Age: 33
5780 days old here
Total Posts: 368
Points: 0
Location:
milan, Italy
Mehsoos kiya tumko to jaag ageyi humhe Yaad kiya tumko to neend bhool geyi humhe Rab jaane, hum na jaane aisa kya he tum me Aankhen khulli ho to khyaal me tum aa jaate ho Aankhen band ho to khwaab me tum aa jaate ho Rab jaane, hum na jaane aisa kya he tum me..
Age: 33
5780 days old here
Total Posts: 368
Points: 0
Location:
milan, Italy
Dil se dil ka rabta acha laga Aaj us ko sochna acha laga Jate jate akhri lamhaat main Mur ker us ka daikhna acha laga Zindagi bhar us ne jo kuch bhi kia Us ka har ik faisla acha laga Her taraf thi bawafa logon ki bheer Aik wo hi bewafa acha laga Wo hayya ki her ada main sooyie jab Paas rah ker bhi fasla acha laga Kiyon mohabbat ho gai us say Kya bataiyan hum ko us main kya kya acha laga
Age: 33
5780 days old here
Total Posts: 368
Points: 0
Location:
milan, Italy
Bin dekhay usay Ya Rab yeh eid na guzray Kar paida koi sabab yeh eid na guzray Dunia ko dikhaya hai jo ik chand tu ne Mujhko bhi dikha de ab yeh eid na guzray
Age: 33
5780 days old here
Total Posts: 368
Points: 0
Location:
milan, Italy
Kuch door hamare saath chalo Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se Woh baat zubaani kehdein ge Jo pyar karein ge jaanein ge Har baat hamari maanein ge Jo jaley na hon khudh ulfat mein Woh aag ko paani kehdein ge Jab pyaas jawan ho jaye gi Ehsaas ki manzil paye gi Khamosh rahein ge aur tumhein Hum apni kahani kehdein ge Is dil mein zara tum baitho to Kuch haal hamara poocho to Hum sada dil hain “Ashk” mager Har baat poorani kehdein ge
Age: 33
5780 days old here
Total Posts: 368
Points: 0
Location:
milan, Italy
Khush haal se tum bhi lagte ho yun afsurdaa to hum bhi nahi par janne wale jante hain khush hum bhi nahi khush tum bhi nahi tum apni khushi ke pehre me aur daame ghurur me jakde huye hum apne zom ke narghe me anaa haath hamare pakde huye ik muddat se ghaltan o pench tum rabt o gurez ke dharo me hum apne aap se uljhe huye pachhtawon ke angaaron me khamosh se tum hum mohar ba lab jag beet gaye takk beet gaye suno khel adhuraa chhodte hain binaa chaal chale binaa maat kiye jo bhaagte bhaagte thakk jayen woh saaye rukk bhi sakte hain chalo todo qasam iqraar karen hum dono jhukk bhi sakte hain