Age: 40
7836 days old here
Total Posts: 47726
Points: 0
Location:
London, United Kingdom
Mujhe baahon mein bikhar jaane do Apni mushkabaar saason se mehek jaane do… Dil machalta hai aur saans rukti hai, Ab toh seene mein aaj mujhe utar aane do Apni mushkabaar saason se mehek jaane do… Shokh nazron ko sharm aati hai, Thartharaate hue labon ko chain paane do Apni mushkabaar saason se mehek jaane do… Raat tanha hai aur sard mausam hai, Shola-e-ehsaas ko AB aur bhadak jaane do Apni mushkabaar saason se mehek jaane do… Behke hain hum fizaa Jo behki hai, Dil ko dil rooh ko rooh mein sama jaane do Apni mushkabaar saason se mehek jaane do… Bikhre gesu hain bikhra kaajal hai, Haule haule is shab ko tum guzar jaane do Apni mushkabaar saason se mehek jaane do… Abhi aur bhi armaan dil me baaki hai, Yuhin baahon mein is raat ko kat jaane do Apni mushkabaar saason se mehek jaane do… Mujhe baahon mein bikhar jaane do Apni mushkabaar saason se mehek jaane do
Age: 40
7836 days old here
Total Posts: 47726
Points: 0
Location:
London, United Kingdom
kabhi kaha na kisi se tery fasanye ko na janyek esy khabar ho gaye zamanye ko chaman main barq nahi chorti kisi soorat tara tara se banata hon ashiyanye ko suna hai gher ki mehfil main tum na jaoo gye kaho to aj saja lon ghareeb khanye ko duwa bahar ki mangi to itnye phool khilye kahi jaga na mili merye ashyanye ko chaman main jana to syad dekh ker jana akela chor ker aya hon ashyanye ko meri lahed pe patangoon ka khoon hota hia hazoor shama na laya karye jalanye ko daba kye chal diye sab qabar main duwa na salam zara si der main kiya ho gaya zamanye ko ab agye is mian tumhara bhi nam aye ga jo hukam ho to yahin chor don fasanye ko qamar zara bhi nahi tujh ko khoof ruswai ka chalye ho chandni shab main unhyen mananye ko