Logo

~ -- SALL’s Corner -- ~

Na Jane Kiya Hum Ne Aisi Khata Kar Di..



Na jane kiya hum ne aisi khata kar di..
Unhon ne to tanhai humari saza kardi.
Ek dil se darkan juda kar kardi
Kiya kiya na kiya us ke liye phir bhi unhon ne judai ata kar di
Aey bewafa tere har sitam ke bawajud
Humne apne sabar ki inteha kar di
Ummr bhar na karen ge teri be rukhi ka shikwa
Zindagi phir bhi be wafa tere naam kar di...!!!




Posted on 5/1/2004 3:20:43 PM

Mujhe Bohat Chahat Hai Tujhe Paney Ki..



Main teri ankhon se nahi
In may doob janey se darta hoon

Main teri muhabat se nahi
Teri intaha se darta hoon

Main raat ki tareeqi se nahi
Is tareeqi main basi apni tanhaiee se darta hoon

Mujhe bohat chahat hai tujhe paney ki
Liken tere door janey se darta hoon...!!!

Posted on 5/1/2004 3:21:10 PM

teri inteha se darta hu
nice queeeenyyy..

Posted on 5/1/2004 3:29:10 PM

All is Nice....
KeeP It uP..!!

Posted on 5/3/2004 2:23:35 PM


Posted on 5/4/2004 2:52:27 PM

Thoda Sa Pyar Kia Hai Abhi Bhi Hai Baki..



Chahaton Ka Sila Yeh
Khub Tumne Diya Hai
Apni Duniya Basali
Humko Tanha Kiya Hai

Yeh Batade Hamare
Pyar Mein Kya Kami Hai
Meri Palkon Mein Dekho
Aaj Kitni Nami Hai

Jaise Suraj Woh Chupa Ho
Pyar Mera Hai Duba
Reh Gayi Hai Tanhayee

Kaisa Eqrar Tera Tha
Kuch Nahi Baki
Thoda sa Pyar Hua Tha
Kuch Nahi Baki


Kis ne dekha dard mera
Meri halat hai jani
Meri barbadiyoon ki
Likhi tu ne khani

Pehle to dil lagaya
Phir use toor dala
Saath chalte chalte kyoun
Rah main chor dala

Aise hai dil ki lagi Ho
Jo bujhei na bujhi
Aag tu ne hai lagai

Tujh pe aetbar kiya tha
Kuch nahi baqi
Thoda sa pyar kiya hai
Ab bhi hai baqi...!!!


Posted on 5/4/2004 2:57:41 PM

Aur Ziker Tumhara Hota Hai..



Hawa jab teiz chalti hai
Tumhari yaad aati hai
Jab patte sarsaraate haiN
Aur Tumhara zikr hota hai

Kabhi bholay se shab ko
Mere dil maiN aa ker dekho
Hai aik mehfil saji hoti
Aur Tumhara zikr hota hai

TumheN kaise bataooN kitni
chahat MaiN ne ki tum se
Key jab aaNsoo chalakte haiN
Aur Tumhara zikr hota hai

Kabhi chanda ko maiN dekhooN
Kabhi taaray maiN ginta hooN
Jab chaaNdni muskurati hai
Aur Tumhara zikr hota hai

Zamana hai bohat zalim
KaheeN yeh cheen na lay tum ko
MaiN bus khaamosh hota hooN
Aur Tumhara zikr hota hai...!!!


Posted on 5/4/2004 3:09:11 PM

TUMHAIN JANA IJAZAT HAY..



Tumhin Janaa Ijazat Hai....!!!

K In Tareek Rahoon Per

Thakan Si Khud Main Pao To...

Andheron sey Kabhi Dil Dol Jaey

Thak Si Jao To...!!!

Meray Jaltey Hoey Lamhon

Meray Kangal Hathon Se

Chhura K Apny Hathoon Ko

Fazza Ki Naghmagi se

Tum Naey Geeton Ko Chun Lena

Haseen Palkon Ki Nokon Per

Naey Khaab Tum Bun Lena

Koi Ger Pochey Mera To

Is Sey Mera Ziker Mat Karna

Meray Jeevan Ki Jalti Dopehr Se

Begharz Ho Kar

Tum Apni Chandni Ratoon Main

Jugnu Paltey Rehna

Meri Tanhaion Ki Vehshatoon Ki

Fiker Mat Karna

Tumhen Is Ki Ijazat Hai

Meray Sab Khat Jala Dena

Meri Her Yaad Ko Dil Se

Khurachna Aur Mitta Dena

Tumhin Bilkul Ijazat HAi...

K Jab Chaho Bhulla Dena

Mager Itni Guzarish Hai....

Ager Aesa Na Ho Janaa

To Acha Hai...!!!


Posted on 5/4/2004 3:10:44 PM

KAHEE TO MILAY GEE MUHABBAT KI MANZIL..



Kahee to milay ge muhabbat ki manzil
Yeh dil ka musaafir chalaa ja raha hay
Nazar main sajee hay khayaloo ki mehfil
Umeedoo ka sooraj dhalaa jaa raha hay,

Jal kay bujhay zindgee ki shama
Kho jaiay din kia pata kab kahan,

Hay yeh kaisee dagar
Hay yeh kaisaa safar
Na kisi ko pata
Na kisi ko khabar,

Hay toofan main kashtee baree door saahil
Yeh dil ka musaafir chalaa ja raha hay,

Pal na rukay eik pal kay liay
Jeeta rahay piyaar kal kay liay,

Karay koi sitam
Milay koi saza
Dil bhoolay nahee
Kabhee pehlee wafa,

Jo haaray na himmat karay sab wo haasil
Yeh dil ka musaafir chalaa ja raha hay

Kahee to milay ge muhabbat ki manzil
Yeh dil ka musaafir chalaa ja raha hay
Nazar main sajee hay khayaloo ki mehfil
Umeedoo ka sooraj dhalaa jaa raha hay...!!!




Posted on 5/4/2004 3:12:33 PM

Wo Hansti Rahi..



Hum kehte rahe aur wo hansti rahi
Hum to chup bhi rahe aur wo hansti rahi

Hum badal jain us ko bohat shock tha
Hum badalte rahe aur wo hansti rahi

Us k jane k baad toot toot kar
Hum bikharte rahe aur wo hansti rahi

Wo hamara tha sawan na barsa kabhi
Hum sulagte rahe aur wo hansti rahi

Us ki aankhon ka jadoo bohat tez tha
Hum sanbhalte rahe aur wo hansti rahi

Us ko her pal badalte hue dekh kar
Hum bigarte rahe aur wo hansti rahi

Chandni raat main chandni bun kar
Hum chmakte rahe aur wo hansti rahi...!!!


Posted on 5/4/2004 3:13:19 PM

goood nice poetry queene ji

Posted on 5/4/2004 7:32:09 PM

thanx dear sub

Posted on 5/5/2004 11:23:29 AM


Posted on 5/5/2004 11:46:43 AM

kamal of queeny
especialy jugnoon se bhar le aanchal

Posted on 5/6/2004 7:13:55 PM

Pahlay Anchal say tu pooch loo..woh bharnay day gy?

Posted on 5/6/2004 8:23:43 PM

KABHI ZAWAAL NAHI AATA



kabhi zawaal nahi aata         &n bsp;         &n bsp;         &n bsp;         &n bsp;         

ander ki chup mohabbatoon ko

manziloon mein bhatakte loogoon ko

unkahi baatoon ko

baatoon mein chupi hakeekatoon ko

kabhi zawaal nahi aata

bachpan ki sharaartoon ko

sharaartoon mein chupi hansi ko

hansi mein chupe dukh ko

chaand se ki hazaaroom baatoon ko

kabhi zawaal nahi aata

                                            (amjad islam amjad)




Posted on 5/7/2004 5:40:33 PM

Good..Nice work..Queen without King

Posted on 5/7/2004 5:45:39 PM


Posted on 5/7/2004 5:46:07 PM


Posted on 5/7/2004 5:46:35 PM

Mere khayalon mein….



Mere khayalon mein kahin tum gunguna’te ho

Meri yaadon ki duniya mein aate jaate ho

Meri udaasi mein kahin tum muskura’te ho

Main baihal jaati hoon jaise tum baihla’te ho



Kayi dino ke baad koi khwab nazar aaya hai

Pal’kon ke jharokon se ek chand u’tar aaya hai

Meri neendon mein aaker mujhe roz jagate ho

Meri udasi mein kahin tum muskura’te ho

Main baihal jaati hoon jaise tum baihla’te ho



Barish ki in boondon ne phir naam likha hai tumhara

Jaane kion jalne ko jee chahe aaj hamara

Qatra qatra si shabnam mein aa ker aag lagate ho

Meri udaasi mein kahin tum muskura’te ho

Main baihal jaati hoon jaise tum baihla’te ho



Mere khayalon mein kahin tum gunguna’te ho

Meri yaadon ki duniya mein aate jaate ho

Meri udaasi mein kahin tum muskura’te ho

Main baihal jaati hoon jaise tum baihla’te ho





Posted on 5/7/2004 5:52:16 PM

HIJAR KE SAHA KA KESSI ISAM SE KATNA MUSHKAL
CHAND POORA HAI TU PHER DARD KA GHATNA MUSHKAL

MOOJAH KHAWAB HAI WOH IS KE THEKANAY MALOOM
AB GIYA HAI TU YEH SAMJHOO KEH PALATNA MUSHKAL

JIN DARAKHTOON KE JADAIN DIL MAIN UTER JATI HAIN
UN KA AANDHI KE DARANTI SE BHI KATNA MUSHKAL

QOWAT_E_GHAM HAI JO IS TERHA SAMBHLAY HAI MUJHAY
WERNAH BEKHROON KESSI LAMHAY TU SEMTNA MUSHKAL

US SE MILLTAY HOOAY CHAHRAY BHI BOHAT HOONAY LAGAY
SHER KE SHER SE IK SATH NIMTNNA MUSHKAL

AB KE BHI KHOSHON PEH KUCH NAME THAY PEHLAY SE LIKHAY
AB KE BHI FASAL KA DEHQANOON MAIN BATNA MUSHKAL


Posted on 5/8/2004 11:38:00 AM

"Tugh ko sheron main mukhatib kerna
ek bahana hai ghum chupaney ka
tu gheri bher main rooth jata hai
faida kiya tughey mananey ka
aankh main teree nami ke saath
lutf hai qeqahey laganey ka
khud se bagana rahey ga ashraf
hai erada tughey bhulaney ka"

Posted on 5/8/2004 12:56:44 PM

patharon ka nager hai kidher jaogey
dil ka aaiena leker kidher jaogey

ho sakey tu kero ghor halaat per
etny ghum mat uthao bikher jaogey

dil dukhaney ka aaghaz bohut accha hai
tum ne anjaam dekha tu der jaogey

aaiena mugh ko aik din banao zara
umer bher ke liye tum nikher jaoogey

usko chaha tu paney ki koshish kero
sochtey sochtey werna mer jaogey

tum ne shadaab ager khud ko jana nahi
ba khaber aaye ho be khaber jaogey"

Posted on 5/8/2004 1:00:52 PM

Baat jab hud se aagey berh jaye
jes se jitne nibhey nibha lena
umer bher kon saath deta hai
dil ko ye keh key aasra dena"

Posted on 5/8/2004 1:02:20 PM

Har Yaad Os Kee"

Her yaad us ki bhula di mein nay
is tarah khud ko saza di mein nay

In dukhon ki jo dhool thi dil per
woh dhool bhee mita di mein nay

Jub khushi milnay lagi thi mujh ko
tub ghamon ko khud sada di mein nay

Her raat teray hijer ki janan!
bayqrari main bita di mein nay

Shairey hi kay bahanay tum ko
tasweer gum ki dikha di hum nay

Her aankh aansu bhari hay SheRry
Dastan kaisi suna di mein nay

Posted on 5/8/2004 3:49:22 PM

Terii Khushbuu kaa pataa karatii hai

mujh pe ehasaan havaa karatii hai
shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar

guftaguu tujh se rahaa karatii hai
dil ko us raah pe chalanaa hii nahii.n

jo mujhe tujh se judaa karatii hai
zindagii merii thii lekin ab to

tere kahane me.n rahaa karatii hai
us ne dekhaa hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh

dil kaa ehavaal kahaa karatii hai
beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht

ret par naam likhaa karatii hai
shaam pa.Date hii kisii shaKhs kii yaad

kuuchaa-e-jaa.N me.n sadaa karatii hai
mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk

haal jo teraa ana??? karatii hai
dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N

baat kuchh aur huaa karatii hai
abr barase to inaayat us kii

shaaKh to sirf duaa karatii hai
masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa

faisalaa sirf havaa karatii hai




Posted on 5/8/2004 3:49:55 PM

Who Pehli Mulaqat

Who Pehli Mulaqat Beterteeb Se Hui
Lab Pe Jhijhak ke Tale Aur Karni Thi Guftagu

Alfazoon Ki Adaigi Kuch Istarah Hui
Ik Dosre Se Bichad Gay Hoke Beaabroo

Rehne Ki Hosh Main Kari Koshish Toh Bohat Thi
Badle Main Her Sawal Chida Aur Hi Mozoo

Kerne Ko Kharch Toh Bohat Tha Jaib Main Magar
Hai Unke Dil Main Kia Thi Bechaini Se Justaju

Hasil Wasool Kuch Nahua Yaad Hai Mager
Who Muskurake Deikhte Thy Hum Ko Rubaroo


Posted on 5/8/2004 3:50:27 PM

Main Ne Socha Tha,



Aaj Aap Ayen Gey

Tu Roo Doonga
Aap Poochen Gey
Tu Sab Haal Keh Donga
Keh Doonga K
Kitne Din Howe Hain Soya Nahi
Wo Konsi Bhool Hai Jo Hoi Nahi
Kitab Firdge Mein
Shelf Mein Glass Rakha
Pir Ka Din Tha
Khat Mein Jumeraat Likha
Dost Se Shikhwa Karna Tha
Use Sipas Likha
Tv Par Geet Tha Azaan Nahi
Mein Ne Chonk Kar Sir Par Topi Orhi
Kia Haal Kar Diya Hai Mera
Mujhe Kise Kaam Ka Na rakha
AUR
Jab Aap Ne Aa Kar Poocha
Tu Bas Mein Itna Hi Keh Saka
K Mein Theek Hoon

Posted on 5/8/2004 4:28:23 PM

Jab bhi aate hay wo mayray dehaan main
Phool rakh jate hay roushan daan main
Ghar kay baam o dar naye lagnay lagay
Husan aisa tha meray mehmaan main
Tera chehra Aaenay kay saamnay
Or Aaena naye Imkaan main
Aks teray,tayri khushboo ,teray rang
Bas yehi kuch hay meray samaan main
Jisim o jaan ko taaza mousam mil gaye
Jal gaya main teray Aatish daan main
Aandhiyoon main bhi uraata hay mughay
Koun hay ye meray jisim o jaan main
Jan darakht Angnaaye kay jalnay lagay
Dhoop utar aaye meray dalaan main
Tittliyaan kamray kay under Aagyen
Aik phool aisa bhi tha gul daan main
Aajnabi khuwaboon ka soorat gar hon main
Or main gum hoon teyri pehchaan main

Posted on 5/8/2004 5:03:30 PM

bhool jana chahta hoon

Usay main bhool jana chahta hoon
suno main muskurana chahta hoon

dukhi rehnay ki adat ho gayi hai
magar ab gungunana chahta hoon

puranay sab taluq toor kar ab
nayi dunya basana chahta hoon

woh nazmain paoon say lipti hain lekin
main un say jaan churana chahta hoon

woh sab tohfay woh sokhay phool saray
main ab un ko jalana chahti hoon

main utna pass ati hoon tumharay
main jitna door jana chahta hoon

mairay hamdam haqeeqat hay yeh mairi
main teray pass ana chahta hoon

ubharnay ki koi khawahish nahi hay
kay main ab doob jana chahta hoon

Posted on 5/8/2004 5:30:29 PM