Fairl_Girl’s Collection + OWN

161975 views 2788 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 05 Sep 2004

great but phansa diya
Posted 02 Feb 2005

JANUBABY said:


buhat achi nazam thi but phans gaya tha khair jawab mila to hai but 1 misray ka maza nahi ayega puri ghazal hi likhta hon .....

Phiroon Main Tery Lye Dar-Ba-Dar, Naseeb Mera
Mery Khuda Nay Banaya Safar Naseeb Mera...

Mera Wajood Hay Pani Main Chand Ki Surat
Samandaron Nay Banaya Bhanwar, Naseeb Mera

Bas Aik Lamhay Ko Palkain Jhapak Gayn Meri
Woh Mujh Ko Mil To Gaya Tha Magar, Naseeb Mera

Yeh Dukh Lye Nahi Main Nay, Dye Gaye Mujhko
Yeh Faslay, Yeh Thakan, Yeh Dagar, Naseeb Mera

Main Dairay Ka Safar Bandh Longi Pairon Main
Hamesha Sath Rahayga Ager Naseeb Mera...
Posted 02 Feb 2005

geetanjali says
BEEEEEEUUUUUTTTTTTTTFUL...........
VERRRRRY NICE
PRETTY NICE
KEEP IT UP DEARS
Posted 02 Feb 2005

thanks paki,cute n anjali
Posted 03 Feb 2005

Fairl_Girl says
aLoN3_iN_WiNd said:

JANUBABY said:


buhat achi nazam thi but phans gaya tha khair jawab mila to hai but 1 misray ka maza nahi ayega puri ghazal hi likhta hon .....

Phiroon Main Tery Lye Dar-Ba-Dar, Naseeb Mera
Mery Khuda Nay Banaya Safar Naseeb Mera...

Mera Wajood Hay Pani Main Chand Ki Surat
Samandaron Nay Banaya Bhanwar, Naseeb Mera

Bas Aik Lamhay Ko Palkain Jhapak Gayn Meri
Woh Mujh Ko Mil To Gaya Tha Magar, Naseeb Mera

Yeh Dukh Lye Nahi Main Nay, Dye Gaye Mujhko
Yeh Faslay, Yeh Thakan, Yeh Dagar, Naseeb Mera

Main Dairay Ka Safar Bandh Longi Pairon Main
Hamesha Sath Rahayga Ager Naseeb Mera...
HUM SE TAKARRRRR OKZ BICEEE
Posted 05 Feb 2005

Fairl_Girl says
Posted 05 Feb 2005

Fairl_Girl says
JANUBABY said:

THIS IS MY LIFE
Posted 05 Feb 2005

Fairl_Girl says
har kio do hasi ka phool da kar chala jata hain
hazar/1000 ghum kiun da kar chala jata hain


na pochoo majhe se mera ghum kia hain
khod ghum da kar pouchta ho ghum kia hain


hamdardi dheka kar har kio humhe kio zakham deta hain
phley hasi deta hain phir asoo kiun deta hain


humhe appna bhi kahta hain
phir humhe dhoka bhi kiun deta hain


hum se kia galatiii howe hain
jo itni saza mil kiun rehe hain


jis jis per yaqeen karta hain
wohi kiun dhoka da reha hain


ajj ghazal bhi likhta ho main
log samjta hain chorta ho ghazal main


darad itna deta hain yah log
phir yah log kiun pouchta hain darad kia hain


kio kase ko appna samjhta nehi
ager samjhta ghum ya darad na deta kase ko


sare matlab ka log hain
main bhi matlab ka ho
matlab nikal jane ka bad hum main se kio kase ka saath nehi deta


mout magoo milti nehi hain
khushi mago milti nehi hain
zindagi magoo milti nehi hain
waqt ane per kio cheaz nehi milti hain

Posted 05 Feb 2005

gr8....show wala
i like it....so keep posting.

Na PooChoo Mujh seY MeRa GhuM Kia Hai,
KhuD GhuM deY Kar PooChteY ho GhuM Kia Hai.
Posted 05 Feb 2005

ApNi AaKhooN Ke SamanDeR MaiN uTaR JaaneY deY,
TeRa MujRiM HooN, Mujhe Doub Ke MaR JaaneY deY,
ZaKhaM KiTneY TeRi ChaahaT seY MiLeY HaiN Mujhko,
SoochTa HooN KahooN Tujh seY, MaGar JaaneY deY.
Posted 05 Feb 2005

JANUBABY said:

JANUBABY said:

THIS IS MY LIFE

is poem ka poet kon hai please? this one just touched my heart aur phir phansa diya... hum takrar thori ker rahay hain ap say bas khud hi ho rahi hai
Posted 05 Feb 2005

wafakadard says
cool
Posted 05 Feb 2005

wafakadard says
Zindagi hai to milati hai mout
Mout hai sabki ankhiri manjil
To jo manjil tak lati hai
Use mai bewafa kaise kah du!!!!
Posted 05 Feb 2005

i think kay her lovestory main larki dunyadar aur larka kisi aur dunya ka hi basi hota hai
Posted 05 Feb 2005

JANUBABY said:

JANUBABY said:

THIS IS MY LIFE



Khawab Reh Jayngay, Shayed Ratjagah Rah Jayega
Woh Ager Bichra, To Mery Pass Kya Reh Jayega

Khatum Ho Jayegi, Uskay Baad Meri Zindagi
Sirf Mar Janay Ka Marhala Reh Jayega

Chand Chup Jayega Aakhir Badlon Kay Darmyan
Raat Dhaal Jayegi, Koi Jagta Reh Jayega

Aik Khushbu Sihan Main Urti Phiray Gi 4 Su
Aik Ansooo Gaal Per Behta Hua Reh Jayega

Tu Guzar Jayega Mamoolan Gali say Ajj Bhi
Teri Khushbu Se Rasta Mehekta Reh Jayega

Asmano Se Palat Ayegi Meri Her Dua
Aur Younhi Phaila Hua Dast-e-Dua Reh Jayega

Rah Main Bikhray Huay Pattay Utha Ker Daikhna
In Kitaboon Main Hamara Tazkara Reh Jayega

............
Posted 05 Feb 2005

Ishaar(Poetry) Mery Youn To Zamanay Kay Lye Hain
Kuch Shair Faqat Unko Sunanay Kay Lye Hain

Ab Yeh Bhi Nahi Thik Kay Her Dard Mita Dain
Kuch Dard Kalaijay(DIL) Say Laganay Kay Lye Hain

Ankhon Main Jo Bher Logay To Kantay Se Chubhaingay
Yeh Khawab To Palkon Pe Sajanay Kay Lye Hain

Daikhon Tery Hathon Ko To Lagta Hai Tery Hath
Mandir Main Faqat Deep Jalanay Kay Lye Hain

Yeh ILM ka Soda yeh Risaalay Yeh Kitabain
Ek Shakhs Ki Yadon Ko Bhulanay Kay Lye Hain.....

........
Posted 05 Feb 2005

Fairl_Girl says
gooooooooooooooood work both of u
phastay to ap bhi nahi kahin na kahin se nikal hi ata hai apko shair bhi
Posted 05 Feb 2005

Fairl_Girl says
Posted 05 Feb 2005

Fairl_Girl says
Posted 05 Feb 2005

wafakadard says
Na Diya Jawab Usne Us Ki Majboori Thi
Yeh Tum Khud Socho Kya Woh Bewafa Hosakta Hai?????
Posted 05 Feb 2005

JANUBABY said:



---------

Apnay bister per buhat dair say main neem-daraz

sochti thi ke woh is waqt kahan per ho ga

main yahan hon mager us kuch-e-rang-0-bu main

roz ki tarah say woh aaj bhi aya hoga

aur jab us nay wahan mujh ko na paya hoga????

APKO ILM HAI?WOH AAJ NAHI AIN HAIN?

meri her dost say us nay yehi pocha ho ga

KIYON NAHI AYI WOH? KYA BAAT HUI HAI AJ?

khud say is baat pe soo baar woh uljha hoga

Kal woh aye gi to main us say nahi bolonga

App hi aap kai baar woh rotha hoga
"Woh nahi hai bulandi ka safar kitna kathan hi"

Seeriyan charhtay huay us nay yeh socha ho ga

Rahdari main haray laan main phoolon kay qareeb

Us nay her simt mujhey aan kay dhondha hoga

Naam bhoolay say jo mera kahin aya hoga

Ghair mehsoos tareeqay say woh chonka hoga

Aik jumlay ko kai baar sunaya hoga

Baat kertay huay soo baar woh bhula hoga

YEH JO NAYI LARKI AYI HAI KAHIN WOH TO NAHI

Us nay her chahra yehi soch kay daikha ho ga

Jaan-e-mehfil hai. magar aaj, faqat mery lye

Haaayee kis darja wohi bazam main tanha hoga

Kabhi sannato say wahshat jo hui hogi usay

Us nay bay-saakhta phir mujh ko pukara hoga

chaltay chaltay koi manuus si aahat pa ke

Doston ko bhi kisi uzar say roka hoga

Yaad ker kay mujhey num ho gayi hon gi palkain

AANKH MAIN PAR GAYA KUCH keh ke yeh taala hoga

Aur ghabra kay kitabo main jo li hogo panah

Her satr main mera chahra ubhar aya hoga

Jab mili hogi usay meri alalat ki khabar

Us nay ahista say deewar ko thama hoga

Soch kay yeh. kay bahal jaye preshani-e-dil

Younhi bay wajah, kisi shakhs ko roka ho ga
              
              --------

Ittifaqan

Mujhey us shaam meri dost mili

Main nay pocha kay sunooo aye thay woh kaisay thay???

MUJH KO POCHA???MUJHEY DHONDA THA CHARON JANIB???

Us nay ek lamha ko daikha mujhey aur phir hans di

Is hansi main to woh talkhi thi kay us say agay

Kya kaha us nay mujhey yaad nahi hai lakin

ITNA MALOOM HAI KHABOON KA BHARAM TOOT GAYA
Posted 05 Feb 2005

hey JB u didnt tell me whos the poet of that poem please do tell me next time u come to JB ill wait... thanks
Posted 05 Feb 2005

§alman AzaÐ said:

ApNi AaKhooN Ke SamanDeR MaiN uTaR JaaneY deY,
TeRa MujRiM HooN, Mujhe Doub Ke MaR JaaneY deY,
ZaKhaM KiTneY TeRi ChaahaT seY MiLeY HaiN Mujhko,
SoochTa HooN KahooN Tujh seY, MaGar JaaneY deY.


Posted 05 Feb 2005

Salman ab ap say b TAKRAAR kerni peraygi? chalain lemme search reply for this one hope ill find one...
Posted 05 Feb 2005

wafakadard said:

Na Diya Jawab Usne Us Ki Majboori Thi
Yeh Tum Khud Socho Kya Woh Bewafa Hosakta Hai?????




Jab Bhi Dareeecha Yaad Ka Phir Kholti Hon Main
Ankhon Kay Moti Khaak Main Tab Rolti Hon Main

Kya Waada Ker Gaya Woh, Magar Main Nay Kya Suna
Baton Main Jo Tazad Tha, Ab Tolti Hon Main
Posted 05 Feb 2005

§alman AzaÐ said:

ApNi AaKhooN Ke SamanDeR MaiN uTaR JaaneY deY,
TeRa MujRiM HooN, Mujhe Doub Ke MaR JaaneY deY,
ZaKhaM KiTneY TeRi ChaahaT seY MiLeY HaiN Mujhko,
SoochTa HooN KahooN Tujh seY, MaGar JaaneY deY.



Tofan Main Ghiray Huay Sadyan Guzar Gayn
Kiyon Naoo Dil Ki Daikh Ke Phir Dolti Hon Main

Zulmat Kay Khar Zaar Hain, Khawabon Ki Pyas Hai
Kanoo Main Apnay Loriyan Khud Gholti Hon Main

Mousam Hai Zard Zard Aur Chai Khizaan Bhi Hai
Phir Bhi Gham-e-Bahar Main Sach Bolti Hon Main
Posted 05 Feb 2005

Fairl_Girl says
Posted 06 Feb 2005

Fairl_Girl says
Posted 06 Feb 2005

wafakadard says
JANUBABY said:

!!! WOOOOOOW !!! bahot khob aj ki winner JanuBabe very nice
Posted 06 Feb 2005

Fairl_Girl says
thx
Posted 07 Feb 2005

Reply to Topic