Fairl_Girl’s Collection + OWN

166060 views 2788 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 125
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 05 Sep 2004

wafakadard says
Posted 13 Mar 2005

wafakadard says
Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam ,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai
Posted 13 Mar 2005

paki_fan says
nicee
Posted 13 Mar 2005

wafakadard says
Posted 13 Mar 2005

Fairl_Girl says

''AANSOO''
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Girte hain Dil Se
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
Posted 14 Mar 2005

Fairl_Girl says

KUCH KUCH PAGAL HOTE HAIN
============================


Pyaar ke deep jalane wale kuch kuch pagal hote hain
Apni jaan se jaane wale kuch kuch pagal hote hain



Jaan se pyaare logon se kuch kuch parda laazim hai
Saari baat batane wale kuch kuch pagal hote hain

Pyaar jin ko hojaye un ko chain kahan pe milta hai
Phir ashk bahane wale kuch kuch pagal hote hain



kisi ke ishq main kho ker hum ko yeh ehsaas hua
Dil ki baat main aane wale kuch kuch pagal hote hain

jaan se pyara ho kar bhee kuch kah nahi saktey hain
dil men rakhney waley log kuch kuch pagal hotey hain
Posted 14 Mar 2005

Fairl_Girl says
where is my peotry partner alone
alone without u i m feeling alone no one here to answers mt peotry
come back soooooooooooon
Posted 14 Mar 2005

hum hai na

v nice keep it up







Posted 14 Mar 2005

wafakadard says
nice JB
Posted 14 Mar 2005

wafakadard says
chu ke guzri thi zara jism ko barish ki hawa
anch dene lage,malboos jawan raaton ke liye
Posted 14 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 15 Mar 2005

Fairl_Girl says
BeWaFa


Kabhi hai talkh sa lehja kabhi Saba ki tarhan

Mizaaj apna badalta hai woh hawa ki tarhan



Woh apne aap sey begaana kar gaya humko

Ek ajnabi jo mila khaas aashna ki tarhan



Qadam Qadam pey bhatakna qabool hai mujh ko

Agar tu saath rahey merey rehnuma ki tarhan



Hum us ki yaad ko Dil sey lagakey jee leyngey

Bhula sakey to bhuladey woh bewafa ki tarhan
Posted 15 Mar 2005

paki_fan says
   
Posted 15 Mar 2005

paki_fan says

"Loog jab sang uthanay lagtay hain
yaad mujh ko woo anay lagtay hain

ik shikasta see arzoo lay kay
zkham dil koo jalanay lagtay hain

taiz hota hay dhoop kaa sooraj
jab musafir thikanay lagtay hain

aaj phir karr loo tum bhana koi
mujh koo bhanay aachay lagtay hain

ik tamasha hay baikhudi apni
hum sabhoon koo deewanay lagtay hain

poochta hoon joo koi baat unn say
woo nazar koo jhukanay lagay hain

Posted 15 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 15 Mar 2005

Fairl_Girl says
BEwafa
Humne manga tha saath unka, woh judai ka gam de gayi, hum yadon ke sahare ji lete, lekin woh toh bhul jane ki kasam de gayi
Hum Wafa Karke Bhi Akele He;
Woh Bewafai Karke Bahot Khush He;
Dukh Is Baat Ka Nahi Ki Unhone Bewafai Ki;
Dukh To Is Baat Kahe Ki Humne Wafa Kyu Ki.......
aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
log muthi bhar namak liye ghooma karte hain
apne zakham kisi ko dikhaaya na karo
Posted 15 Mar 2005

wowww kya baat hai... cool everyone ...
okkk im back now
Posted 16 Mar 2005

A friend of mine just sent this .. iliked it tell me wat do u think about this?


Ajj Kuch Aisa Hogaya
Ik Arsay Se Mery Pass Pari Hui Woh Choori Toot Gayi...
Mohabbat Rooth Gayi
Posted 16 Mar 2005

Muhabbat say bhi nafrat ho gai hai
Humain Yeh Kaisi wehshat ho Gai hai...
Fana kar daloon khud ko aur sab ko
Meri Yeh Kaisi fitart ho gai hai...
Jahan matlab wahan mohabbat milay Gey
TiJarat siii mohabbat ho Gai hai...
MuJhe wehshat thi Jis deewangee say
Wohi Phir meri Qismat ho gai hai...
Posted 16 Mar 2005

JANUBABY said:


''AANSOO''
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Girte hain Dil Se
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain



Posted 16 Mar 2005

JANUBABY said:

BeWaFa


Kabhi hai talkh sa lehja kabhi Saba ki tarhan

Mizaaj apna badalta hai woh hawa ki tarhan



Woh apne aap sey begaana kar gaya humko

Ek ajnabi jo mila khaas aashna ki tarhan



Qadam Qadam pey bhatakna qabool hai mujh ko

Agar tu saath rahey merey rehnuma ki tarhan



Hum us ki yaad ko Dil sey lagakey jee leyngey

Bhula sakey to bhuladey woh bewafa ki tarhan


Posted 16 Mar 2005

Posted 16 Mar 2005

DiL Ki RaNi 2 said:











Posted 16 Mar 2005

DiL Ki RaNi 2 said:












Posted 16 Mar 2005

paki_fan says
Posted 16 Mar 2005

fairl_gal2 says
Posted 16 Mar 2005











Posted 16 Mar 2005

Fairl_Girl says
aLoN3_iN_WiNd said:

wowww kya baat hai... cool everyone ...
okkk im back now

WELCOME BACK
Posted 17 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 17 Mar 2005

Fairl_Girl says
Meray Naseeb Main


Meray naseeb main likha nahi gia tujh ko

Magar main chahti hoon had say bhi ziada tujh ko

Tera hi aks numayan hai meri ankhoon main

Kareeb a k dikhaoon main aaina tujh ko

Mujhay tu teri khushi zindagi say barh kar hai

Khafa hua hai mujh hi say ye kia hua tujh ko

Mujhay tu jagna har shab teray khayaloon main

Jo so bhi jaon tu khwaboon main dekhna tujh ko

Tu chand ban k meray ghar main chandni karta

Magar ruttoon ki ghata nay chupa liya tujh ko

Main janti hoon k tu baywafa nahi hai magar

Kabhi mili hi nahi mohlat-e-wafa tujh ko

Kabhi parhay ga agar tu,too mil hi jaiy ga

Meri ghazal main kahin mera madda tujh ko
Posted 17 Mar 2005

Reply to Topic