Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
~~~ USAY KEHNA ~~
Usay kehna kitaabuN meiN rakhay sookhay hoye kuch phool Us kay lout aanay ka yakeeN ab tak dilaatay haiN Usay kehna kay uski jheel sy aankhaiN kisi manzar par chaa jaeN To sab manzar yohiN phir bheeg jatay haiN Usay kehna kay thundy baraf par koi kisi kay saath chalta hai to QadmuN kay nishaaN phir say usy kay lout aanay kay nishaaN dil par banaatay haiN Usay kehna kay uski bheeghy aankhuN ka wo aansu Sitaaray ki taraH ab bhi hamaiN shab bhar jaghaata hai Usay kehna kay baarish khirkiyuN pay us kay aansu paint kerty hai Usy ka naam likhty hai Usay hi gungunaaty hai Usay kehna kay khushbu 'chaandani ' taaray ' saba ' rastay ' ghata ' kaajal ' Muhabbat ' chaandani 'shabnam ' hawaiN ' raat din ' baadal Sabhi naraaz haiN hum say Usay kehna judai kay darakhtuN par jo sookhy tehniyaN haiN Wo saary baraf ki chaadar main kab ki dhak chuky haiN Aur un shaakhuN pay yaaduN kay Jo patay thay sunehry ho gay haiN Usay kehna december so gaya hai Aur yakh basta wo bheegy January phir lout aaey hai Usay kehna kay lout aaey...
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Suna hai waqt ke saath halat badal jate hain Insan badal jate hain, jazbat badal jate hain Par tum na badloge, ye aitbar karta hoon Main tumse pyaar karta hoon Main tumse pyaar karta hoon
In haseeniyon se pyaar kya karna... In adayon se pyaar kya karna... Yeh Zakhm de kar hasa karti hain.... In bewafayon se pyaar kya karna
ye mera dil is dil ki halat kaise bataun tumhe ye dil ab dil na raha di ki awaz kaise sunaun tumhe kishi ke mohabat main thukraya gaya hai ye ye dil mein jo dard hai kaise dekhaun tumhe
Tu Mili to zindigi mili Tujako dekha to zindagi ko dekha
TUTE HUA DIL KE DARD KA BHI ALAG MAZA HAI , JO USKO MEHSUS KARTA HAI VO USHI KO PATA HAI.
kisi bhi mausam ka asar abb humpe hota nahi, yaro hum ne tau registan(desert) ki aadat dal rakhii hai
Hum se kya khathaa huvien, mail aanaa bandh hai... Aap hi humse naaraaz hai, ya mail server bandh hai?!
MOHABBAT KE LIYE KUCH KHAAS DIL MAQSOOS HOTE HAI YEH WOH NAGMA HAI JO HAR SAAZ PE PAAYA NAHI JAATA
Dil ki lagi kuch asi lagi, hum dil hi gawa bhetain, ye dil ka lagana kya hua ek rog laga bhetain
har rahi ko manzil nahi milti, har mujrim ko saza nahi milti, mera bhi khwaish hai TajMahal banane ki, magar har kisi ko Mumtaz nahi milti
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
naaraz hum, naaraz tum, kaisay mitay phir dooriyan, hum muntazir, tum bekhabar, donon ki hain majboorian,
kuch khonay ka gar tumhay ehsaas ho, beetay dino kay lotnay ki tum ko bhi aas ho to chalay aanaa .... chalay aanaa.... mut sochna, mut poochna, uthtay qadam mut rokna ... naata hamara dil ka tha, kehna bhi dil ka maan na ......
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Us Ko
Woh Meray Pass Hai Kya Pass Bulaon Us Ko Dil Main Rehta Hai Kahan Dhoondhnay Jaon Us ko Aaj Phir Pehli Mulaqat Say Aghaz Keroon Aaj Phir Door Say Hi Dekh Kay Aaon Us Ko Chalna Chahay To Rakhay Paon Meray Seenay Par Bethana Chahay To Aankhoon Pay Bithaon Us ko Woh Itna Subuk , Itna Subuk Lagta Hai Kabhi Gir Jayay To Palkoon Say Uthaon Us Ko Yeah Mera Dil , Mera Dushman , Mera Dewana Dil Chahta Hia Kay Sabhi Zakhm Dikhaon US ko Aaj To Dhoop Main Taizi Hi Bohat Hia Warna Apnay Sayay Say Bhi Main Bachaon Us Ko
Jab Uzne Mere Hathon Ko Apne Haath Men Lekar Kaha tHa Keh
Jante Ho Garam Haath Wafa Ki Alamat Hote Hain...Men Uzki Yeh Bat SunKer Khushi Se Jhoom Utha Tha..MaGer Aaj Shab-e-Tanhai Men Betha Soch Raha Ho0n Ke Uz WaQt Uz Ke Haath Kitne Sard The
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
x............x............x
ßÎÇHÂRR KÂR
Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge Sach kehti hoon mere bin bohat pachtaoge Bardasht ka paimaana hai mera bhi bohat wasi Bolo kitna rulaoge bolo kitna sataoge Yaadein meri satayengi baatein meri rulayengi Meri nigahon se tum khud ko kahan tak chhupaoge Saaya bhi hua karta hai kya kabhi Insaan se judda Tum jahan bhi jaoge saath mujh ko paoge Kardega mera khaloos yeh haalat tumhari Raaz e Dil zaban tak laoge aur keh na paoge Karti hoon intezaar us lamhe ka main Jab mujhe apna keh ker paas bulaoge
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Aik Lakeer Terey Naam Ki
kuch udaas kuch khamosh kuch bebas see lakeerien merey
haath ki? Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main Aik lakeer tere naam ki Kuch maloom bhi hey Kuch dil bhi janta hey Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon Aksar ek lakeer tere naam ki Aik lakeer terey naam ki....
Age: 125
6904 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty saahil pe samundar ke hazane nahi aaty palkein bi chamak uthi hen sote hi hamari aankho ko abi khawab chupane nahi aaty dil ujri hoi ik saraye ki terha hai ab loogh yahan raat jagane nahi aaty yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hen ab yaad samje derd porane nahi aate urny do abi parindo ko shoh hawa men phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty is shehar ke badal teri zulfon ki terha hen yeh aag lagate hen per bojane nahi aaty ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gye hen aaty hen magar dil ko dukhane nahi aaty
hamaare daramiyaa.N aisaa ko_ii rishtaa nahii.n thaa tere shaano.n pe ko_ii chhat nahii.n thii mere zimme ko_ii aa.Ngan nahii.n thaa ko_ii vaadaa terii zanjiir-e-paa banane nahii.n paayaa kisii iqaraar ne merii kalaa_ii ko nahii.n thaamaa havaa-e-dasht kii maanind tuu aazaad thaa raaste terii marzii ke tabe the mujhe bhii apanii tanhaa_ii pe dekhaa jaaye to puuraa tasarruf thaa magar jab aaj tuu ne raastaa badalaa to kuchh aisaa lagaa mujh ko ke jaise tuu ne mujh se bevafaa_ii kii