oo,,, thnx wafa n subah to read and answer
well subah ki baat hai to theek, par aik jaga ikhtelaf hai mujhe,, aankhein band kar k imaan le aane se aap ko wakti sawab to yakeenan mile ga,, agar aap ki poori zindagi sahi se guzre tab bhi koi pb nahi,,
par Allah na kare koi bari museebat aap pe aa jae, aur uss ka na koi jawab mile aap ko na koi hal to aise mei imaan jaate rehne ka darr hota hai,, par agar soch samajh k imaan laya jae, matlab k iss baat pe sahi se gaur kiya jae k KHUDA kaun hai,, uss ne humein kyun banaya,, Quran pak aur Nabi pak (pbuh) ne jo kaha uss ka matlab kya hai,,, to aise mei mushkil se mushkil halaat mei bhi hum log khuda ki zaat se umeed nahi chorte
humein paida hote hi kaan mei azan ki awaz parhi,, pare hue to quran paak parhaya gaya, kalima sikhaya gaya, namaz ki taleem di gai,, aur hum bager soche samjhe sab karte gae, sab mante gae,,
u know wot,, aap logon ne shayad suna ho ya dekha bhi ho, pak mei kuch log jab parrot ya maina palte hein to unhein kalma sikhate hein, or bismillah... to kya woh tota ya maina muslim ban gae ??
hum jo k Allah ki sab se behtreen creation hein, aur janwaron mei koi fark to hona hi chaiye..
sawal karna koi gunah nahi hai,, kyunke sawal to sab k dil/dimag mei hote hein,, unn ka jawab nahi dhoondo ge to upper se to beshak ache muslim bane raho par andar ka haal khuda hi janta hai :)
baat yeh hai k jo sach hai woh chup nahi sakta,,, dunya k tamaam scientists iss baat ko mante hein k unn ki knowledge ki aik hadd hai,,
yeh aur baat hai k apne aap se zyada powerful hasti k wujood ko maante hue jhijhakte hein,, issi liye iss ki nafi karte hein
hmmm.. aaj liye itna kaafi,, mera dimag thora ghooma hua hai aaj.. really tired
adii dear yehi to mera bhi matlab tha k,, aap ne kuch bhi nahi likha