bhi shah-sawaar
aerh laga kar apney haath main raas tu letey hain
phir aangan dewaroo.n ki onchaai main gum hoon gai
pehley pehel ghar apnoo.n k paas tu letey hain
yehi bohat hai k bachey khaali haath nahi hain
apney purkhoo.n ki meraas tu letey hain
koi pooch lay to main kia kahon?
usay kia bataon?
yeh roz-o-shab to janam janam pay muheet hai
mairay zakhm zakhm dil-o-nazar
mujhay iss janam main nahi milay
mairay ratjagay, mairay hamsafar
mairay sath aaj nahi chalay
yeh muheeb-e-wahshat-e-fiqar jo
mairay naqsh naqsh ki rooh hai
koi baysabaat bayan nahin
yeh to asmaanon ka aks hai
yeh to devtaaon ka dhiyan hai
yeh to janay kaisi
sadi sadi ki azeeyaton ka gayaan hai
yeh ajeeb mairay gham-e-alam
yeh naseeb sang-e-siyah per
yeh warq warq pay garray qalam
yeh karra hisaar naya nahi
maira intezar qadeem hai
maira uss say piyar qadeem hai
yeh ajeeb mairi muhabbatain
yeh ajeeb mairi muhabbatain...
bohut achay....![]()
thnkx rapunzel 4 shairing....
thnkx soooooo MuCch....![]()
sakoon mahal hai Amjad wafa ke rastay main
kabhi charagh jalay hain hawa ke rastay main
najaney ab ke baras khaitiyoon pe kya guzray
kai pahar kharay hain hawa ke rastay main
qadam qadam pe qadam larkhray jatay hain
butoon ke dhair lagay hain Khuda ke rastay main
diar-e-ahle mohabbat main kis nay di awaz
hazar saaz bajay hain sada ke rastay main
siway dard-e-mohabbat, bajuz ghubar-e-safar
koi rafiq na paya wafa ke rastay main
Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein
Mairi Manzilon Ke Hasool Mein Teri Raah Aaye To Kya Karoon
Jo Pukaarta Tha Her Aik Gharri Jo Jurra Tha Dil Say Larri Larri
Koi Shaks Aisa Ager Kabhi Mujhey Bhool Jaye To Kya Karoon
Kabhi Saath Tha Jo Ke Doo-ba-Doo Tha Humesha Mairey Hi Ru-ba-Ru
Jo Barrha Raha Tha Qadem Mairey Woh Hi Dagmaga jaye To Kya Karoon
Woh Charaagh-e-Dar Jo Jala Kabhi Main Bujha Chuka Hoon Magar Kabhi
Ke Bujha Huwa Bhi Diya Ager Maira Ghar Jalaye To Kya Karoon
Mainey Aks Tak To Mitta Diye Sabhi Aainey Bhi Chupa Diye
Tujhey Daikhta Koi Door Say Mairey Pass Aaye To Kya Karoon
Chalo Aao NishaaN Dhoondain
Khoya Hua JahaaN Dhoondain
Merey Haath Mein Haath De Do
Mil Kar KehkashaaN Dhoondain
Thehro! Zara Raakh Kuredain
Jala Hua ArmaaN Dhoondain
Meri Raat Ko Roshan Kar De
Taaron Bhara AasmaaN Dhoondain
Khud Khoya Teri Talash Mein
Akhir Tujhey KahaN Dhoondain
Pathar Dilon Ko Mom Kar De
Aisa Koi MehrbaaN Dhoondain
Bhatkey Hoye Ko Panah De
Aao Koi SayibaaN Dhoondain
Wo Dil Ki Baat Samajh Le
Aisi Koi ZubaaN Dhoondain
Wo Jheel Kinarey Pe Ho ga
Aao Usey WahaN Dhoondain
Salamat Dar-o-Deewaar Rakhta Ho
Aaj Aisa MakaaN Dhoondain
Be Ikhtiyaari Ka Daman PakRey
Lutf-e-Jalwa-e-JanaaN Dhoondain
Saamnay aa key nigaahoon ko churaata kiyoon hay
Hay ager piyaar ussay bhee to chuppaata kiyoon hay
Chain din main hay ussay aur na raatoon ko sakoon
Itnee qurbet hay to phir rooth kay jaata kiyoon hay
Youn to main bhool gaya hoon ussay maazi kee tarah
Dil ko her waqt mager yaad woh aata kiyoon hay
Teri faryaad sunni hay na sunnay ga koi
Phir bhee tu haath duaaoon ko uthaata kiyoon hay