London_Girl said:love u sister miss u toooooo muchFG sista
lovely poem dear
Fairl_Girl said:
Dariichay Sy Jhankti Voo Larki Ajeeb Dukh Sy Bhari Hoi Hay
Kay Uss Kay Aangan Main Phool Par Ayk Neeli Titli Mari Hoi Hay
Kabhi Azanoo Main Khoyi Khoyi, Kabhi Namazoo Main Royi Royi
Wo Aisy Dunya Ko Dekhti Hay K Jaisy Iss Se Dari Hui Hay
Darood Sy Mahki Mahki Saansein, Wazifa Parhti Uss Ki Aankhain
Kay Ayk Shamma-E-Umeed Un Main Kayi Baras Sy Dhari Hoi Hay
Baray Zamanoon K Bad Barsi Hay Meri Aankhein Kisi Ki Khatir
Baray Zamanoon K Bad Dil Ki Zameen Phir Sy Hari Hoi Hay
kOoLeSt1 said:ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravaaN rahne diyaa
jaankar hamne unheiN na_meharbaaN rahne diyaa
aarzoo-e-qarb bhii bakhshii diloN ne ishq ko
faaslaa bhii mere unke darmiyaaN rahne diyaa
kitnii diivaaroN ke saaye haath phailaate rahe
ishq ne lekin hameiN be_khaanamaaN rahne diyaa
apne-apne hausle, apnii talab kii baat hai
chun liyaa hamne tumheiN saara jahaaN rahne diyaa
kaun is tarz-e-jafaa-e-aasmaaN kii daad de
baagh saara phooNk Daala aashiyaaN rahne diyaa
ye bhii kyaa jiine meN jiina hai baghair unke ''Adiib''
sham'a gul kar dii gaii, baaqii dhuaaN rahne diyaa
kOoLeSt1 said:''Aalii'' terii yaad rahii ik arsey tak diivaanoN meN
aise vaHshii kam dekhe jo rah na sakeN viiraanoN meN
apnaa ghar kyaa ghar thaa lekin haaN ik ghar ka naam sa thaa
terii tavajjoh se ab vo bhii, shaamil hai viiraanoN meN
ek tamanna, ek sahaara, ek tasavvur, ek junooN
phir bhii vo mere dil kii baateiN rakhte haiN afsaanoN meN
tajziyaa-e-ehsaas pe har gham hauslaa-e-majrooh mila
lekin ye kyaa aag hai jiska khoj nahiiN armaanoN meN
kaifiyat kii baat alag hai chaaho jis par dil rakkho
ham ko bhii to pyaar se dekho ham bhii haiN insaaoN meN
itnii qadr hu_ii par ab tak unse daad kii Khwaahish hai
itnii umr gaNvaaii ''Aalii'' phir bhii rahe naadaanoN meN
Fairl_Girl said:MAHSUS KAR MUJHE TU, KABHI PAAS AA KE DEKH
MERE JAHAN-E-DIL MEIN APNA GHAR BASA KE DEKH
KOI AISEY AJNABI BHI NAHIN IS SHAHR KE LOG
KUCHH KEH TO RANJ-O-GHAM KI, SAB KO SUNA KE DEKH
HAMSHAKL HO GAYA HAI MERE GHAM KA, TERA GHAM
TU MERE DIL KO APNA AAYINA BANA KE DEKH
YEH FARQ DAIR-O-HARM KA NAZRON KA BHARAM HAI
TU DEENGAH SE APNI, BAHAR TO AA KE DEKH
JAB RANJISHON MEIN KAT GAYEE, AB NA FAREB KAR
WAQT AAKHIREE HAI, AB NA MUSKURA KE DEKH
KHAMOSH SUN RAHEY HAIN HUM, SARGHOSHI-E-BAHAR
AATEY HAIN APNE GAAON SE JHONKEY HAWA KE DEKH
MAIN MUNTZIR HUN ROZ-O-SHAB, AIY DARD-E-DO_JAHAN!
BE-DARD, JAB BHI WAQT MILEY, AAZMA KE DEKH
Fairl_Girl said:WELCOME BACK
THX U SO MUCH KOOLEST
4 SHARING N EVERYTHING
Fairl_Girl said:Jo mila us ne mere dil ko khelona jana
Kheel k toor deya
Toor k choor deya
Hay yeh mera afsana
Aankh main sare zamane ki khatakta hi raha
Dard_e_ awara ki mannde bhatakta hi raha
Urte patoon ki tara
Main to jis simt chala
Sath chala virana