Han jiiii,, hum ne nashta kar liya hai,, balke lunch bhi aur ab aankhein khuli hein,,, back to our topic
First of all,,, i mite have said something wrong inatentionaly,, may Allah forgive me for that,,,,, but mujhe dil se pata hai that i was not criticizing Islam or Quran pak
Yep u r rite i said im unable to understand that y only a muslim man can marry a non muslim, and i ll say it again…….. unless someone doesnt repeat this HALF TRUTH
Before ur posts i realy didnt know that there r some conditions,,, aur yeh law foreign (non muslim contries) mei rehne waalon pe apply nahi hota….. coz zahir si baat hai me ne aaj tak aise couples sirf aur sirfff western contries mei dekhe hein,,, i neverrr ever met or even heard abt such couple in pak,,,, (converted woman k saath shadi alag baat hai)
Aur han aap ne kaha k non muslims r equally treated in our country,,, NAHHH AND AGAIN NAHH… Islam tells us to treat them equally but this is not the case in our society……. Yeh alag baat hai k western contries mei aa k inhi k ham-mazhab logon k saamne hum log complex ka shikar ho jate hein,, wellll topic se door nahi jana chaiye,, so leave this matter here.
So hum baat kar rahe the muslim/non muslim shadi ki
Listen dear,,,, hum logon ko bachpan se jab bhi koi « achi » baat sikhai jati hai ya « buri » baat se roka jata hai to yehi kaha jata hai k DONT DO THIS or DO THIS coz Quran pak mei aisa hai,, hamara mazhab yehi sikhata hai,,, and honestly majority ki tarha i never tried to search myself k mujhe jo bataya ja raha hai wakai aisa hai ya phir sirf apni baat manvane ka tareeka hai yeh……… abhi bhi aap ne agar kissi ko sach sabit karna ho to just say k Quran pak mei likha hai and there will b no objection.. (the biggest example these days is abt JIHAD,,, how ppl r missusing this holy concept it s infront of u)
or one more example,, few weeks ago one of our jb friend posted something abt ISLAM,, a vv long chapter,, ppl posted comments ‘sach hai’ ‘masha Allah’ ‘subhan Allah’ only one of a member read it and we discovered that it was something AGAINST ISLAM… sirf iss liye k uss long essay ka title ISLAM tha,, everyone thought yeh jo bhi hoga sach hoga
I hope aap samajh rahe ho k me kya kehna chah rahi hu,,,
miss leading shayad isse kaha jata hai,,,,,
(dont worry ill b back to our topic J)
yeh hai FIRST reason
now the 2nd one
have u ever been told that ADHA SACH jhoot se zyada khatarnak hota hai
when someone say « only muslim man can marry a non muslim woman (FULL STOP) » to yeh baat bilkulllll sach hai,, par meri samajh se bahir iss liye hai coz yeh sach poora nahi hai,,,
iss sentence k baad fulll stop ho hi nahi sakta, unless there s a whole paragraph abt the conditions,,, exactly like when we say « mard ko 4 shadi ki ijazat hai yeh Quran pak mei likha hai » i agree,,,, par uss ayat k foran baad ki ayat kya hein ???
kitne log iss baat ka dehan rakhte hein ???
im not talking against islamic laws,,, coz something that i learnt with my pers exp is « in Islam where there s a question there s always a satisfying answer »
ho sakta hai mera baat karne ka tareeka galt ho,,,
aisa bhi hai k being a woman im objecting men’s rights,, iss liye baat obviously zyada buri lage gi
aur yeh bhi k for some strange reasons asking questions seems to b banned
Y ????????????
Questions se to wohi darte hein na jinn k paas answers nahi hote,,, Islam mei majority baton ka clear answer hai,,, but just coz hamare batane walon ki apni knowledge bohot limited hai aur iss baat ko maan lena unn ki shaan k khilaf hai, shayad issl iye sawal karna hi mana kar diya gaya
I know ab aap kaho ge « agar sab log apna imaan durust kar lein to…………….. »
Imaan hota kya hai yar,,, woh jo humein bachpan se ghol k pila diya jata hai ??
Im sorry agar imaan yeh hota hai to mera iman shayad wakai durust nahi hai….
Aur confuse me iss liye hoti hu k jhoot ya adha sach can never satify me.
Allah, uss k Rasool aur Quran pak k ehkaam maan lene mei mujhe koi objection nahi hai,,, but im sorry yeh ehkaam humein jinn hathon se guzar k aur jiss tareeke se milte hein sometimes i really have doubts.
Well,,,, religion of our fathers doesnt really mean sects
coz (coming back to our topic) as u said all muslim sects beilieve in marriage btween muslim man and non muslim woman,,, and im sure they also beleive in same conditions u told me…….
Look around u,,, or i must say lemme look around me (coz i know more ppl who married non muslims woman) none of them respected these conditions
THIS IS RELIGION OF MY FATHER
and iss sab ka reason different school of thoughts or different opinions nahi hai,,,
simple reason hai I DONT WANNA KNOW MORE,, coz im happy with it
(errrghhhhh,,, yar mera dimag thora ghoom raha hai,,, if i say something out of topic or something vv stupid,, just ignore it)
hmmmm,, once again… me apne mazhab ko sacha sabit karna chahti hu par pb yeh hai k aisa karne se mere hum-mazhab log jhoote ho ja’ain ge,, and im sure jhooota banne mei kissi ko koi eitraz nahi par jhoot kehelwana koi pasand nahi karta
aur hansi to mujhe aati hai na yarrr,,,, me kya karuuu… all these wooden brains and stonned hearts,, i cant control myself
areyy yar,,, i didnt object mard aur aurat ka darja here… i recently posted a topic abt this,, and a jb member (someoen i raelly respect a lot) explain it vv clearly,,, u may check that topic in « serious topics »
i ll only add one thing,,,, u said Islam mei koi aurat prophet kyun nahi hai,,,
i dont know the real resons,, par meri akal jitna kaam karti hai us k mutabik....
agar in 21st century aurat ko apna aap manvana bohot jaga pe impossible bana diya jata hai,, im not talking abt equal rights or anything like that,, im talking abt woman rights in Islam…
to woh zamana jisse « zamana e jahliyat » kaha jata tha, wot wd u expct from these ppl……… The way they treated male prophets, a female prophet k liye yakeenan sab impossible hota… hmmm,, uss zamane k log aik mard prophet ki baat pe yakeen kar k iman to la sakte the,, par agar koi aurat prophet hoti to i really doubt k uss ki baat sunna bhi gawara ki hoti kissi ne J
one more reason is the way a woman thinks,,, being a woman i know vvv well k me sochne liye beshak apna dimag istmal karu par faisla dil ka hi hota hai,,, it s not wrong, i ve been made like that and im proud of it………
me ne to yahan tak parha hai k jiss mard mei aurat ki qualities hon (obviously +ive thoughts) woh wali ullah hota hai,,, khair iss baat ko samajhna zaroori hai dont start pinching this sentence’s each letter.. aur yeh to aap ne bhi suna aur parha hoga k Allah miyan apne bandon se 70 mothers jitna pyar karte hein,,,
theek hai k kissi aurat ko prophet nahi banaya gaya,,, par kya fark parta hai ??
hamare prophet k khandan ka naam unn ki beti k naam se masoob kiya jata hai (as u shd know,, Syed <-- hazrat Syeda Fatima)
hmmm,, aik cheez jo sochne layak hai,,, no one know the exact number of prophets,, it s said to b approximately 124000… no one know their names,,, sirf kuch ka zikr Quran pak aur ahadees mei hai,,,,,, who knows unn mei koi aurat ho…………… par ummmm.. ho sakta hai kuch galt keh rahi hu me
(aur han same with Holy books,,, ask some scholar, they ll tell ya there r not only 4 books,,, zyada hein,, only 6 ka zikr Quran pak mei hai)
yeh baat to bohot lambi ho jae gi… so lemme finish it, Im quite satisfied of woman status in islam but not in Islamic world
(and in the rest of world)
khair leave it,,, id say man and woman r 2 major elements of this world/life… notihng can work properly without a perfect harmony between them………. dono ka apna apna status hai,,, koi kam zyada nahi,,, jahan mard k rites kuch zyada hein wahan uss ki repsonsibilities bhi obviously zyada hein,,,, we are DIFFERENT,, and that s it
areyyy yar,,, jo case me ne aap se share kiya hai,,, i stopped there coz uss k baad mujhe nahi pata wot happend to that guy… Shayad aap ko galt samajh i,, i said that guy studied Islam balke yeh kehna chaiye k woh kafi arse se islam k baare mei parh raha tha,, and as uss ne convert hone ka soch liya tha to he decided to marry a muslim gal jo uss ki futur life mei help bhi kar sake,,, aur ittefak se samne i meri friend,,,, it was nothing like uss larki k liye muslim hona chah raha tha..
well,,,,,,, bakaida reserch kar k aur parh aur samajh k islam kubool karne waale log wakai rare hein,, simple reason shayd yeh hai k WE muslims no more reflect the image we shd have…. ppl are afraid of us,,
u know y ??
just coz of this misinterpreting…… Abhi aap kissi non muslim ko ja k kaho k islam mei sirf mard ko 4 shadi ki ijazat hai aur sirfff mard non muslim se shadi kar sakta hai, without telling him the conditions,,,
u shd not b surprised of his reaction..
DIVORCE………………
hmmm,, u r rite,,, jaiz kaamon mei se sabbbb se na-pasandeeda kaam
but wot wd u say abt those who force a woman to ask for a divorce,,, matlab k aisi conditions paida kar di ja’ain,,, aise halaat paida kar diye ja’ain,,,
i personnaly know a lot of woman who spent a ‘hell like life’ but they didnt dare to ask for divorce, 2 of them tried to suscide,,,, oh yeh jo k napasandeeda nahi HARAM hai…… yani k aik napasandeda kaam se rokne liye ap kissi ko haram karne pe majboor kar do....
ab aap shayad himmat aur khuda ki zaat pe umeed pe koi lecture do ge,,, but it s easy to say.. believe me unn do galz k imaan k baare mei i dont have any doubt,, they both are 1000 times better than me.. so can u imagine unn logon k halat kya honge ??
Im sure agar woh divorce le k kissi aur se shadi kar leti or apni prof life pe dehan deti to aaj yakeenan zyada khush hoti
han par divorcee se kaun shadi karta hai,,,,, WE MUSLIMS jo sunnah ko bohot ache se follow karte hein sirf yeh bhool jate hein that Prophet himself married divocees and widows…………………
(dont take me wrong,,, im not saying k divorce achi cheez hai,, just trying to make u face the reaslity)
errghhhhhhhhhhhh… out of topicccccccc.
Uffffffffff….
kya naaaaaaaaaa.. aap harrr aik baat ko ulta samajh lete ho
did i say something against Quran pak or Prophets ???
im talking abt those jo khud kuch nahi jante aur leaders ban bethte hein….. woh log jo misguide karte hein
just have a look at this world,, have a look at our country,,, muslim coutry hai na,,, Allah aur Rusool ko maane waale hein na,,, to phir yeh halat kyun hein hamare ??
it s simple…..
hum log islamic laws ko mante hein,,, Quran aur Hadees ko bhi mante hein,,, par kissi bhi Quranic ayat ya hadees mei apni marzi se kahin bhi ‘Full Stop’ laga dete hein…… hum sirfff utna sach bolte aur mante hein jitna humein faida de,, jahan se apne upper koi aanch aane lage wahin FULLLLLL STOP.
hmmmm..
i tried to b quite clear,,, par meri pb yeh hai k since something is clear in my mind it s obvious for me k agle bande ko bhi yeh baat samajh aa jae… i know it s silly par basss aisa hi hai
ab shukar yeh masla to hal hua…….
THNX A LOT (aur yeh me wakai sache dil se keh rahi hu) that u made it clear to me, jo conditions aap ne batai unn k baad objection ki koi gunjaish nahi rehti…
hmmm, par aik masla hai
few ppl wont like me telling them these restrictions,, hahahahahhahahaaa… hehehehehee,,,
Obviously some guyz
Allah Hafiz