Miss mine said:Bhool jao in batoon ko
in khayaloon ko mehev kar dalo
poch lo apne ashk daman se
mera tum se wada hai
k jab tak iss jahan main
aik bhi zee rooh baqi hai
tum jab tak saans lete ho
jab tak soch sakte ho
jab tak her khoshi aur
fikar ko mehsoos karte ho
mera tum se wada hai
k jab tak gulistan main
akhri jo phool khilna hai
rahe gaa shaakh pe jab tak
mehek phelae gaa apni
falak k akhri tare ko
jub tak jagmagana hai
k jab tak haath iss qabil hain
k uthein duaoon ko
mera tum se wada hai
k jab tak jism hai
aur jism main ye jaan hai
hazaroon meel lambe fasle bhi beech main aein
tu meri muhabbat in se kabhi bedam na ho gi
muhabbat kam nahi ho gi
muhabbat kam nahi ho gi...
ONLYARBAB said:phir is duniyaa se ummiid-e-vafaa hai
tujhe ai zindagii kyaa ho gayaa hai
barii zaalim nihaayat bevafaa hai
ye duniyaa phir bhii kitanii Khush-numaa hai
har ik apane hii Gam mein mubtilaa hai
kisii ke dard se kaun aashnaa hai
mere naqqaad merii shaayarii to
mere TuuTe huye dil kii sadaa hai
kahaan huun "Shad" main to shaad saa huun
vo shaad-e-Khush-navaa to mar chukaa hai
Fairl_Girl said:
Aaj Pehli Bar Yeh Mehsoos Huwa Ke Mein Is Duniya Mein Tanha Reh Gaya Hon,
Jo Tha Hi Nahi Us Ke Bageir Mein Tanha Reh Gaya Hon,
Woh Chup Chup Ker Mere Liye Kitabe Ikhata Kiya Kerti Thi,
Aaj Mein Apni Hi Kitab Mein Tanha Reh Gaya Hon,
Kabhi In Raston Mein Se Guzar Ker Us ko Ghar Chor Aata Tha.
Aaj Mein Un Hi Raston Mein Tanha Reh Gaya Hon,
Kabhi Woh Mujh Se Isharon Se Batein Kiya Kerti Thi,
Hansta Hoon Aaj Mein Apne Hi Isharon Mein Tanha Reh Gaya Hon,
Yaqeen Hai Faraz Ko Ke Kabhi To Woh Laut Aayegi,
Rota Hon Faqat Us Ke Bageir Mein Tanha Reh Gaya Hon.
Fairl_Girl said:GR8 WORK KOOLEST
~CHANDNI~ said:
Merii Ankhon Pe Marta Tha
Meri Baton Pe Hansta Tha
Najaney Shakhs Tha Kesa??
Mujhe Khoney Se Darta Tha
Mujay Jab Wo Milta Tha
Yehi Har Bar Kehta Tha
Suno!!
Agr Mein Bhool Jaon Tu??
Agr Mein Rooth Jaon Tu?
Kabii Wapis Na Ahon Tu?
Bhula Pao Gay Ye Sab Kuch??
Yunhii Hansty Rahoo Gay Kia??
Yunhii Sajty Rahoo Gay Kia??