**sensational** said:Bagair jane pehchane ikrar na kijiye,
Muskura kar dil ko bekarar na kijiye,
Gulab bhi de jate hai zakhm gehra kabi kabi,
Har Gulab par yu aitbaar na kijiye.
Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko.
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi,
To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.
Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..
Is kadar hum yaar ko manane nikle,
Uski chahat ke hum deewane nikle,
Jab bhi use dil ka haal batana chaha,
To uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle…
Miss mine said:Samundar Ne Kaha...
Mohabbat Samundar Ki Gehraiyo Mein Chhupi Hui Ek Seep Hai,
Jisme Chahat Jaisa Anmol Moti Mojood Hai...
Baadal Ne Kaha...
Mohabbat Ek Dhanak Hai,
Jisme Har Rang Samaya Hota Hai...
Shayar Ne Kaha...
Mohabbat Ek Aisi Ghazal Hai,
Jo Har Ek Sunnewalo Ke Dil Mein Utarti Chali Jaati Hai...
Saaz Ne Kaha...
Mohabbat Ek Aisa Geet Hai,
Jo Dil Mein Utar Jaata Hai...
Mali Ne Kaha...
Mohabbat Gulshan Ke Phool Ki Woh Dilkash Khusboo Hai,
Jisme Saara Gulshan Mehak Utha Hai...
Aankhon Ne Kaha...
Mohabbat Aansoo Ka Samundar Hai,
Jo Kisi Ke Intezar Mein Khamoshi Se Behta Hai...
Dil Ne Kaha...
Mohabbat Kisiko Khamoshi Se Chahte Jaana Ka Naam Hai...
Miss mine said:Kitna sahel jaana tha
khushboo'on ko chhu lena
baarishon k mausam main shaam ka har ik manzar
gher main qaaid kar lena
roshini sitaaron ki mutthiyoon main bhar lena
kitna sahel jaana tha
khushboo'on ko chhu lena
jugnoo'on ki baatoon se phool jaise aangan main
roshini se kar lena
us ki yaad ka chehra khawaab naak aankhoon ki
jheel k gulaaboon per dair tak saaja rakhna
kitna sahel jaana tha
magar nazar ki khush fehmi
is tarhaan nahi hota
"titliyaan pakarne ko door jaana parta hai".
Miss mine said:ye Jo Zeest Ka Safar Hai
Ye Jo Rasta Hai Mera
Tum Agar Na Sath Do gye
To Yeh Kis TArhan Kate Ga
Meri Soch Ki Hadoon Tak
Ye Guman Bhi Kaise Aye
Koi Pal Bina Tumhare
Bhala Kaise Beet Jaye
Mere Paas Tum Nahin Ho
Mere Paas Kab Nahin HO
Meri Yaad Ke Nagar Mein
Mere khawab Ke Safar mein
Meri Soch Ki Tehon Tak
Meri Aankh Kay Bhanwar May
Mere Dil-O-Jaan Mein Tan May
Meri Hasraton Kay Ban May
Mere Dil Ki Tergi may
Meri Shab Ki Roshni May
Haan Tumhin Ho Har Kahin H
Mere Paas Tum Nahin Ho
Mere Paas Kab Nahin Ho
Meri Har DUA Ka Mehwar
Bas Aik Aarzoo Tumhari
is Aarzoo Ke agye
Koi Rasta Nahin Hai
Tumhen Kis Qadar Hai Chaha
Yeh Tumhen Pata nahin hai..
Miss mine said:
Aa Jao Sirf Ek Baar
Ab Aur Humse Raha Nahi Jaata,
Taras Gaye Hein Teri Ek Jhalak Ko
Ye Dard- E-Judaai Ab Saha Nahi Jata,
Aah Bhi Thak Chuki Tere Liye Tadap Kar
Seene Pe Ye Dard Ka Khanjar Saha Nahi Jaata,
Hum Bhi Pyar Karte Hein Bahut Tumse
Kyu Aapse Ek Baar Bhi Kaha Nahi Jaata
Teri Yaad Us Mod Pe Le Aai Hai
Jahan Zindagi Keh Rahi He Alvida
Aur Humse Tuje Mile Begair Mara Bhi Nahi Jaata...
Miss mine said:
Rapunzel said:
December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may
Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa
beautiful
olldman said:Elegantly put, enjoyable precious thoughts, Rapunzel.
**sensational** said:
sweetie said:yes boss
king
Baadshah
NEXT>>> If you have loved, why be scared?
**sensational** said:
Rapunzel said:gubd
han boss
gubd?
yara yeh kya hota hai
anyway the film was RAAZ
sweetie said:
sweetie said:
<font color="red">WE ARE PROUD OF U RAPU
U ROCK GAL
VERY WELL DONE
LUV YA HUN'
Rapunzel said:december mujh say bola tha
ab k jab main aongaa
tujhay phir say pukaronga
ussay main sath laonga
jo tujh ko bhool baitha hai
k jis k hijr ka lawaa
tera tan man jalata hai
k jis ki yaad ki jheelon main
aksar doob jatay ho
k jis k wastay baithay
yahan tum geet gatay ho
december mujh say bola tha
suno tum bhool na jana
jo yadain uss nay sonpi hain
jo lamhay uss nay bakhshay hain
chahay yeh zakhm saray
rohh ka nasoor ban jayen
inhain bharnay nahi daina
inhain marnay nahi daina
k in zakhmon pay marham
aik din uss nay he rakhna hai
december agaya lekin
december woh nahi aya
k jiss nay mujh say bola tha
ussay woh sath layega
mujhay phir say pukarega
december! ghor say sun lo
ussay bhi tum bata daina
yeh sansain machli baithi hain
ab rukhsat pay janay ko
yeh ankhain bhi barasti hain
ussay wapis bulanay ko
magar yeh jantay hain hum
hamain wo bhool baitha hai
december ayay jo ab ho
to itna yaad rakh laina
december aur he tha woh
k jiss nay mujh say bola tha
mujhay ummedain bakhshi thin
mujhay jeena sikhaya tha
buhat masoom thay hum to
jo itna bhi nahi samjhay
december to december hai
sub he ko rulata hai
hamesha dair karta hai
sanam k taur rakhta hai
sada akhir me ata hai
december uss say keh daina
mujhay jitna bhi tarpalay
k tujh say haar maani hai
ab hum nay yeh he thaani hai
yon uss say dour jana hai
kabhi wapis na anaa hai
chalo choro ab janay do
december kuch bhi na kehna
koi shikwa nahi karna
k jis say yeh guman guzray
usay hum yaad kartay hain
ussi ki rah taktay hain
k apni zindagani ka
iss sari kahani ka
yeh manzar akkhri hoga
DECEMBER AKHRI HOGA
DECEMBER AKHRI HOGA