Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Mera aina mera aks bhi' meray meherban ki nazer hua.... meri siskian, meri aarzoo, meri justujoo, meri chashm e tar, mera her safer' meri soch k sabhi zaviye' wo diay jo us nay bujha diay' meri hastian, meri bastian' meri shairi, meri raagni' Meray saath jin ka guzer hua" MERAY MAHERBAAN KI NAZER HUA!
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
farz karo tum chat per baithe apne baal sukhatey hoo. farz karo ke dhoop ka us din kuch kuch rang gulaabi hooo. farz karo tum baithe baithe gehri souch main kho jao. baal sukhana choord ke sar ghutnoon pe rakh kar so jao. farz karo us neend main tum ne dekha asai sapna hooo. bekal hokar man ye chahey kaash ye sapna apna hooooo. farz karo tum khat likhne ko kaghaz qalam uthatey hoo. khat likhne se pehle kaghaz ko khushboo khoob lagatey hooo. farz karo alqaab pe aakar qalam tumhara ruk jaey. nazar tumhai dhak dhak karke dil ki janib jhuk jaey. farz karo aik naam likho aur likh kar kato phir likho. farz karo sapne afsane khat ka naam muhabbat ho. farz karo hum donon ke dil aik hi saath dhardakte hooon. farz karo ye saari baatain FARZ na karni parti hoon
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Bas jiye jaa rahe hai hum
dil main sameta hua hai samundar humne dard ka fir bhi jaane kaise muskura paa rahe hain hum log kehte hain bade khush hain aap to wo kya jaane is dil ko kaise jala rahe hain hum
socha tha na girne denge in ashkon ko kabhi kahi humare ashk na de jaaye unko koi gum magar kitna piye in ashkon ko ab to inmain doobte jaa rahe hain hum
toote sapne, bikhri chahat aur bhi bahut kuch mila hume in tohfon ko daman main samete bas jiye jaa rahe hai hum...
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Dil ki baat dil mein na rahe aankhon ke khwaab aankhon mein na rahe Dil ki baat isi liye keh di aap ko... Ke galti se aap kisi aur ke dil mein na rahe..!!
tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata phir bhi dil ki baat keh nahi paata kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata ..!!
Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai..!!
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain... Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko... Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey... Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay... Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain Zindagi ek sulgati see chita hai `Dosto'... Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain..!! x............x............x
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Har zara-E-umeeD
Har zara-e-umeed se khushbu Nikal aaye... Tanhayi ke sehra mein agar tu Nikal aaye... Kaisa laga is baar agar mausam-e-gul mein... Titli ka badan orh ker jugnu Nikal aaye... Phir din teri yaad ke munderon pe guzara... Phir shaam hoi aankh se aansoo Nikal aaye... Bechain kiye rehta hai dharka yehi jee ko... Tujh mein na zamane ki koi khoo Nikal aaye... Phir Dil ne kiya tark-e-taalluq ka irada... Phir tujh se mulaqat ke pehloo Nikal aaye...
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
SarDiyon ka Mausam Hai...
Gul-e-zaban pe wohi Sardiyon ka mausam hai... Tumhari "HAAN" pe wohi Sardiyon ka mausam hai... Darakht per jo kabhi chooriyon se daala tha... Us aik nishaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai... Ye aik hum ke nayi boliyan sada bolein... Teri zaban pe wohi Sardiyon ka mausam hai... Sulag rahi hain zehan mein qubayein lafzon ki... Magar zuban pe wohi Sardiyon ka mausam hai... Tumhare aane pe Sooraj ke haath chamkenge... Mere makaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai... Har aik simt pighalne lage hain Sannate... Tere bayan pe wohi Sardiyon ka mausam hai... Jahan jahan teri khushbu ke Rang bikhrey hain... Wahan wahan pe wohi Sardiyon ka mausam hai... Teri judayi ke pal se hoa hai ishq hunoot... Ke is jahan pe wohi Sardiyon ka mausam hai... Woh "HAAN" karegi baharon mein us ka wada tha... Us aik "HAAN" pe wohi Sardiyon ka mausam hai... Woh mujh ko sonp gaya furqatein december mein... Darakht-e-jaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai... Hamare lab to Duayein jalaye rakhte hain... Per Asmaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Darwaze se lag ker soye...
Hum tere khuwaab ke darwaze se lag ker soye... Shehar betaab ke darwaze se lag ker soye... Aate jaate hoe sab ne humein dekha aur hum... Dukh ke mehtaab ke darwaze se lag ker soye... Hum to sehraon ke mausam mein bhi tere baa-is... Khuwahish-o-khuwaab ke darwaze se lag ker soye... Maal daron ko bhala chen kahan tha woh to... Maal-o-asbaab ke darwaze se lag ker soye... Hum bhi masoon buhat the so buhat muddat tak... Ya ehbab ke darwaze se lag ker soye... Mustaqil roti hoi aankhon se liptey hoe khuwaab... Jaisay selaab ke darwaze se lag ker soye... Baad mein tera ghum soche ga aakhir ik din... Kis ke aasaab ke darwaze se lag ker soye...
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
kal ajab saniha hoa
kal ajab saniha hoa Rait per... Naam tera likh nahin saka Rait per... Kis ki awaaz se tham hain qadam... Phir se kis ne mujhe di sada Rait per... Us ki aankh se sholey nikalte Rahe... Naachti reh gayi kal ghata Rait per... Tu ne jo bhi hawa se kaha Reh gaya... Mit gaya mein ne jo bhi likha Rait per... Mein tumhein choomna chahta hoon abhi... Us ne mujh se ye aik din kaha Rait per... Ab ye sehra hi tere muqaddar mein hai... Tune maangi hi kion thi duaa Rait per... Aik shola utha us jaga se 'wasi'... Mera ansoo jahan gir gaya Rait per...
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Na koi Saheli thi...
Na koi khuwaab na koi saheli thi... Is muhabbat mein, mein akeli thi... Ishq mein tum khaan ke sache the... Jo azziyat thi hum ne jheli thi... Yaad ab kuchh nahin raha lekin... Aik darya tha ya haweli thi... Jjis ne uljha ke rakh diya dil ko... Woh muhabbat thi ya paheli thi... Mein zara si bhi kam wafa kerti... Tum ne to meri jaan leli thi... Waqt ke saanp kha gaye us ko... Mere aangan mein aik chanbeli thi... Is shab-E-gham mein kis ko batlaoon... Kitni Roshan meri Hatheli thi...
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Aur Chaand Raat hai...
Mein hoon tera khayal hai aur chaand Raat hai... Dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai... Aankhon mein chubh gayein teri yaadon ki kirchiyan... Kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand Raat hai... Dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila... Shabnam ka ye sawal hai aur chaand Raat hai... Phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein... Phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand Raat hai... Campus ki nehar per hai tere haath haath mein... Mausam bhi lazawal hai aur chaand Raat hai... Har aik kali ne orh liya matami libaas... Har phool per malaal hai aur chaand Raat hai... Meri to por por mein khush si bas gayi... Us per tera khayal hai aur chaand Raat hai... Chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang... Har cheez pe zawwal hai aur chaand Raat hai...
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Ajab pagal si larki hai Ajab pagal si larki hai Mujhay her roze kehti hai Batao kuch naya likha? Kabhi is say yeh kehta hoon K main nay nazam likhi hai Magar unwan daina hai Bohat baytab hotti hai Woh kehti hai Sunao Main issay acha sa ikl unwan daiti hoon Woh meri nazam sunti hai Aur iss ki boalti ankhain Kissi missra kissi tashbeeh per un muskurati hai Mujhay lafzoon say kirnain phoothti mehsoos hotti hai Woh phir iss nazam ko acha sa ik unwan daiti hai Aur is k akhiri missra k neechay Ik adaay baynayazi say Woh apna naam likthi hai Main kehta hoon Sunoo Yeh nazam meri hai To phir tum nay appnay naam say mansoob ker li hai Meri yeh baat sun kar uss ki ankhain muskurati hai Woh kehti hai sunoo Sadda sa rishta hai K jaisay tum meray ho is terhan yeh nazam meri hai Ajab pagal si larki hai