share ur poetry...

39460 views 962 replies
Reply to Topic
paki_fan

Age: 124
Total Posts: 9535
Points: 0

Location:
United States, United States
Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein
Un dekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein
Aankhon ki khidki per ek sayaa sa lehraata hai
Dil ke derwaze per koi dastak de ke jata hai
Gherri gherri kaali aankhen, mujse mujko puchhatti hai
Hathoan ki rekhaon mein ek chehra sa ban jatta hai
Uski sanse resham jaisi gallo ko chu jaati hai
Uske hathoan ki khushboo hai ab tak mere ballo mein
Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein
Un dekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein....
Posted 01 Dec 2004

Fairl_Girl says
Posted 26 May 2005

wafakadard says
nice
Posted 26 May 2005

wafakadard says
Kaghaz ke Phool


eh phool mughe koi wirasat se mile hain
tum ne mera kaanton bhara bistar nahi dekha

hamari zindage mein phool ban ker koi aaya tha
uss ki yaad mein abb tak tehreeren mahekti hain

kaghaz ke phool sar pe saja ker chali hayat
nikle jo gher se raah mein barish ne aa liya

kuch iss tarah se hum ne guzari hai zindage
kaanton pe jaise phool basera na ker saken

phoolon ki dori se chalak parthi hai tabassum
hasne ko tere peeche bhi so bar hansi hoon

uss phool ko pana to bari baat hai ali
uss phool ko choone mein bhi nakam rahe hum

uryan hain shajar abb ke baras dekhe ya ho
phir aae woh rut jis mein buhat phool jhure the

kuch phool jaise aae the abb baghban magar
kuch daag le chale hain tere gulistan se hum






Yeh e-mail aii thi kisi say I mean group say is liye ider likh dii hai
Posted 26 May 2005

guest. says
ko0o0ollllllllll
Posted 26 May 2005

wafakadard says
MOHABBAT NE CHEDA HAI SAAZ DIL KA
WO HAR TAAR KI RAGNI BANKE AAYA HAI
SAMAYA THA JO DIL ME EK DARD BANKAR
WO HOTON PE MERI HANSI BANKE AAYA HAI
Posted 28 May 2005

paki_fan says
Posted 29 May 2005

paki_fan says
aankhon main basa lety hain ruthy huay manzar
jaty huay logon ko pukara nahi kerte
mar jain gay per haar na maanain gay apni
hum to woh hain jo mar ke bhi hara nahi kerte
Posted 29 May 2005

Fairl_Girl says
Posted 29 May 2005

Fairl_Girl says
Tujhe dekhe bina Teri Tasweer bana sakta hoon...
Tujhe janay Bina Tera haal bata sakta hoon...
hai Meri Mohabbat main itna dum...
Apni ankh ke ansoon Teri ankh se gira sakta hoon...
Posted 29 May 2005

wafakadard says
Posted 29 May 2005

wafakadard says
• Manzil ki taraf badhte raho.
Jo dil kahe usi rah ko chuno,
peeche walon ko age na jaane do
aur jo aage hai unse aage niklo.
Tabhi 1 acche Truck Driver banoge.
Posted 29 May 2005

paki_fan says
aankh kisi ke chehrey per aur dil mein dhiaan kisi ka
hum bhi kia hein baat kisi se, wehm o gumaan kisi ka

Posted 29 May 2005

paki_fan says
Ab mah-o-saal ki mohlat nahin milney wali
aa chukay ab to shab-o-roz azaaboon walay (ahmad faraz)
Posted 29 May 2005

guest. says
wow..paki

excellenttttttttttttttttttt
Posted 30 May 2005

guest. says
wafakadard said:

• Manzil ki taraf badhte raho.
Jo dil kahe usi rah ko chuno,
peeche walon ko age na jaane do
aur jo aage hai unse aage niklo.
Tabhi 1 acche Truck Driver banoge.



hum samjhay koi kaam ki cheez ho gi
Posted 30 May 2005

guest. says
wafakadard said:

MOHABBAT NE CHEDA HAI SAAZ DIL KA
WO HAR TAAR KI RAGNI BANKE AAYA HAI
SAMAYA THA JO DIL ME EK DARD BANKAR
WO HOTON PE MERI HANSI BANKE AAYA HAI



bohat khoobbbb
Posted 30 May 2005

guest. says
Fairl_Girl said:

Tujhe dekhe bina Teri Tasweer bana sakta hoon...
Tujhe janay Bina Tera haal bata sakta hoon...
hai Meri Mohabbat main itna dum...
Apni ankh ke ansoon Teri ankh se gira sakta hoon...



really niceEEEEE
Posted 30 May 2005

guest. says
kitni mujhko aap se umeedeN thiiN
kitnaa aap mujh ko rulaate rahe

dekhtaa rahaa maiN ek phool ko
khayaal mujhko aapke aate rahe

aapke dil ko khuda humne kaha
aap mere dil ko dukhaate rahe

kaatii is tarah se humne zindagii
diiye jalaa-jalaa ke bhujhaate rahe

hum bhii sun ke an-suni karte rahe
samjhaane waale humko samjhaate rahe

dil gaNwaya barson pehle ishq meN
jaan se bhi aaj hum jaate rahe

''KaMaL" duniya deewana kahegii
yuuN hi agar sheyr sunaate rahe
Posted 30 May 2005

Fairl_Girl says
Posted 31 May 2005

Fairl_Girl says
~~Tum~~

Bikhre pade hue yahan wahan nahin ho tum
shukar karo aashiq ka girebaa.n nahin ho tum

kya karunga ab main in jigar ke tukdon ka...?
kuch to bolo aakhir bezubaa.n nahin ho tum

aankhon mein bekaraari hai labon pe tara naam
mere dil mein basey kahan-kahan nahin ho tum

tumhe ehsaas na ho mere dil ke zakhmon ka
ab be-khabar itne bhi meri jaa.n nahin ho tum

ab to yeh haal hai ke jab bhi muskuraata hun....
kehte hain log aaj kyun pareshaa.n nahin ho tum

voh din gaye jab chalte the seena taan kar...!!
jhuknaa padega "Kamal" aasmaa.n nahin ho tum

Posted 31 May 2005

guest. says
Posted 01 Jun 2005

wafakadard says
SUKRIA KS hey JB nice
Posted 02 Jun 2005

wafakadard says
hum ne to apne dil ko tera ghar bana diya
'e ishq na tamam to badnaam to na kar
'e dil teri murad hai apni pohunch se Door
mumkin na ho jahan main woh kaam to na kar...
Posted 02 Jun 2005

Fairl_Girl says
thxx
Posted 02 Jun 2005

Fairl_Girl says
Posted 02 Jun 2005

Fairl_Girl says
**Dil Ka Sakoon**
               

Dil Ka Sakoon Cheen K Asbab Lay Gaya

Woh Shaks Meri Neend Mere Khuwaab Le Gaya


In Aatay Jatay Lamhon Se Ibarat Hai Zindagi

Haqeeqat Hai Kabhi, Kabhi Hai Ye Saraab Lamhe


Bari Mushkil Se Daman Main Samaitay Hain, Inhain Choo K Na Dekh

Baray Nazuk Hain Mere Khuwaab bekhar Jayein Gain


Apnay Aanchal Say Sitaron Pay Mera Naam Na Likh

Main Tera Khuwaab Hoon Palkon Main Chupa Le Mujh Ko


Aisa Na Ho K Khuwahishon K Shehar Main

Khuwaab Main Dekhon Laikin Ta'abeer Kisi Aur Ko Milay


Haqeeqat Khul Gayi Hasrat Teri Tark-E-Mohabbat Ki

Tujhe Tu Ab Woh Pehlay Say Bhi Barh Kar Yaad Atay Hain


Humain Bhi Khuwabon Ki Duniya Aziz Hai Lekin

Zameen Pay Rehnay Ka Ehsaas Maar Deta Hai


Khuwabon Main Khuwaab Us K,Yaadon Main Yaad Us Ki

Neendon Main Ghul Gaya Ho Jaisay K Rat-Jaga Sa
Posted 02 Jun 2005

cutefriend says
again gud
Posted 02 Jun 2005

Fairl_Girl says
thx cf
Posted 02 Jun 2005

Fairl_Girl says
Posted 02 Jun 2005

guest. says
wow..gr8 janubabe!
Posted 03 Jun 2005

Reply to Topic