Age: 124
7064 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
unk hisa layna ya na laynay say kuch khas farak nahin parna tha next time chance hai is dafa unki apni position boht strong hai lakin unki party weak hai or woh khali aik do seton say kyia kar saktay hein.
Age: 124
7064 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
unko aikhouse wife hi kyion chaye jabk islam nay to yeh nahi kaha k jo ghar mein hogi woh neek hai or jo job karaygi woh achi nahi ager ap aik modern country mein rehtay ho or apko aik educated larki chaye to apko apni soch ko thora wasee karna parayga kyion aik mard ko perfect larki chaye jabk khud uska apna koi hal na ho.
Age: 124
7064 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kisi or ka to pata nahin ager ALLAH nay is kabil samgha to mein to beti k peda honay pay hi zada khush honga na k betay k kyionk jitne respect ya care aik beti kar sakti hai beta nahin seconldy theek hai woh chali jati hai lakin woh hamesha apki zaat ka hisa to rehti hai jahan tak betay ki bat hai ajkal to woh bhi chelay jatay hein.
Age: 124
7064 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
true politicians na bush ko pasend hain or na hi establishment ko maybe halat badal jayenay but filhal no chance. anchor bank dilki bharas nikalni hai.
sun_shine said:
mmja said:
musharif ki kursi ss je true politician k liay pak mein to no chance establishment meray jeson ko pasend karti hai. ANCHOR
Assalam O Alaikum
*I think Halaat Badlaingay InshAllah Awaam True Politicians Ko hi pasand kartay hain yeh alag baat hain kay Select hokay kaun Govt ka hissa bantay hain Anchor bhi aik Achi job hain...!
Age: 124
7064 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
ss je apnay kaha awam ab samghdar ho gaye hai i think 18 fb ka result yo yeh nahin kehta ager awam samghdar hoti to aj hakumat shayed IMRAN KHAN ki hote na k unki jinho nay two time pak ko lota. maybe woh sodhrna chahtay hein lakin NRO jiski wajah say 52 arab k karzay maf huway woh to kuch or kehta hai and sharief sahib aik lohar k betay thay aj unki mills kitne hein?or kesay hein? ab to hakumat banay bhi kafi time ho chuka hai kyia apko lagta hai k q ki bajaye koi or hakumat hai?. rapu sis ab to kahli tv pay hi nahin har jagha hi so cold fashion a chuka hai aik bat say apki thora disagree karonga ajkal kuch loog jinki ginte increase ho rahi hai unko apni sis ki bhi nahin parwah larkyian apni father ya bro k sath jis dressing mein hoti hein woh kafi hai. dukh srif is bat ka hai kk mugh jesay loog bhi jo sab samghtay hein woh bhi islam k liay ya pak k liay kuch nahin kartay
Age: 124
7064 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
apk points valid hein par mein disagree hon. uk,usa mein aik shakis jo study karta hai woh pak say boht mushkil hoti hai lakin ho jati hai part time job bhi hoti hai and thora boht ghar ka kam bhi ho jata hai lakin jab wahi shakis pak mein hota hai to na woh uth k pani peeta hai or na hi job k liay utne mehnat karta hai pak mein sabko direct masharaf lagna hota hai jabk wahan koi bhi job kar laytay hein pak mein bhi problems hein lakin mehnat say boht kuch keyia ja sakta hai yahan pay mostly logon ka dimagh hi kharab hota hai ager ap local level payy daykhay to pak mein kaye loog esay hein jo apni income fair way say icrease kar saktay hein lakin woh us pay aram ko targi daytay hein koi bhi country gerat tab tak nahin hoti jab tak wahan k loog great na ho kisi bhi chez pay tankied karna boht asan hai lakin jab wohi insaan kisi job pay lagta hai to rishwat kyion khata hai?.ager wahan rehna itna hi acha hai to wahan pay jab unk bachay baray hotay hein to unko paki rishta kyion chaye?tab wapis kyion atay hein ager pak itna hi bura hai bahir janay mein ya wahan settle honay say me ko koi problem nahin lakin jo kehtay hai pak mein yeh hai woh hai isliay hum ja rahay hein me ko un say sakhit nafrat hai.
Age: 124
7064 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
ponit is k wahan manual work karnay mein kuch nahin lakin yahan katrlayngay to sharam say mar jayengay ager koi or karayga to usko bhi tang karayngay aik kam apnay mulik mein bura hai to wahan acha wahan jak sab nay sadar to nahin lag jana na mein manta hon strugle hai kuch loog achay grade nahin latay or na hi hard work ko pasend kartay hein or direct esi job chaye jo unko sab kuch dayday lakin jab yeh nahin milta to khamkha shor machatay hein. meray cuzen nay dubai reh k aik saal without fee kam keyia hai yehi hard work pak mein kyion nahin? mera bhai uk mein study karta hai+job karta hai+ghar k kam karta hai lakin satisfied hai lakin yehi hard work ager woh pak mein hota to kabhi na karta kyion?
Age: 124
7064 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
thanks bro. apnay kaha mentaly change a raha hai ok fine my point is inko vote i think pak ki youth nay bhi deyia tha maybe me wrong.secondly hamari youth ajkal abroad bhag rahi hai,male female attraction and its bad effect boht zada ho geyia hai girls wear hijjab lakin unka iterst parhaye ki bajaye boys mein hota hai similarly boys ka to kuch kehna hi fazol hai roads pay hotay hein jahan girls ki market hon wahan hotay hein co education confidence building k liay hoti hai lakin pak mein woh kisi or kam k liay use ho rahi hai koi bhi nojwan rishwat laynay pay sharam mehsos nahin karta parents ki respect nahin rahi phir mental level kesay change ho raha hai?