hmmmm,, yeh to aik dam pure religious discussion ho gai
par khair,, i dont mind
i ll start from the end,,,
""before saying something don't forget that khuda nayatoon ko dekhata hai""
iss baat pe jitna yakeen mera hai i wish utna hi sab ka ho :)
khair,,, baat yeh hai k achi aur sachi niyyat se kiya gaya katal bhi maaf hota hai (like jihad, in real meanings,, koi galt matlab na samajh le)
but yar me samajhti hu k aik muslim hone k naate hum logon ko jahil ya ignorant rehna ka koi hak nahi hai,, matlab yeh k.. aap sab ne suna aur parha hoga k islam se pehle ka zamana jahliyat ka zamana tha,, matlab yeh hua k islam aur jahliyat aik doosre ki zid hein
iss lehaz se dekha jae to muslim jahil nahi ho sakta,, aur jo jahil hai woh acha muslim nahi ho sakta (jahil ka matlab anparh nahi hota)
now back to mazaar,,, islam mei Allah k siwa kissi ko bhi sajda mana hai, yahan tak k Nabi paak k roze tak pe sajda jaiz nahi,, unn se barh k to koi nahi hai na,,
han par kissi naik shaks k waseele se mangna,,, hmm this is debatable,,, coz i ve read once k Allah se mango aur behtreen waseela nabi paak ki zaat hai (we can use words "ae Allah apne pyare nabi k waseele se........)
rahi baat baki wali/qutub wagera ki to,, to b honest mujhe sahi se nahi maloom,, but i suppose k mangne ka tareeka hota hai,,
we can say k Allah miyan apne pyaare bandon k waseele se hamari mushkil door karein,, but kuch log aisa bhi kehte hein k "aap hamari muraad poori karien" jo k mere nazdeek galt hai
aik aur baat,,, khuda k naik log (nabi, wali,,,) iss liye nahi hote k hum inn ko dua mangne ka waseela bana lein,, yeh log example ki tarha hote hein k unn k jaisi zindagi guzarein hum ya unn ki batai hui baton pe amal karein,, coz obviously woh khuda ka paigham dete hein
aur hum log karte yeh hein k apne tareeke se zindagi guzarte hein aur unn jaisa banne ki koshish nahi karte,, im not saying k har aik wali ban jae coz yeh itna bhi asan nahi,, par apni taraf se koshish to honi chaiye na
arey han mujhe aik baat yaad i,, book mei hi parha tha k kissi sahab ne koi dua karni thi,, and that person heard k sahaba ko jab nabi paak se koi kaam hota tha to woh hazrat fatima se darkhast karte the coz nabi paak apni beti ki baat nahi talte the,,,
unn sahab ne janab e fatima ko waseela bana k dua ki jo k poori hui,, (khair woh dua to shayad nahi thi nabi paak ki khidmat mei koi darkhast thi)
to yaar bass waseela bana k dua karna galt nahi hai par tareeka sahi hona chaiye... niyyat sahi hone liye jaana aur maana zaroori hai,, aur jahil shakhs kuch janta hi nahi to sache dil se maane ga kya,, aur maane ga bhi to woh to aik parrot ki tarha hoga,, aaj aik sabak ratt liya kal aik aur...
was it clear ??
now a quest abt niyyat....
agar aik gair-muslim (christian or jew) sachi niyat se apne mazhab pe kaim rahe aur islam ka dushman ho jae,, wot wld u say abt it ??
dont forget khuda ki zaat ko sabhi mante hein,, khuda k nabi ko sabhi mante hein uss ki kitab ko sabhi mante hein,,, fark yeh hai k unn k nabi aur kitab hamare waale nahi hein,, par hein to khuda k bheje hue hi na....
yeh baat bhi zehn mei rakhna k hum log kehte hein k islam Allah ka sacha mazhab hai aur har muslims bakhsha hua hai (i really have doubts abt it),,,
but christians yeh kehte hein k jesus ne apni kaum k saare gunah apni zaat pe seh liye, iss liye christians bakhshe hue hein
aur jews Allah taala ki pasandeeda kaum thi,, yahan tak kaha jata hai k they r vv intelligent (sari dunya janti hai) coz unn k khoon mei jannat k khane (man o salwa) ka asar hai... that s not a joke....
yeh log apne aap ko hum se behtar samjhein aur sache insaan ban k rahein to unn ki niyyat pe koi shak kiya ja sakta hai kya ???