Rapunzel said:Hujoom main tha wo khul k na rooo saka hoga
Mgr yaqeen hai k shaab bhr na soo saka hoga
Wo shaks jisko smjnay main mujhko umr lgi
Bichar k mujh se kisi ka na ho ska hoga
Lraztay haath,shikasta si doorh sansoon ki
Wo khushk phool kahan tk piroo saka hoga?
Bohut ujaarh the pataal uski ankhoon k
Wo ansuoon se na damn bhigo ska hoga
Mere liay wo qabeelay ko choor kr ata
Mujhe yaqeen hai ye uss se na ho saka hoga.....
Fairl_Girl said:GREAT WORK BOTH OF U
RAPU N KOOLEST
Miss mine said:
kOoLeSt1 said:Teray khushboo main basay khat main jalaata kaisay
Pyar main doobay huay khat main jalaata kaisay
Teray haathon kay likhay khat main jalata kaisay
Jin ko dunia ki nigahon say chupayay rakha
Jin ko ek umr kalejay say lagayay rakha
Deen jin ko jinhain eeman banayay rakha
Jin ka her lafz mughe yaad paani ki terhan
Yaad thay mugh ko pegham-e-zubani ki terhan
Mujhko pyaray thay jo unmol nishaani ki terhan
tu nay dunia ki nigahon say jo bach ker likhay
sal ha saal meray naam barabar likhay
kabhi din main to kabhi raat ko uth ker likhay
teray khat aaj main ganga main bahaa aaya hun
aag behtay huay paani main laga aaya hun
superb collection koolest
Rapunzel said:kathin marhalon ne hansi cheen li
zamane ne zinda dili cheen li
mere zehen.o.dil pe wo yun chah gaye
kay mujhse meri zaat hi cheen li
ghari bhar ko akar mere robaro
meri umer ki ek sadi cheen li
kisi or kay wo khuda ban gaye
to goya meri zindagi cheen li
bara shok tha rothne ka hamain
isi shok ne zidagi cheen li
bohat naaz tha khud per hamain
kisi ne hamari khudi cheen li
tehzeeb said:HUM ITNEY BE DHEYAN TO KABHI NAHI THEY,
K KHOOD MEIN REHTEY HUWEY TUJH MEIN REHTEY HAIN,
TUM PAR IKHTIYAR NAHI RAHA JAB SAY,
NAJANEY KIYO IK KHALISH MEIN REHTEY AHIN,
TUM SAY DOOR HUWEY HIN JIS PAL SAY,
SAB MOSAM HUM SAY ROOTHEY REHTEY HAIN,
MANZIL QAREEB THI JAB KOI KHAYAL NA THA,
AB HAR WAQT SOCH KI DALDAL MEIN REHTEY HAIN,
IK TERI NAZAR SAY GIREY HAIN TO,
KIS KIS TOOFAN MEIN REHTEY HIN,
TAQDEER SHAYAD HO KABHI PHIR HUM PAR MEHRBAN,
BUS ISI IK AAS MEIN REHTEY AHIN.
tehzeeb said:TERA GHAM APNI JAGAH DUNIYA K GHAM APNI JAGAH,
PHIR BHI APNEY EHAD PEY QAYEM HUM APNI JAGAH,
KIYA KAREIN YEH DIL KISI KI SUNTA HE NAHI,
AAP NEY JO KUCH KAHA MOHTARAM APNI JAGAH,
HUM MOHID HAIN BUTON KO POJNEY WALEY NAHI,
PAR KHUDA LAGTI KAHEIN TO WOH SANAM APNI JAGAH,
YAR BE PARWAH HUM NEY KABHI SHIKWA KIYA,
HAN MAGAR IN NASPAS ANKO KA NAM APNI JAGAH,
MEHFIL-E-JANA HO,MAQTAL HO K MEKHANA FARAZ,
JIS JAGAH JAYEIN BANA LETEIN HAIN HUM APNI JAGAH.
Rapunzel said:
intiqaman hans raha hoon khoob ronay k liay
woh qareeb aanay lagay hain door honay k liay
koi maanay ya na manay ham nay jana hai yehi
dil tarrapnay k liay hai aankh ronay k liay
kia qayamat hai maseeha waar kar k chal dia
or qaatil aa gaya hai zakhm dhonay k liay
aaj tak yeh bhi na socha kiun huay ham darbadar
tujh ko paanay k liay ya khud ko khonay k liay
meri duniya door hi say dekhnay ki cheez thi
aap nahaq aa gaye maghmoom honay kay liay
Fairl_Girl said:Jo mila us ne mere dil ko khelona jana
Kheel k toor deya
Toor k choor deya
Hay yeh mera afsana
Aankh main sare zamane ki khatakta hi raha
Dard_e_ awara ki mannde bhatakta hi raha
Urte patoon ki tara
Main to jis simt chala
Sath chala virana
Fairl_Girl said:WELCOME BACK
THX U SO MUCH KOOLEST
4 SHARING N EVERYTHING