Logo

~ -- SALL’s Corner -- ~

NA KAM HASRATOON KAY SIVA KUCH
                           NAHEEN RAHA
Na kam hasratoon kay siva kuch naheen raha
dunia main ab dukhoon kay siva kuch naheen raha

ik umar ho gayee hai kay dill ki kitab main
kuch khushk pattion kay siva kuch naheen raha

yadaian kuch is tarha say samaat pay cha gayeen
pichlee rafaqatoon kay siva kuch naheen raha

lab see lia to apnay hi kamray main youn laga
khamosh aayino kay siva kuch naheen raha

jazbay tamam kho gayay lamhoon ki dhool main
ab dill main dharkanoon kay siva kuch naheen raha

Posted on 5/8/2004 5:42:27 PM

faslay asay bhi hon gay ya kabhi socha na tha
samnay betha tah meray or wo mera na   tha
wo kah kushboo ki terha pehla tha meray char soo
main usay mahsoos kersakta tha na tha
raat ber pechli se aahat kan main aati rahi
jankk ker dekha galli main koi aaya na tha
aj us nay derd bhi appnay alydha ker liya
aj main rooya to sath wo rooya na tha
ya sub werraniyan us kay judda honay say thi
annkh dundli hoi thi saher dundliya na tha
yadd ker kay or bhi takleef hoti thi adeem
bhool janay kay sewa abh koi chaara na th

Posted on 5/8/2004 5:43:02 PM

Hote Hain Kyon Do Dil Juda.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Mein Sochta hoon Janne Kyon

Saare Deewane Pyaar Ke

Ik Din Juda Hojate Hain

Dil Jeet Ke Jaan Haar Ke

Duniya Kee Kyon Yeh Reet Hai

Jab IshQ Khud Hi Hai Khuda

Hote Hain Kyon Do Dil Juda.

Posted on 5/8/2004 5:45:17 PM

kya aise kam sukhan se koi guftugu kare
jo mustakil sukoot se dil ko luhu kare..

ab to humein bhi tark e marasim ka dukh nahi
par dil yeh chahta hai k agaaz tu kare..

tere bager bhi to ganeemat hai zindagi
khud ko ganwa k kaun teri justuju kare..

ab to yeh aarzu hai, woh zakhm khaiye
ta-zindagi yeh dil na koi aarzu kare..

chup chaap apni aag mei jalte raho FARAZ
dunya to arz e haal se be-abru kare..


Posted on 5/9/2004 6:40:39 PM

Mujhe kabhi kabhi...
Mujhe kabhi kabhi ye khayal aata hai
Ke koi hai jisey mujh per bhi piyar aata hai.

Mera her gham uss ko lagta hai apna
Meri har khusi pe uss ko qarar aata hai

Phir janey kiun woh kehne se darti hai
Aisa janey kia uss ke mann main khayal aata hai

Ankhon se aqsar iqrar karti hai
Kiun honthon per har baar inkar aata hai

Sochta hoon main hi kehe doon.woh jo kehe na saki
Lekin phir na sunn kar bicharne ka khayal aata hai

Chalo acha hai hastey hastey hi main chala jaon ga
Ke shayed koi hai jisey mujh per bhi piyar aata hai.



Posted on 5/10/2004 1:43:48 PM

aik dar
tum meray
ithnay passs ho kay
main jabh bhi
chaoon tumhay cho kay
dekh sakhti hoon
tumhay cha sakhti hoon
tumhay mhesoos kar sakhti hoon
par darti hoon
kay(kahin meray chotay hi yea
manzar bigar na jayeeeeee
or main..........


Posted on 5/10/2004 1:44:28 PM

HAMARI TARHA TUM KO CHAHY GA

Agar talash karo to mil hi jaye ga
Magar kon hamari tarha tum ko chahy ga

Tumhein zaroor koi chahtoon say dekhay ga
Magar woh ankhein hamari kahan say laye ga

Tumharay sath yeh mosam gulabon jaisa hai
Tumharay baad yeh mosam bohat rulaye ga


Posted on 5/10/2004 1:45:22 PM

very nice.....

Posted on 5/12/2004 12:44:16 PM

Sham k muntazir thay or rat ho gai

Sham K muntazir Thay or rat ho gaiy
Na jane kab ansoo ki barsat ho gaiy

Main kaha tah kabil k koi pooche
Youhi zindagi tamam ho gaiy

Kaha tak chaloo ga ese hi sochoo
Mohabbat ka kon hasil tha

Na hi hum ko is se chaht thi
Par kab kese wo ilzam ho gaiy

Mera muntazir abb sawera nahi
Abhi chalna baqi tha k sham ho gaiy

Hum saba ko kese bhool jaye bolo
Jis k ane se lashaoori aam ho gaiy

Main khizan se nikal aya tha magar
Wo daghe- khiza hi humara nam ho gaiy

Mojhay bhool jao yeh momkin hai
Shayad yeh nazr ab badnam ho gaiy



Posted on 5/12/2004 3:47:53 PM

Jab kabhi tumhein......

Tumhain jab kabhi milain fursatain meray dil say boojh utar do
main buhat dinoon say udas hoon mujhay aik sham udhar do

mujhay apnay roop ki dhop do kay chamak sakain meray khadokhal
mujhay apnay rang main rang do mera sara zang utar do

kisi aur ko meray hal say koi gharz hay na hi wasta
meray dil pay hath rakho zara meri dharkanoon ko qarar doo

tumhain subha kaisi lagi kaho meri khawahishoon kay dayar ki
jo bhali lagay to yahi raho isay chahtoon say nikhar do

wahan ghar pay kaun hay muntazir kay ho fikr der swair ki
bari mukhtasir si yeh rat hay isay chandni main guzar do

koi bat karni hay chand say kisi shakhsar ki aut main
mujhay rastay main yahin kahin kisi kunj-e-gul main utar do



Posted on 5/12/2004 3:48:52 PM

WOH DIL HI KYA

Woh Dil Hi Kya Jo Tere milne Ki Dowa NaKare
Mein Tujhko Bool Kar Zinda Raho Khuda Na Kare

Rahe Ga Tera Pyaar Zindagi BanKar
Yah Aur Baat Ha Mari Zindagi Wafa Na Kare

Yah Such Hai Nahi Marta Kohi Judahi Mein
Khuda Kisi Se Kisi Ko Juda Na Kare

Posted on 5/12/2004 3:50:28 PM

kaise karain gila kaise karain shikayat
lab kholte hai to dar samehsos hota hai
dosti main bhi itni ajnabiyat
ye sonchte hain to dar sa mehsos hota hai
faslay jo barh rahain hain darmiyan
in faslon se dar sa mehsos hota hai
main kaise pochun tum se na milne ki waja
mujhe to tumharay jawab se dar sa mehsos hota hai
main ne tum se dosti hi nahi mohabat bhi ki hai
ay dost ab to is sach se bhi dar mehsos hota hai
main to dosti nibhaongi her dam wafa
tum chod do dosti is baat se dar sa mehsos hota hai

Posted on 5/12/2004 3:52:09 PM

*jo meri ankhon se khowab dekho
to ek shab bhi na so sako ge
laakh chaho na hans sako ge
hazar chaho na ro sako ge.



*kal sham us se milne ki khuhesh bhi taiz thi
dil bhi udas tha barish bhi taiz thi.



kisi manoos lamhe main,
kisi manoos chehray se,
mohabat ki nahi jati
mohabat hojati hai.



*ahat si koi aye to lagta hai ke tum ho,
saya sa koi lehraye to lagta hai ke tum ho.

Posted on 5/12/2004 3:53:13 PM

kushboo hai chandini hai koi mehtab hai
mujh ko mila jo shakhs bada lajawab hai



*hum se mohabat ki nomaish na ho saki,
haan magar itna jante hai ke tumhain chahate hai bohat.



*mere lehje main ghoror aya tha us ka haq tha ke sikayat karta,
aur us se na rahi koi talab bas mere pyar ki izat karta.


*umr ek aysi hoti hai ke jis main dil ko
her baat achi lagti hai haqiqat ke siwa.

Posted on 5/12/2004 3:54:32 PM

TUJHE MEHSOOS KIYA....





Baharon main ghataon main tujhey mehsoos kiya
Jeewan ki rahoon main tujhey mehsoos kiya

Jab bhi barasnay lagin yeh piyaasi ankhin
Main ne in nigahoon main tujhey mehsoos kiya

Meri sansoon main rahi teray khiyaal se hulchal
Dil ki panahoon main tujhey mehsoos kiya

Khushboo hi khushboo bikher gai her sou
Main ne in hawaoon main tumjhey mehsoos kiya

Din k ujaloon main tujhey mehsoos kiya
Raat ki banhoon main tujhey mehsoos kiya




Posted on 5/14/2004 4:04:32 PM

~*~SHAB K SAYEY~*~

Sham Dhaltey Hi Chiraghon Ko Jala Layta Hoon
Yun Teri Yaad Main Her Roz Mana Layta Hoon

Tasavraat Ki Mehfil Main Saja Ker Akser
Teray Aany Ka Jashan Main Khud Hi Mana Layta Hoon

Jab Kabhi Peeta Hoon Gham-e-Doran Ka
Main Paymana

Teri Tasveer Nighaon Main Sajja Layta Hoon
Khuda Karey Koi Ruswa Na Ho Muhabbat Main Kabhi

Akser Is Dua Pay Hathoon Ko Utha Layta Hoon



Posted on 5/14/2004 4:07:18 PM

IK TERA EHSAS HAI..!

Ek Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai

Ik Teri Yaad Hai

Jo Din Raat Mujhey Terpaati Hai

Ik Umeed Hai Teray Aany Ki

Apna Tujhey Banany Ki

Na Chain Hai Na Sakoon Hai

Yeh Kesa Mera Hall Hai

Raaten Ho Gai Hain Itni Lambi

Jo Kaatey Nahin Kattin

Na Bhook Hai Na Piyas Hai

Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai

Bas Ik Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai...!!!


Posted on 5/14/2004 4:09:51 PM

Ghazal

Agli gali mey rehta hai

Aur milnay tak nahi aata hai

Kehta hai takkalluf kya kerna

Hum tum mey tow dil ka nata hai

Kehta hai ziada milnay se

Wadoon ki khulush berh jaye gi

Kuch baatein wakt pe bhi choro

Dekho tow wo kya dikhlata hai

Kehta hai tumhara dosh na tha

Kuch hum ko bhi aisa hosh na tha

Phir husta hai phir roota hai

Phir chup ho ker reh jata hai

Ae bucho ! ae husnay walo !

Tareekh-e- mohabbat perh daalo

Dil waloon ke dil per qaid nahi

Her umr mey thoker khata hai






Posted on 5/14/2004 4:11:40 PM

Barishon ke mosam mey





Di bohut hee derta hai baarishon ke mosam mey

Tum ko yaad kerta hai baarishon ke mosam mey



Saans julnay lagti hai khaab ki hararat se

Wakt kam guzerta hai barishon ke mosam mey



Aasman se dherti per abr-o-baad ki sorat

Aik sukoon uterta hai baarishon ke mosam mey



Mubtilaye hijer ko jub teri yaad aati hai

Serd aahein bherta hai baarishon ke mosam mey



Chaar hu mehek phelay rung rung pholon ki

Her shajar nikherta hai baarishon ke mosammey



Tum abhi tuk akelay koi mujh se ab

Ye sawaal kerta hai barishon ke mosam mey

Posted on 5/14/2004 4:13:25 PM

Kya baat hai Queen Jee..!!

Posted on 5/15/2004 10:11:40 AM

Guzray hoay zamanay k baad bhi
Dil main raha wo chor k janay k baad bhi

Pehloo main reh k dil nai diyey hain boht fareb
Rakkha hai yaad uss ko bholanay k baad bhi

Qurbat k baad aur bhi qurbat ki talash
Dil mutmaeen nahi teray anay k baad bhi

Gou To yahan nahi hai,mager tou yaheen hai
Tera hee ziker hai teray janay k baad bhi

Lagta hai kuch kaha hee nahi usay Adeem
Dil ka tamam haal sunanay k baad bhi

              Adeem Hashmi

Posted on 5/15/2004 2:35:28 PM

*~~*kachay dhaagay kachay rung*~~*



tum ne he kaha tha keh

apne dukh mujhe de do

aur is ke badlay mein

mere saaray sukh le lo



tum ne hee kaha tha

zindagi ke gulshan mein

phool jo bhi khiltay hain

saari khushiyaan tum se hain

jo husn ka qareena hai

jo ishq ka safeena hai

meri her khushi ho tum

balkih zindagi ho tum



kaash ! tum yeh na kehtay

kaash ! tum chup rehte



ya phir yeh na kaha hota**



mein tou eik rasta thi

mein eik aisa jazba thi

jis se khush huay thay tum

eik lamha , eik pal,

kis kadar faraib tha yeh



kachay dhaagay ka rishta **

kabhi bhi toot sakta hai **

tum ne kion kaha tha yeh ?

Posted on 5/15/2004 4:45:15 PM

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete.

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete.

Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete.

Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete.

Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete.

Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete.

Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete.

Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete.

Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye 'Sweet Friend'
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete.

Posted on 5/15/2004 4:51:35 PM

Malika Gazaliat.....Qurny ji ....

Posted on 5/15/2004 10:34:28 PM

Ajeeb larki hoon





Ajeeb larki hoon khud ko jalana chahtee hoon
Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahtee hoon

Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko
Bas ab to umer bher aansoo bhana chahtee

hoon

Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe
Koi bhee dard ho dil mai chupana chahtee

hoon

Baha baha k ye aasnoo bikhar chuki hoon bahut
Simat k zaat mai ab muskurana chahtee

hoon

Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai
Wo raaz aaj mai sab ko batana chahtee

hoon

Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baqi saaray sitam bhool jana chahtee

hoon

Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager
Mai eik larki hoon sab ko batana chahtee

hoon

Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan
To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahtee

hoon

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahtee

hoon

Tu apnay dil k her eik dar ko khool day
Mai dard ban ker teray dil mai aana chahtee

hoon



Posted on 5/17/2004 2:35:13 PM

good one queen victoria

Posted on 5/17/2004 3:33:31 PM

MUJHE TANHAYON SE DER NAHIN LAGTA
K MUJHE RAH DIKHANE K LYE
MUJHE REHTA HAI EHSAS
K "TUM HO NA!"

MAY MUSHKILAT SE NAHIN GHABRATA
K MUJHE HOSLA DENE K LYE
MUJHE REHTA HAI EHSAS
K "TUM HO NA!"

LEKIN
MAY SOCHTA HOON
YE TO MERA KHAYAL HAI
MEHEZ MERA GUMAN HAI

KASH KABHI AISA HO
MUJHE RAH DIKHANE K LYE
MUJHE HOSLA DENE K LYE
TUM MERE QAREEB AAO
OR DHEERE SE KAHO

"MAIN HOON NA



Posted on 5/17/2004 3:44:18 PM


Posted on 5/17/2004 5:11:05 PM

Teray meray maan kay under
Jo komal say jazbay hain
Un komal say jazboon ko
Naam mohabbat mat dayna
Yeh zo-maini lafz 'Mohabbat'
In jazboon ka naam nahi
Is ek lafz ki kia qeemat?
Is ek lafz kay kia maini?
Jo galioon main,bazaroon main
Mohaloon main ,choubaroon main
Ek doojay say har koi
Bin soochay bin samjhay hi keh dayta hai
Sachay jazboon ko humdum ,naam bhala kab daytay hain
In ki khushboo tou dil main dheeray say bas jaati hai
Gar phir bhi tum kehtay hoo
In sundar say jazboon ko naam koi tou day daynay doo
Tou aao phir hum aur tum
Lafzoon kay is saagar ki
Gehrai main gum hoo kar
Woh ek lafz talaash karay
Jo kay ab tak koi bhi na keh,na sun paya hoo
Jis kay moujjid hi hum hoo
Jo kay sirf humara hoo




Posted on 5/17/2004 5:19:52 PM


Posted on 5/17/2004 5:23:35 PM