Fairl_Girl’s Collection + OWN

163667 views 2788 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 05 Sep 2004

kOoLeSt1 says
sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah
thoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah

yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mire haath meiN haath de
tuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah

haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baandh kar le chalaa
mera maazii mire saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah

sang-e-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tariiqaa na thaa
raftaa raftaa sabhii ne saroN par ko’ii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah

KhvahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayii
jism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah
Posted 27 Nov 2008

kOoLeSt1 says
subh taa shaam sochtaa huuN maiN
sau tere naam sochtaa huuN maiN

ye jo ek taazah aag bhaRkii hai
is kaa anjaam sochtaa huuN maiN

saamne hai qalam bhii kaaGhaz bhii
aur paiGhaam sochtaa huuN maiN

tujh se is dil kaa jo ta’alluq hai
us kaa kuch naam sochtaa huuN maiN

aik shaam-e-firaaq Dhal bhii gayii
phir bhii har shaam sochtaa huuN maiN

kyaa sabab hai Gham-e-zamaana kaa!
laa zaraa jaam sochtaa huuN maiN

ab ko’ii fikr hii nahiiN “Baqi”
bas teraa naam sochtaa huuN maiN
Posted 27 Nov 2008

kOoLeSt1 says
karta use beqarar kuch der
hota agar ikhtiyar kuch der

kya royein fareb-e-aasmaan ko
apna nahin aitbaar kuch der

aankhoN mein kati pahaar si raat
so ja dil-e-beqaraar kuch der

ai shehar-e-tarab ko jaane waloN
karna mira intizaar kuch der

bekaifi-e-roz-o-shab musalsal
sarmasti-e-intizaar kuch der

takleef-e-gham-e-firaaq dayem
taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der

ye guncha-o-gul hain sab musafir
hai kaafila-e-bahaar kuch der

dunyaa to sada rahegi Nasir
ham log hain yaadgaar kuch der
Posted 27 Nov 2008

Fairl_Girl says
kOoLeSt1 said:

subh taa shaam sochtaa huuN maiN
sau tere naam sochtaa huuN maiN

ye jo ek taazah aag bhaRkii hai
is kaa anjaam sochtaa huuN maiN

saamne hai qalam bhii kaaGhaz bhii
aur paiGhaam sochtaa huuN maiN

tujh se is dil kaa jo ta’alluq hai
us kaa kuch naam sochtaa huuN maiN

aik shaam-e-firaaq Dhal bhii gayii
phir bhii har shaam sochtaa huuN maiN

kyaa sabab hai Gham-e-zamaana kaa!
laa zaraa jaam sochtaa huuN maiN

ab ko’ii fikr hii nahiiN “Baqi”
bas teraa naam sochtaa huuN maiN

Posted 28 Nov 2008

Fairl_Girl says
Miss mine said:



nice sis

thx sis
Posted 28 Nov 2008

Fairl_Girl says
kOoLeSt1 said:

Fairl_Girl said:

Jo mila us ne mere dil ko khelona jana
Kheel k toor deya
Toor k choor deya
Hay yeh mera afsana

Aankh main sare zamane ki khatakta hi raha
Dard_e_ awara ki mannde bhatakta hi raha
Urte patoon ki tara
Main to jis simt chala
Sath chala virana


thxx
Posted 28 Nov 2008

Fairl_Girl says
kOoLeSt1 said:

karta use beqarar kuch der
hota agar ikhtiyar kuch der

kya royein fareb-e-aasmaan ko
apna nahin aitbaar kuch der

aankhoN mein kati pahaar si raat
so ja dil-e-beqaraar kuch der

ai shehar-e-tarab ko jaane waloN
karna mira intizaar kuch der

bekaifi-e-roz-o-shab musalsal
sarmasti-e-intizaar kuch der

takleef-e-gham-e-firaaq dayem
taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der

ye guncha-o-gul hain sab musafir
hai kaafila-e-bahaar kuch der

dunyaa to sada rahegi Nasir
ham log hain yaadgaar kuch der

good
Posted 28 Nov 2008

Fairl_Girl says
sun_shine said:

Fairl_Girl said:

MAHSUS KAR MUJHE TU, KABHI PAAS AA KE DEKH
MERE JAHAN-E-DIL MEIN APNA GHAR BASA KE DEKH
KOI AISEY AJNABI BHI NAHIN IS SHAHR KE LOG
KUCHH KEH TO RANJ-O-GHAM KI, SAB KO SUNA KE DEKH
HAMSHAKL HO GAYA HAI MERE GHAM KA, TERA GHAM
TU MERE DIL KO APNA AAYINA BANA KE DEKH
YEH FARQ DAIR-O-HARM KA NAZRON KA BHARAM HAI
TU DEENGAH SE APNI, BAHAR TO AA KE DEKH
JAB RANJISHON MEIN KAT GAYEE, AB NA FAREB KAR
WAQT AAKHIREE HAI, AB NA MUSKURA KE DEKH
KHAMOSH SUN RAHEY HAIN HUM, SARGHOSHI-E-BAHAR
AATEY HAIN APNE GAAON SE JHONKEY HAWA KE DEKH
MAIN MUNTZIR HUN ROZ-O-SHAB, AIY DARD-E-DO_JAHAN!
BE-DARD, JAB BHI WAQT MILEY, AAZMA KE DEKH




Assalam O Alaikum

*Buhat khoob Dear sis...!
   
thx u dear sweet sis
Posted 28 Nov 2008

sun_shine says
*Most welcome jee Always...!
Posted 29 Nov 2008

Fairl_Girl says
Kiya likhoon?
Har khushi ka likha,
har ansoo bazar kiya
sab zakhmon ko beydar kiya
arzoo ki, nakaam huay
kabhi shma yunhi guzri
kabhi un ka dedar kiya

kabhi rotay key anso ponchay
tu kabhi
hanstay hanstay ro diye…
is dunya mein jetay ji
hum ney kiya kiya na kiya?

har sawal ka jawab chaha
har gham ka hisab
apnay Khuda sey mang lia..

Likhtay likhtay ik umar guzri
Sab kuch hi likh dala…
ab likhon bhi tu kia likhon?
Posted 01 Dec 2008

Fairl_Girl says
Jo Dard Ke Sehra Main
Jo dard ke sehra main akela bhi bahot hai

Us ke liye deewar ka saya bhi bahot hai

Dekha nahi tanhai main tum ne kabhi us ko

Bichray huay logon ko woh roya bhi bahot hai

Kuch tujhko muhabbat pe yaqeen na wafa pe

Kuch dukh meri taqdeer main likha bhi bahot hai

Beenayi andheroon se bhala kesay bachaata

Ik shakhs tere hijr main jaga bhi bahot hai
Posted 01 Dec 2008

Fairl_Girl says


~*~Ek bar kr k aitabar likh do,Kitna hai mujh se pyar likh do~*
~Kat'ti nahi ye zindagi ab teray bin,Kitna or karun intizar
likh do,Taras rahay hein bari muddat se,
Iss bar apni mohabbat ka izhar likh do,
Deewanay ho jayen jisay parh k hum,
Kuch aisa tum meray yaar likh do,
Ziyada nahi likh saktay to matt likho tum,
Mohabbat bharay lafz do chaar likh doEk bar likho
~Mohabat hy mujhy tumse,
Phir yehi jumla bar bar likh do~
Posted 01 Dec 2008

Fairl_Girl says
saja k apni ankhein hazaar chehron par....
kiya ha mein nay sada atbaar chehron par
tujay b dar ha kise ka tou door say parh lay
likhi ha dilon ki pokaar chehron par............
lagi ha ye aag kesi wafa k jungal mein.......
jala kar rakh deay chanaar chahron par......
wafa ki kohj mein niklo tou payon jalty hein
abi tou sirf jama ha gubaar chehron par..........
mein teri bazam mein kis kis say dushmani leta
likha tha tera naam bay shumaar chehron par..
meri nazar tou ha pher b meri nazar logoo......
ab ayenoun ko nahe atbaar chehron par.........
Posted 30 Dec 2008

Rapunzel says
Fairl_Girl said:

Kiya likhoon?
Har khushi ka likha,
har ansoo bazar kiya
sab zakhmon ko beydar kiya
arzoo ki, nakaam huay
kabhi shma yunhi guzri
kabhi un ka dedar kiya

kabhi rotay key anso ponchay
tu kabhi
hanstay hanstay ro diye…
is dunya mein jetay ji
hum ney kiya kiya na kiya?

har sawal ka jawab chaha
har gham ka hisab
apnay Khuda sey mang lia..

Likhtay likhtay ik umar guzri
Sab kuch hi likh dala…
ab likhon bhi tu kia likhon?



Posted 01 Jan 2009

Rapunzel says
Nice collection FG
Posted 01 Jan 2009

olldman says
Bohut khoobsurat hai, FG.
Posted 02 Jan 2009

Miss mine says
Fairl_Girl said:

Jo Dard Ke Sehra Main
Jo dard ke sehra main akela bhi bahot hai

Us ke liye deewar ka saya bhi bahot hai

Dekha nahi tanhai main tum ne kabhi us ko

Bichray huay logon ko woh roya bhi bahot hai

Kuch tujhko muhabbat pe yaqeen na wafa pe

Kuch dukh meri taqdeer main likha bhi bahot hai

Beenayi andheroon se bhala kesay bachaata

Ik shakhs tere hijr main jaga bhi bahot hai



nice collection sis keep posting sweets
Posted 03 Jan 2009

Miss mine says
Fairl_Girl said:



~*~Ek bar kr k aitabar likh do,Kitna hai mujh se pyar likh do~*
~Kat'ti nahi ye zindagi ab teray bin,Kitna or karun intizar
likh do,Taras rahay hein bari muddat se,
Iss bar apni mohabbat ka izhar likh do,
Deewanay ho jayen jisay parh k hum,
Kuch aisa tum meray yaar likh do,
Ziyada nahi likh saktay to matt likho tum,
Mohabbat bharay lafz do chaar likh doEk bar likho
~Mohabat hy mujhy tumse,
Phir yehi jumla bar bar likh do~



   
Posted 03 Jan 2009

kOoLeSt1 says
Fairl_Girl said:



~*~Ek bar kr k aitabar likh do,Kitna hai mujh se pyar likh do~*
~Kat'ti nahi ye zindagi ab teray bin,Kitna or karun intizar
likh do,Taras rahay hein bari muddat se,
Iss bar apni mohabbat ka izhar likh do,
Deewanay ho jayen jisay parh k hum,
Kuch aisa tum meray yaar likh do,
Ziyada nahi likh saktay to matt likho tum,
Mohabbat bharay lafz do chaar likh doEk bar likho
~Mohabat hy mujhy tumse,
Phir yehi jumla bar bar likh do~


Posted 19 Jan 2009

kOoLeSt1 says
jab wo shakhs wasi mujh se khafa hojaye
aik sunami mere seene mein bapa ho jaye
dil mein phir kuch nahen ho ga, khala'on ke siwa
tu kisi roz agar mujh se juda ho jaye
wo bohat rakhta hai chahat ki namazon ka hisab
wo to aik sajda na bakhshe jo qaza ho jaye
taphkiyan de ke sulati hai teri yaad hamen
neend jis raat bhi ankhon se khafa ho jaye
ye taqaza hai mohabbat ki ibadat ka wasi
us ko choo lene se aik rukan ada ho jaye
Posted 19 Jan 2009

kOoLeSt1 says
ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujhko,
zakhm khulty hein aziyat nahin huti mujhko

ab koi aay 'chala jaay' main khush rehta hun
ab kisi shakhs ki adat nahin hoti mujhko

aisa badla hun tere shehar ka paani pi kar
jhoot bolon to ndaamat nahin hoti mujhko

hai amanat main khyanat so kisi ki khatir
koi marta hai to hairat nahin hoti mujhko

itna masroof hon jeeny ki hwass main ai dost
saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujhko
Posted 19 Jan 2009

kOoLeSt1 says
mayassar ho jo lamhaa dekhane ko
kitaabon mein hai kyaa kyaa dekhane ko

hazaaron qadd-e-aadam aa_iinen hain
magar tarasoge cheharaa dekhane ko

abhii hain kuchh puraanii yaadagaaren
tum aanaa shahar meraa dekhane ko

havaa se hii sahii khulataa thaa aksar
mujhe bhii ik dariichaa dekhane ko

abhii shaaKhon pe hain kuchh phuul "Azhar"
mujhe kaanton mein uljhaa dekhane ko
Posted 19 Jan 2009

Fairl_Girl says
WAH WAH
Posted 02 Feb 2009

Fairl_Girl says
~*~sardi ki pehli baarish~*~

mosam ki
pehli baarish thee
tan
pani mein
man
yaadon mein

kab kitna
bheega
yaad nahin
yaad hei to
bas etna hei k
iss se pichli
baarish mein
ham dono
sang sang bheege they
Posted 02 Feb 2009

Fairl_Girl says

maine...
"Fursat ke kuch lamhe nikal kar,
the kuch sapne sajaye maine,
Bedardo ki iss duniya se chun kar,
the kuch rishte apnaye maine,
Magar waqt ko raas na aayi wafa meri aur,
Ho gaye Paraye woh mujhse,
thhe kabhi jo apne banaye maine"
Posted 02 Feb 2009

Fairl_Girl says
chand qatre aanso bhi baha na saka
iis qadar hua door k paas aa na sakaa

sunta raha main logoon ki unkahi batain
apne dil ka haal main suna na saka

baharoon main ujra dil ka ashyaana
k phir kabhi main ghar basa na saka

jiski hansi sun k armaan jagte thay
aaj ye haal hai k muskura na saka

is qadar kardiya bura haal zamane ne
jo ek bar palken jhuki tu utha na saka
Posted 02 Feb 2009

Fairl_Girl says
Miss mine said:

Fairl_Girl said:



~*~Ek bar kr k aitabar likh do,Kitna hai mujh se pyar likh do~*
~Kat'ti nahi ye zindagi ab teray bin,Kitna or karun intizar
likh do,Taras rahay hein bari muddat se,
Iss bar apni mohabbat ka izhar likh do,
Deewanay ho jayen jisay parh k hum,
Kuch aisa tum meray yaar likh do,
Ziyada nahi likh saktay to matt likho tum,
Mohabbat bharay lafz do chaar likh doEk bar likho
~Mohabat hy mujhy tumse,
Phir yehi jumla bar bar likh do~



   
THXXXXXXXXX
Posted 02 Feb 2009

Fairl_Girl says
kOoLeSt1 said:

Fairl_Girl said:



~*~Ek bar kr k aitabar likh do,Kitna hai mujh se pyar likh do~*
~Kat'ti nahi ye zindagi ab teray bin,Kitna or karun intizar
likh do,Taras rahay hein bari muddat se,
Iss bar apni mohabbat ka izhar likh do,
Deewanay ho jayen jisay parh k hum,
Kuch aisa tum meray yaar likh do,
Ziyada nahi likh saktay to matt likho tum,
Mohabbat bharay lafz do chaar likh doEk bar likho
~Mohabat hy mujhy tumse,
Phir yehi jumla bar bar likh do~


THXXXXXX
Posted 02 Feb 2009

Fairl_Girl says
Miss mine said:

Fairl_Girl said:

Jo Dard Ke Sehra Main
Jo dard ke sehra main akela bhi bahot hai

Us ke liye deewar ka saya bhi bahot hai

Dekha nahi tanhai main tum ne kabhi us ko

Bichray huay logon ko woh roya bhi bahot hai

Kuch tujhko muhabbat pe yaqeen na wafa pe

Kuch dukh meri taqdeer main likha bhi bahot hai

Beenayi andheroon se bhala kesay bachaata

Ik shakhs tere hijr main jaga bhi bahot hai



nice collection sis keep posting sweets
Posted 02 Feb 2009

Fairl_Girl says
olldman said:

Bohut khoobsurat hai, FG.

THX DEAR
Posted 02 Feb 2009

Reply to Topic