Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
ye jiit-haar to is daur kaa muqaddar hai ye daur jo ke puraanaa nahiiN nayaa bhii nahiiN ye daur jo ke sazaa bhi nahiiN jazaa bhii nahiiN ye daur jiskaa ba-zaahir ko'ii Khudaa bhii nahiiN
tumharii jiit ah'm hai na merii haar ah'm ke ibtidaa bhii nahiiN hai ye intihaa bhii nahiiN shuruu ma'arka-e-jaaN abhii hu'aa bhii nahiiN shuruu ho to ye hangaam-e-fasilaa bhii nahiiN
payaam zer-e-lab ab tak hai Suur-e-Israafiil sunaa kisii ne kisii ne abhii sunaa bhii nahiiN kiyaa kisii ne kise ne yaqiiN kiyaa bhii nahiiN uThaa zamiiN se ko'ii, ko'ii uThaa bhii nahiiN
qadam-qadam par diye haiN vo rahzanoN ne fareb ke ab nigaah meN tauqiir-e-rahnumaa bhii nahiiN use samajhte haiN manzil jo raastaa bhii nahiiN vahaaN lagaate haiN Deraa jahaaN vafaa bhii nahiiN
ye kaarvaaN hai to anjaam-e-kaarvaaN maaluum ke ajnabii bhii nahiiN ko'ii aashnaa bhii nahiiN kisii se Khush bhii nahiiN hai ko'ii Khafaa bhii nahiiN kisii kaa haal ko'ii muR ke puuchtaa bhii nahiiN
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
jo bhii ghar se jaataa hai ye kah kar hii jaataa hai "dekho, mujh ko bhuul na jaanaa maiN phir lauT ke aauuNgaa dil ko acche lagne vaale laakhoN tuhfe laauuNgaa naye naye logN kii baateN aa kar tumheN sunaauuNgaa" lekin aaNkheN thak jaatii haiN vo vaapis nahiiN aataa hai log bahut haiN aur vo akelaa un meN gum ho jaataa hai
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
aik hii muzhdah subh laatii hai sehn meN dhuup phail jaatii hai
kyaa sitam hai ke ab terii suurat Ghaur karne pe yaad aatii hai
sochtaa huuN ke us kii yaad aaKhir ab kise raat bhar jagaatii hai
us vafaa-aashnaa kii furqat meN Khvaahish-e-Ghair kyuuN sataatii hai
kaun is ghar kii dekh-bhaal kare roz ek chiiz TuuT jaatii hai
*********************************
jab terii jaan ho gayii hogii jaan hairaan ho gayii hogii
shab thaa merii nigaah kaa bojh us par vo to halkaan ho gayii hogii
uskii Khaatir hu'aa maiN Khaar bahut vo merii aan ho gayii hogii
ho ke dushvaar zindagii apnii kitnii aasaan ho gayii hogii
be-gilaa huuN maiN ab bahut din se vo pariishaan ho gayii hogii
ek havelii thii dil muhalle meN ab vo viiraan ho gayii hogii
uske kuuche meN aayii thii ShiiriiN uskii darbaan ho gayii hogii
kamsinii meN bahut shariir thii vo ab to shaitaan ho gayii hogii ***************************** kis se izhaar-e-muddaa kiije aap milte nahiiN haiN, kyaa kiije
aap the jiske chaaraagar vo javaaN saKht biimaar hai, du'aa kiije
mujh ko aadat hai ruuTh jaane kii aap mujh ko manaa liyaa kiije
milte rahiye isii tapaak ke saath be-vafaa'ii kii intihaa kiije
aik hii fan to hamne siikhaa hai jis se miliye use Khafaa kiije
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
KUCH LOG BAHUT YAAD AATEY HAIN Kuch log bahut yaad aatey hain jo door ufaq per rehtey hain Woh log jo merey apney the Kion hanste hanste rooth gaey Tarrpatey hain siskatey hain Kuch log bahut yaad aatey hain Ik roz main yunhi shaam dhaley bas tanha tanha betha tha Tab chand mujhe uljha sa laga Aur mujh se aakhir kehney laga Maloom hai kuch tum ko Ali Woh log jo merey apney they Kion aakhir mujh se rooth gaey Main her shabb dhundta rehta hun Per mushkil hai Tarrpatey hain siskatey hain Kuch log bahut yaad aatey hain
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
woh ek shaks..... jhooti thi ya sachi thi mujhko achi lagta thi aankhain uski kali thi chehra ujla ujla tha phool chaman main khilte thay jab wo khul ker hansti thi keh deti thi sab kuch hi dil main kuch kab rakhti thi kerwi thy guftar bohut lakin dil ki achi thi ker leti thi jhagra aur foren maan bhi jati thi door bhi hum ho sakte hain kab humne ye socha tha kitne pyaare din thay, wo har dam saamne rehti thi begana thi lakin, woh apni apni lagti thi gulshan uski chahat ka mere dil main mehka tha kiya woh aaj bhi aisi hai jaisa kal tak lagti thi ya rab usko khush rakhna har dam jo khush rehti thi
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
jaan-nay jaan! "Mujay tum say mohabat hay" magar main keh nahi paya woh kagaz ag tak lipta para hay dhool main lakain kisi ko day nahi paya dobara cha ker bhi main mohabat ker nahi paya
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Kiya Tumhain Main Kabhi
To kiya tumhain, main kabhi yaad hi nahi aayea? Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi Zara say aab kay aankhon main utarnay par bhi Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay
Sanwar ke der talak aa-eenay ko taktay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaye? Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay Kabhi yoonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay Faarigh oqaat main koyi kitaab parhtay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? Barastay abr main chhat par kabhi kharay hokar Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay Kisi oonchayi pe tanha sambhal ke chartay huay Utartay chaand ka mojon main aks partay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaye? Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi Kisi darakht ke saaye main beth kar bhi nahi Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi Kisi dareecha-e-makaan se jhaank kar bhi nahi?
Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi? Yaad-e-Maazi main kaheen door doob kar bhi nahi Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi Kahin lafzon main koi A dekh kar bhi nahi Azaan hotay hi duao main bhi nahi?
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Aasma ke daricho se Eid ka chaand aaj nikla en sitaro ki mhfil se ziker uska khaas aaj nikla
log aao aao dekho tu tum usko zara kitna mhboob lagta hai kiya khoob lagta hai banke khoshi ka paigaam wo aaj nikla
en baadlo ki chader na lapet saki use es maosam ki sard hawa na rook saki use apne mhboob se milne wo khaas aaj nikla
mhndi bhare haat eak duwa maangte hai tere dil main bas eak jaga maangte hai leke duwao ka wo raaz aaj nikla Aasma ke daricho se Eid ka chaand aaj nikla
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
itni masum thi zindagi Na dil me mael aur na chehre pe mukhote the Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Sun le koi mere dil ki thodi si daastaan Waqt kisi ke paas itna bhi aaj kahan Sine se laga lete the daud kar sabhi Pehle kabhi jab hum jab chhoti si baat pe rote the Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Ab to pyar dekar bhi mohabbat nahi milti Waqt to milta hai magar fursat nahi milti Ek raatein hain ye jo neendo se naata hi tod chuke Ek din the wo jab hum bade sukuun se sote the Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
aaj ki duniya main tum kabhi pyar mat kerna pyar ho jaye tu izhar kabhi mat kerna dhoke dete hain haseen chahre yahan per, haseen chahron per kabhi aitbar mat kerna badnaam hone ka dar bhi hota hai aksar yahan jalte rehna magar didar mat kerna ehsaan faramosh hain is shahar ke baasi(log) bhool ker ab kabhi ehsaan yahan mat kerna
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Tujhe dekhe bina >>!<<
Tujhe dekhe bina Mujhe Neend nahi aati Tujhe suney bina Mujhe Chain nahi aata Main ek aag hoon jo Paani ki Pyaasi hai Main ek Jism hoon jo Dil ka Pyaasa hai Tujhe Bhoolna Namumkin se Namumkin hai Tujh se Judai ka mai Soch bhi nahi sakta hoon Tujhe paana Meri Tammana hai Tujhe kho dene ka Darr be-had hai Main kerta hoon Tum se Pyar itna k ek Nazar mai sab keh dalta hoon Tujhe dekh ke ek Sukoon sa aata hai Tujhe se Juda hone ka Darr her Waqt laga rehta hai Na jane kyon mai Tujhe ko Chahta hoon is kadar Ke ek baar Tujh mai kho jana chahta hoon Tujhe Takleef mai dekha na jaye Mere Ashqon se Paani beh jaye Tujhe dekhe bina Mujhe Neend nahi aati Tujhe suney bina Mujhe Chain nahi aata
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Na dil me mael aur na chehre pe mukhote the Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Sun le koi mere dil ki thodi si daastaan Waqt kisi ke paas itna bhi aaj kahan Sine se laga lete the daud kar sabhi Pehle kabhi jab hum jab chhoti si baat pe rote the Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Ab to pyar dekar bhi mohabbat nahi milti Waqt to milta hai magar fursat nahi milti Ek raatein hain ye jo neendo se naata hi tod chuke Ek din the wo jab hum bade sukuun se sote the Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Mohabbat hoii hawaoon say Hawaoon nay rukh badlaa mein nay mohabbat kii chand say who her raat chuphtaa rahaa mein nay subah kay ujaloon say mohabbat kii magar who andhairoon mein doobtay rahay Mohabbat hoii sapnoo say who bikharnay lagayy Apnii mohabbat khwahishaat kay nazar kiii toooo whoo hasrat bannay lageinnnn "Ab jaan chukaa hoon itnaa" sub jhoot hai yehhh "Mohabbat" kuch bhii nahiii
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Udaasioon ka sabab jo likhna, to ye bhi likhna kay chand taaray, shahaab ankhien badal gaye hain wo zinda lamhay jo teri raahon mein tere anay kay muntazir thay wo thak kay raahon mien dhel gaye hain wo teri yaadien, khayal tere, wo ranj tere, milaal tere wo teri ankhein, sawal tere wo tum say mere tamaam rishtay bichar gaye hain, ujadh gaye hian udaasioon ka sabab jo likna to ye bhi likhna leraztay hoonton pe larhkharhti, dua kay soraj peghal gaye hain tamaam sapnay he jal gaye hain baad marnay ke tum meri kahani likna kese hoi bardaad meri jawani likhna ye bhi likhna kay mere hoont hansi ko tarsay kese bahta raha meri ankhoon say pani likna
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Cut Into My Heart
Cut into my heart so softly, you have touched me gentely with grace, for it was you I gave my love to, so long ago...
Cut into my heart of knowledge, it was what I knew, to give you, when life took you down below the footsteps of melted rock...
Cut into my heart of wisdom, they were words that made us grow, leaving the sun, stars, moon a differnt shade of loveliness, for loving you made dreams a little more beautiful..
Cut into my passionate heart, for in loving will each day be beautiful, casting forth flames, desire mixed with tenderness my love..
Cut into my heart, carry me away across the waters of love's sweet passion, you and I among Island's of flames and ash..
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Mysterious Universe
Meditation
Wondrous captives travel, seekers of the universe, mind travelers, wisdom found, new pages open, laced with freedom, new age enchantment...
Gaze, listen, sounds surround each thought, new visions, new worlds found in the enchanted universe, old vision now memories, a start,a new beginning for travel seekers...
Time, what shall that be! wisdom conquers, answers now explained, new foundation, new life, new thoughts pass into the enchanted universe...
Guide lines surface, love floats in many directions in the new found universe of planetary systems, worlds appearing, survival, a must to continue, in this mysterious universe..
Lost pasture of memories that use to be a world of confusion, gone, minds open wider, understanding deepens in the spiritual age of knowledge, universial travel....
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Weerani
Asar Kuch Bhi Tera Hurf-E-Shikaybai Nahin Kerta Yeah Marhum Meray Zakhmoon Ki Maseehayee Nahin Kerta Najanay Kaisi Weerani Basi Hay Apni Aankhoon Main Koi Manzar Nigahoon Ki Pazayrayee Nahin Kerta Kabhi Abad Thi Dil Main Mussarrat Aur Aab Yoon Hai Kay Ghum Bhi Is Khandar Main Buzm Arayee Nahin Kerta Yeah Kaisa Sheher Hai Kya Bay Murawwat Loog Hain Is Kay Yahan Koi Humaray Saath Achayee Nahin Kerta Sada Aatee Hai Ek Umer Say Dil Kay Parinday Ki Yeah Taair Muddatoon Say Naghma Sirayee Nahin kerta Bus Aab Khamosh Rehnay Ka Irada Ker Lia Hum Nay Fughan Bay Kaar Hay Jab Koi Shunwayee Nahin Kerta
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
MERAY KHWAB
may to kabhi na sota agar khwabo may tum na atay mayri nind to bas tum say mulakat ka ek bahana hay khwab jo daykhta hun wo puray honagay ya nahi sochta hun tum ko muhabbat ki wadio may lay kay jana hay dost kehtay hayn nasha darde ghame ishq ko mitata hay mujhay to mehsos ya hota hay tu hi mayra paymana hay mujhay suko nahi kahi bhi tayray qurb kay siwa lagta hay tayra dil hi ab mayra ghreb khana hay tayri muhabbit jo na mil saki to zamana thukra dia ham nay kio kay mayray khayal may tu hi sara zamana hay mayray khwbo ki haday to yaha tak pohanch gai hayn sham ham ko ab nilay gagan kay us par bhi ek sath jana hay