Fairl_Girl’s Collection + OWN

159735 views 2788 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 05 Sep 2004

Fairl_Girl says

Love is my sin, and thy dear virtue hate,
Hate of my sin, grounded on sinful loving,
O, but with mine, compare thou thine own state,
And thou shalt find it merits not reproving,
Or if it do, not from those lips of thine
That have profaned their scarlet ornaments
And sealed false bonds of love as oft as mine,
Robbed others' beds' revenues of their rents.
Be it lawful I love thee as thou lov'st those
Whom thine eyes woo as mine importune thee.
Root pity in thy heart, that when it grows
Thy pity may deserve to pitied be.
If thou dost seek to have what thou dost hide,
By self-example mayst thou be denied!      
Posted 07 Jan 2007

new_beau says
Woh mujh ko chorr jaana chahta hai
Magar koi bahana chahta hai
Posted 07 Jan 2007

cutefriend says
new_beau said:

Woh mujh ko chorr jaana chahta hai
Magar koi bahana chahta hai





xactlyyyy

per NB paa jee ap ko nahi kaha
Posted 07 Jan 2007

cutefriend says
bujh gayaa dil hayaat baaqii hai
chhup gayaa chaa.Nd raat baaqii hai

hal-e-dil un se kah chuke sau baar
ab bhii kahane kii baat baaqii hai

raat baaqii thii jab vo bichha.De the
kaT ga_ii umr raat baaqii hai

ishq me.n ham nibhaa chuke sab se ai 'Khumar'
bas ek zaalim hayaat baaqii hai
Posted 07 Jan 2007

cutefriend says
hijr kii shab hai aur ujaalaa hai
kyaa tasavvur bhii luTane vaalaa hai

Gam to hai ain zindagii lekin
Gam_gusaaro.n ne maar Daalaa hai

ishq majabuur-o-naamuraad sahii
phir bhii zaalim kaa bol_baalaa hai

dekh kar barq kii pareshaanii
aashiyaa.n Khud hii phuu.Nk Daalaa hai

kitane ashko.n ko kitanii aaho.n ko
ik tabassum me.n us ne Dhaalaa hai

terii baato.n ko mai.n ne ai vaa_iz
ahataraamaa ha.Nsii me.n Taalaa hai

maut aaye to din phire shaayad
zindagii ne to maar Daalaa hai

sher nazme.n shaguftagii mastii
Gam kaa jo ruup hai niraalaa hai

laGziishe.n muskuraa_ii hai.n kyaa kyaa
hosh ne jab mujhe sambhaalaa hai

dam andhere me.n ghuT rahaa hai Khumaar
aur chaaro.n taraf ujaalaa hai
Posted 07 Jan 2007

cutefriend says
Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain
Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain
Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain.
Posted 11 Jan 2007

Fairl_Girl says
goooooooooood work
Posted 14 Jan 2007

Fairl_Girl says

Mohabbat Maqsad Hai Zindagi Ka
Mohabbat Muqaddar Hai Her Kisi Ka
Mohabbat Pakeezai Ka Naam Hai
Mohabbat Her Khushi Ka Pegaam Hai
Mohabbat Hai To Rehmat Hai
Mohabbat Hai To Chahat Hai
Mohabbat Pyar Ish-o-Lagan Hai
Mohabbat Main Her Shakhs Magin Hai
Mohabbat Main Zindagi Kho Jati Hai
Mohabbat Haar Hai Mohabbat Jeet Hai
Mohabbat Hi Dil Ka Sacha Meet Hai
Mohabbat Phoolo Ko Hui Kantoo Se
Mohabbat Palkoo Ko Hui Aankhoo Se
Mohabbat Chand Ko Hui Chandni Se
Mohabbat Rooh Ko Hui Ragni Se
Mohabbat Subha Ki Pehli Kiran Hai
Mohabbat Do Diloo Ka Millan Hai
Mohabbat Hi Meri Manzil Hai
Mohabbat Hi Mera Dil Hai...!!!
Posted 14 Jan 2007

cutefriend says
thxx
and nice work
Posted 15 Jan 2007

Fairl_Girl says
thx

Aasma bhi jhook gaya ye kis kami ke waste
Mar rahe thy bar bar zindaghi ke waste
Tha chopa rkha tha jab suraj ne chaira apna
Chaand tare jal gai raoshni ke waste
Her tarf thi mauosiya ro raha tha ye naseeb
sah rahe thy her sitam bebasi ke waste
zindaghi hi loot gayi tu koun pochta hai yaha
dhoondte hi rah gai her khoshi ke raaste
dost ayese bhi thy ham se lag ker woh gale
Maarte thy khnjer dil per dushmani ke waste
Aankh ka pani bhi ab dard se sookh gaya
nahi rote aaj ham kisi ki dosti ke waste
ham ne wafa ki thi bhut tu bewafa ham se kahe
Bhut milte hai aaj sanam aashiqi ke waste
ham andhero main bhi roye ager tu elzaam sab lagate thy
Aag laga di aaj gher main raoshni ke waste
Aajizi se manga tha jab tu kuch nahi hame mila
zid main aye tu aasma bhi jhook gaya her khoshi ke waste
Aasma bhi jhook gaya ye kis kami ke waste
Mar rahe thy bar bar zindaghi ke waste

Posted 22 Jan 2007

Fairl_Girl says

Aankh Eik Dard Pehchan Ai Hai
Aankh Eik Dard Pehchan Ai Hai
Jaan Main Meri Jaan Ai Hai
Tum Hotay Tu Ronaq Hoti
Tum Bin Shaab Veeran Ai Hai
Jungle Ki Masoom Hawa Thi
Basti Say Heeran Ai Hai
Umar Guzari Dohkay Khatay
Phir Bhi Kahan Pehchan Ai Hai
Shehar Aya Tu Dil Nay Pocha
Raah Koi Sunsaan Ai Hai
Shehar Aya Tu Dil Nay Pocha
Rah Koi Sunsaan Ai Hai
Farhat Shaam Hans Kar Bolo
Pal Do Pal Mehman Ai Hai
Posted 22 Jan 2007

Fairl_Girl says
Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
saahil pe samundar ke hazane nahi aaty
palkein bi chamak uthi hen sote hi hamari
aankho ko abi khawab chupane nahi aaty
dil ujri hoi ik saraye ki terha hai
ab loogh yahan raat jagane nahi aaty
yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hen
ab yaad samje derd porane nahi aate
urny do abi parindo ko shoh hawa men
phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty
is shehar ke badal teri zulfon ki terha hen
yeh aag lagate hen per bojane nahi aaty
ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gye hen
aaty hen magar dil ko dukhane nahi aaty
Posted 22 Jan 2007

~tasha~ says
good collection
Posted 22 Jan 2007

Fairl_Girl says
thx tasha
Posted 22 Jan 2007

cutefriend says
gud work
Posted 23 Jan 2007

Fairl_Girl says
thx cf
Posted 23 Jan 2007

Fairl_Girl says
Aj ki raat buahat bhaari hai
Aj ki raat buahat udas hoon mein
Aj bewaja pareshan sa hoon
Koi anjan sa andhera hai
Koi benaam si veerani hai
Kucch ghutan si hai aj mehfil mein
Jismein apne bhi gair lagte hain
Aj mausam bhi kucch ajeeb sa hai
Yoon lagta hai jaise sawan bhi mere angan mein
aag barsaye...
Kitna hassas hogaya hoon mein
Posted 23 Jan 2007

cutefriend says
welcome dear
Posted 23 Jan 2007

Fairl_Girl says
majoor hai qamzoor nahi tu
aaorat naam hai qurbani ka
bachpan ki wo nani kali
dafna dete thy kabhi
reet riwaaj ne aaj bhi
dafnaya hai fir wahi
phenaya hai samaaj ne usko kafan badnami ka
kahi wo sita banke jali
kahi wo maryam banke mili
wo Endra Ghandhi bhi bani
khitaab main usko goli hi mili
ye aaourat ka naseeb tha ya samaj ka khitaab hai
jhaiz ka qarz deker bhi phnaya qafan use hayewani ka
majaaboor hai qamzoor nahi tu aaourat naam hai qurbani ka
zulmo sitam ki aag ye
kab tak sahe ye kab tak jale
jis mard ko wo paida kare
uske qadmo ki use thoker hi mile
hukomat ki ye kaisi reet hai
mard se hi mile use jeet hai
jo mard uska saoda kare
samaj main usko ezat mile
kahi tu hoga kabhi tu hoga?
faisala uske haq aur pareshaani ka
majaabr hai qamzoor nahi jo
aaorat naam hai us qurbani ka
sab kuch sahe kuch na khe
deti hai paigam zindagani ka.
Posted 25 Jan 2007

cutefriend says


aurat ki dastan
Posted 26 Jan 2007

Fairl_Girl says
bechariyan
Posted 27 Jan 2007

cutefriend says
itni bhi baat nai sweety

apnye ap ko manwanye ki baat hoti hia bas
Posted 02 Feb 2007

cutefriend says
Terri yaad naay aaj phir sataia mujh ko
Too nay Bhool ker bhi naa bulia mujh ko

Talash ker hii leeta aks teera inn nazron saay
Dekhai kuch naa dia aina woh dekhia mujh ko

Kho gia iss safar main tujhay dhoondtay dhoondtay
Manzal naa thi jis kii uss rastay chalia mujh ko

Dalii aaditain jagnay kii sia ratoon main
Subh naa thi jis kii ussi raat sulia mujh ko

Kien thi batian hans hans keh sath meeray
Bardi bay dardi say akhir rulia mujh ko

Samander kay pass jho gia bojhanay pias apni
Zahir kaa aik ghoont bhii naa palia mujh ko

Kiss juram kii saza mili dostoo khabar nahin
Zindgi naay mara mot naay galay naa lagia mujh ko


and dear try 2 update this topic regularly yarrrr
Posted 02 Feb 2007

Fairl_Girl says
Posted 05 Feb 2007

Fairl_Girl says
Apnay Ehsaas Say Choo Ker Mujhay Sandal Kerdoo
Apnay Ehsaas Say Choo Ker Mujhay Sandal Kerdoo
Kay Main Sadiyoon Say Akayla Hoon Mujhay Mukammal Kerdoo
Na Mujhay Hosh Rahay ,Na Tumhay Hosh Rahay
Is Qadar Toot Kar Chahoo ,Mujhay Pagal Kerdoo
Tum Hathaylee Ko Meray Pyar Ki Mehendi Say Rangoo
Apni Aankhoon Main Meray Naam Ka Kajal Kerdoo
Main Dhoop Hi Dhoop Hoon Toot Kay Bersoo Mujh Pay
Main Jo Sehra Hoon Mujhay Pyar Ka Badal Kerdoo
Apnay Hoontoon Say Koi Mohar Lagao Mujh Pay
Ek Nazar Pyar Say Dekhoo Aur Mujhay Ghayal Kerdoo
Posted 05 Feb 2007

cutefriend says
gud workkkkk
Posted 05 Feb 2007

Virdan says
NICE WORK
Posted 06 Feb 2007

Fairl_Girl says
pechay
Posted 12 Feb 2007

Fairl_Girl says
AIK DOOR AISA THA'''''''''
Tu Akelay Milta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Dil Bhout Machalta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Bey Khudi Ka Woh Mausam Kitna Acha Lagta Tha !
Har Qadam Behakta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Kis Tarhan Buhladoon Teray Wisal Ki Ratin ?
Chand Hum Say Jalta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Tu Udass Lamhoon Main Mujh Ko Ourr Leti Thi
Main Tujhe Pehanta Tha Aik Durr Aisa Tha
Mujh Say Teri Duri Ka Ghum Saha Na Jata Tha
Sab Say Main Ulajta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Tum Tu Sab Baharoon Ko Saath Apnay Lay Gay
Apna Ghar Mahakta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Sab Andehri Ratoon Ko Main Saath Chor Detay Thay
Tu Nahi Badalta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Uss Kay Hijar Main Bey Kuli Si Rehti Thi
Dil Kahin Na Lagta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Posted 12 Feb 2007

Fairl_Girl says
Pyaar...
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta
chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta
chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta
tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta
Posted 12 Feb 2007

Reply to Topic